Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mirage (nazm)
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
mirage (nazm) - 25th May 2017, 06:26 AM

adaab hazreen,

ba-sad-mazrat salaam,

Shoaib, Anu, Sunita Jee, Sarika aur Madhu se khaaskar muaafi ka talabgaar hooN, itni muhabbatoN ke ba-wajood maiN inke khatoN ka jawaab naeeN de paata, meri naalaayiqui hai, ummed hai aap muaaf kar deNge

nazm bohat kam likhta huuN, kul milaa kar 5 ya 6 raqm hui hoNgi aaj taq. yeh koi 15 saal puraani nazm hai, mulaizza farmaiiye

mere khwaaboN ki jannat ka nazaraa haiN teri aaNkheN
hujuum-e-Gham meiN khushiyoN ka ishaara haiN teri aaNkheN

yeh pech-o-kham jo zulfoN ka kabhi maathe pe lehraaye
jabeen-e-arsh pe goya GhaTaa kaali si bal khaaye

teri baateN haiN jaise chaandii ta'riiKh raatoN meiN
tabassum ye tera jaise ki sehra meiN ho barsaateiN

tujhe har raNg har aNdaaz meiN maine hasiiN paaya
bohat haiN maahjabiiN dekhe kahiiN tujhsa nahiiN paaya

tu voh tasveer hai jiska mussavir khud bhi hairaaN hai
tu kya hai khud naeeN tu jaan'ti, haaye , itni naadaaN hai

mujhe yeh ilm hai tumne bohat sadme uThaaye haiN
tumhari zeest par haavi Gham-e-dauraaN ke saaye haiN

tumhe shikwa bada hai apne maaThe ki lareekoN se
khafaa hooN maiN haram ke paasbaanoN ki zaNjeeroN se

baRaa jee chahta hai tujhko baahoN meiN chhupa luuN maiN
tere har dard ko apne kalejey se lagaa luuN maiN

tere pairoN ke kaaNTe apni palkoN se uThaa luuN maiN
meri jaanaaN jo ho mumkin tujhe apna banaa luuN maiN

muhabbat tujhse hai itni ke maiN batlaa nahiiN sakta
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta

ummiidoN ke khilonoN se bhi jee behlaa nahiiN sakta

tujhe maiN chaah to sakta huuN......
lekin.....
paa nahiiN sakta!

to be continued........

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 25th May 2017 at 06:36 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
10th June 2017, 10:26 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
adaab hazreen,

ba-sad-mazrat salaam,

Shoaib, Anu, Sunita Jee, Sarika aur Madhu se khaaskar muaafi ka talabgaar hooN, itni muhabbatoN ke ba-wajood maiN inke khatoN ka jawaab naeeN de paata, meri naalaayiqui hai, ummed hai aap muaaf kar deNge

nazm bohat kam likhta huuN, kul milaa kar 5 ya 6 raqm hui hoNgi aaj taq. yeh koi 15 saal puraani nazm hai, mulaizza farmaiiye

mere khwaaboN ki jannat ka nazaraa haiN teri aaNkheN
hujuum-e-Gham meiN khushiyoN ka ishaara haiN teri aaNkheN

yeh pech-o-kham jo zulfoN ka kabhi maathe pe lehraaye
jabeen-e-arsh pe goya GhaTaa kaali si bal khaaye

teri baateN haiN jaise chaandii ta'riiKh raatoN meiN
tabassum ye tera jaise ki sehra meiN ho barsaateiN

tujhe har raNg har aNdaaz meiN maine hasiiN paaya
bohat haiN maahjabiiN dekhe kahiiN tujhsa nahiiN paaya

tu voh tasveer hai jiska mussavir khud bhi hairaaN hai
tu kya hai khud naeeN tu jaan'ti, haaye , itni naadaaN hai

mujhe yeh ilm hai tumne bohat sadme uThaaye haiN
tumhari zeest par haavi Gham-e-dauraaN ke saaye haiN

tumhe shikwa bada hai apne maaThe ki lareekoN se
khafaa hooN maiN haram ke paasbaanoN ki zaNjeeroN se

baRaa jee chahta hai tujhko baahoN meiN chhupa luuN maiN
tere har dard ko apne kalejey se lagaa luuN maiN

tere pairoN ke kaaNTe apni palkoN se uThaa luuN maiN
meri jaanaaN jo ho mumkin tujhe apna banaa luuN maiN

muhabbat tujhse hai itni ke maiN batlaa nahiiN sakta
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta

ummiidoN ke khilonoN se bhi jee behlaa nahiiN sakta
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta

tujhe maiN chaah to sakta huuN......
lekin.....
paa nahiiN sakta!

to be continued........

rab raakha
maikash

waah wah wah waahh kyaa baat hai kyaa umdah ehsaas hain kyaa andaaze bayaan hai.......

saahab ise kahte hain quality work..... kam hain magar shaandaar nazm hain aapki bhaijaan.....

tahe dil se daad aur mubaarakbad.......

to be continued likh ke aapne to intzaar ki shuruiaat kar di..... agle part ka intzaar rahega

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
15th June 2017, 11:10 PM

Maikash bhaiya

Pranaam.. SSA

Aik behterin tehreer paRhne ko mili.. Ehsaason se bhari hui koshish!

