Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
tum zara aur khulo aur khulo aur khulo
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
tum zara aur khulo aur khulo aur khulo - 13th August 2022, 12:06 PM

तुम ज़रा और खुलो और खुलो और खुलो
फिर जो होता है सो हो और खुलो और खुलो

ख़ुद में सिमटे हुए महफ़ूज़ रहे भी तो क्या
इन फ़ज़ाओं में घुलो और खुलो और खुलो

मेरा पैग़ाम हवा दे रही सरगोशी* से
अपनी ज़ुल्फ़ों से कहो और खुलो और खुलो
*कानाफूसी

ओट हो नाज़ की या आड़ हो नादानी की
चाहे जिसमें भी छुपो और खुलो और खुलो

ये जो बंधन हैं इन्हें कर लो कुशादा* इतना
इनमें कुछ और बंधो और खुलो और खुलो
*विस्तृत

रस्म तो हो गई अब काम की बातें कर लें
एक जाम और भरो और खुलो और खुलो

तुम मुझे दावत-ए-परवाज़* दो इसके पहले
ऐ फ़लक ये तो करो और खुलो और खुलो
*उड़ान

“ज़र्रा” खुलता नहीं “गंजीना-ए-मानी का तिलिस्म”*
और “ग़ालिब” को पढ़ो और खुलो और खुलो
*मानी के ख़ज़ाने का जादू (ग़ालिब के मिसरे से)

तुम तो चुपचाप ही सुनते रहे मेरे अशआर
मैं जो कहता हूँ करो और खुलो और खुलो

- ज़र्रा

tum zara aur khulo aur khulo aur khulo
phir jo hota hai so ho aur khulo aur khulo

KHud meN simTe hue mahfooz rahe bhi to kya
in fazaaoN meN ghulo aur khulo aur khulo

mera paiGaam hava de rahi sargoshi* se
apni zulfoN se kaho aur khulo aur khulo
*whisper

oT ho naaz ki ya aaD ho naadaani ki
chaahe jismeN bhi chhupo aur khulo aur khulo

ye jo bandhan haiN inheN kar lo kushaada* itna
inmeN kuchh aur baNdho aur khulo aur khulo
*extensive

rasm to ho gai ab kaam ki baateN kar leN
ek jaam aur bharo aur khulo aur khulo

tum mujhe daavat-e-parvaaz do iske pehle
ai falak ye to karo aur khulo aur khulo

“zarraa” khulta naheeN “ganjeena-e-maani ka tilism”*
aur “Galib” ko paDHo aur khulo aur khulo
*enchantment of the treasure of meaning (taken from Galib’s line)

tum to chupchaap hi sunte rahe mere ashaar mere
maiN jo kehta hooN karo aur khulo aur khulo

- zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com