Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Sharaab

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye
Old
  (#1)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Smile mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye - 9th May 2009, 04:11 PM

mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye

mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahe.n kahii.n raat Dhal na jaaye

mere ashk bhii hai.n is me.n ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye

abhii raat kuchh hai baaqii na uThaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahii.n phir sambhal na jaaye

merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane kii Khushii me.n meraa dam nikal na jaaye

mujhe phuu.Nkane se pahale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahii.n saath jal na jaaye

----------


Author ------------------Unknown------------------------------------


regards
manu
TC
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
9th May 2009, 05:44 PM

Bohat hi khoobsurat ghazal hai manu ji........thanks for sharing......

ye ghazal Mirza Anwarpuri saheb ki likhi huyi hai...

is me do sher aur baaqi hai..



maiN banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
kahiiN saath aashiyaaN ke ye chaman bhii jal na jaaye

isi khauf se nasheman na bana saka main ‘Anwar’
ke nighaah-e-ahl-e-gulshan kahin phir badal na jaaye




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 9th May 2009 at 06:00 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
9th May 2009, 05:47 PM

Manu ji shukriya aapne bahut badiya gazal share ki hai aur zainy aapka bhi shukriya.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
aarya
trail of thoughts
aarya is just really niceaarya is just really niceaarya is just really niceaarya is just really niceaarya is just really nice
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Sep 2006
Location: in the hopes of my family
Rep Power: 22
10th May 2009, 09:09 AM

manuji , thanks for sharing such a wonderful Ghazal.


best regards
aarya


khwaabo.n ke par kabhii kaTne na denaa
inke sahaaron me raahai.n rahe.ngii

lage.nge ye lejaa rahe alag raste
un raston pe bhii kai seekhai.n to ho.ngii

ye seekhai.n hameshaa sameTe rakhnaa
inhii.n se to sabko manzil milai.ngii


regards aarya
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is Off
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
mai.n nazar se pii rahaa huu.N paimana Shayri-e-Sharaab 2 18th January 2005 02:38 PM
kahin nazar na lag jaaye shru Aapki Shayri 0 27th February 2004 11:11 PM
mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye Neha Haroon Shayri-e-Sharaab 0 30th April 2003 02:20 PM
tu na rahaa kuchh na rahaa wo khuda tha wo khuda rahaa ghaafil Shayri-e-Dard 1 30th March 2003 05:39 PM
maiN nazar se pee raha hooN ye samaaN badal na jaay - by Anwar Mirzapoori Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 3 21st November 2002 02:21 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com