Yeh do sher dil ke Qareeb rahen

muhabbat tujhse hai itni ke maiN batlaa nahiiN sakta
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta

ummiidoN ke khilonoN se bhi jee behlaa nahiiN sakta
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta

Duaaon ke saath ijaazat.... Jsk
Aapka

Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
18th June 2017, 08:05 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
adaab hazreen,

ba-sad-mazrat salaam,

Shoaib, Anu, Sunita Jee, Sarika aur Madhu se khaaskar muaafi ka talabgaar hooN, itni muhabbatoN ke ba-wajood maiN inke khatoN ka jawaab naeeN de paata, meri naalaayiqui hai, ummed hai aap muaaf kar deNge

nazm bohat kam likhta huuN, kul milaa kar 5 ya 6 raqm hui hoNgi aaj taq. yeh koi 15 saal puraani nazm hai, mulaizza farmaiiye

mere khwaaboN ki jannat ka nazaraa haiN teri aaNkheN
hujuum-e-Gham meiN khushiyoN ka ishaara haiN teri aaNkheN

yeh pech-o-kham jo zulfoN ka kabhi maathe pe lehraaye
jabeen-e-arsh pe goya GhaTaa kaali si bal khaaye

teri baateN haiN jaise chaandii ta'riiKh raatoN meiN
tabassum ye tera jaise ki sehra meiN ho barsaateiN

tujhe har raNg har aNdaaz meiN maine hasiiN paaya
bohat haiN maahjabiiN dekhe kahiiN tujhsa nahiiN paaya

tu voh tasveer hai jiska mussavir khud bhi hairaaN hai
tu kya hai khud naeeN tu jaan'ti, haaye , itni naadaaN hai

mujhe yeh ilm hai tumne bohat sadme uThaaye haiN
tumhari zeest par haavi Gham-e-dauraaN ke saaye haiN

tumhe shikwa bada hai apne maaThe ki lareekoN se
khafaa hooN maiN haram ke paasbaanoN ki zaNjeeroN se

baRaa jee chahta hai tujhko baahoN meiN chhupa luuN maiN
tere har dard ko apne kalejey se lagaa luuN maiN

tere pairoN ke kaaNTe apni palkoN se uThaa luuN maiN
meri jaanaaN jo ho mumkin tujhe apna banaa luuN maiN

muhabbat tujhse hai itni ke maiN batlaa nahiiN sakta
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta

ummiidoN ke khilonoN se bhi jee behlaa nahiiN sakta
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta

tujhe maiN chaah to sakta huuN......
lekin.....
paa nahiiN sakta!

to be continued........

rab raakha
maikash
Mashallah kya khayaal hai Ustaad

Tujhe main chaah to sakta hoon lekin paa nahi saktaa

isi saani ne zindgaani ko aazaab banaye rakha hai....is khazaane si nikli nazm ko khaaksaar ka salaam yunhi likhte rahiye

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
24th June 2017, 11:47 PM

Aapki nazm padhi aur kitni baar padhi....par socha waah waahi Karien to Jane apko qubool ho na ho...lekin dil ko chooo Jane wali nazm par daad diye bagair raha bhi nhi jata......

Agle part ka intzaar rahega.....

Madhu.

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
25th June 2017, 05:00 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
waah wah wah waahh kyaa baat hai kyaa umdah ehsaas hain kyaa andaaze bayaan hai.......

saahab ise kahte hain quality work..... kam hain magar shaandaar nazm hain aapki bhaijaan.....

tahe dil se daad aur mubaarakbad.......

to be continued likh ke aapne to intzaar ki shuruiaat kar di..... agle part ka intzaar rahega

Shaad...

alfaaz, mayiine, mahafuum...behadd "saada" rahe is nazm meiN Shoaib bhai. umr/jazbaat ka taqaaza bhi kuch aur tha un dinoN jo zaahir bhi hai.

iske bawajood aapki muhabbatoN ke zer-e-baar huuN

bohat shurkiya

rab raakha jee
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com