Quote:
Originally Posted by waqasalihassan
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar jolahay
Aksar tujh ko daikha hai kay taana buntay
Jab koi dhaaga toot gya ya khatam howa
Phir say jor kay aur sira koi daal kay uss main
Aaagay bun'nay lgtay ho
Teray iss taanay laikin ik bhi gaanth girah buntar ki
Daikh nahi skta hai koi
Main nay to ik baar buna tha aik hi rishta
Laikin uss ki saaari girhain saaf nazar aati hain meray yaar jolahay
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar jolahay!!
|
aapne jo nazam share ki yahan bohat achi lagi ........ aate rahiye