Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
zindagi se hooN bad-gumaaN kaafi
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
zindagi se hooN bad-gumaaN kaafi - 26th March 2019, 06:31 PM

zindagi se hooN bad-gumaaN* kaafi
par abhi to hua kahaaN kaafi

maiN hooN bhatka yahaaN wahaaN kaafi
tum ne chhorhe bhi haiN nishaaN kaafi

meri kismat meiN aashiyaaN kitne
bijliyaaN mujh pe mehrbaaN kaafi

ek sehra-e-tishngi* hooN maiN
ek maykhaana hai kahaaN kaafi

mujh ko mas* karna hai khayaaloN ko
hai n alfaaz ka bayaaN kaafi

taNg* hai meri wus’atoN* ke liye
ho tumhaare liye jahaaN kaafi

meri aaNkheiN kuchh aur dhooNdh raheeN
warna dilkash hai ye samaaN kaafi

hum n un meiN haiN jaan lete par
tum ne rak’khe haiN raazdaaN kaafi

ibteda* ka n gham n hashr* ka khauf
aafateiN in ke darmiyaaN* kaafi

aag chaaheiN chhupa ke rak’khi ho
dikh raha har taraf dhuaaN kaafi

is ko pardhna raha tha naa-mumkin
teri “zarraa” ye daastaaN kaafi

- zarraa

*
bad-gumaaN = suspicious
sehra-e-tishnagi = desert of thirst
taNg = narrow
wus’atoN = expanses
mas = touch
ibteda = beginning
hashr = end
darmiyaaN = in between


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com