Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Zindagi dastaN hai sawalaat ki
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Smile Zindagi dastaN hai sawalaat ki - 11th April 2002, 02:45 PM

Dosto ko adaab. Ek nayee ghazal pesh-e-khidmat hai. Aapke khayalat aur hosla afzai ka muntazir rahoonga. Ye ghazal meine urdustaan ke tarhi mushaira mein shirkat karne ke liye kahi thi lekin bhej nahin paaya.
-------------------------------------------------------------------------------
GHAZAL

Zindagi dastaN hai sawalaat ki
Jo pa na sakey un maqamaat ki

Bahut qadr ki mere jazbaat ki
Na ji bhar ke deka na kuchh baat ki

Mein aankhein bichaye khada reh gaya
Liye dil mein chahat mulaqaat ki

Banaya mohabbat ko apna usool
Kami hum mein hai bus issi baat ki

Ajab hai sukoon-e-jigar dhoondta hai
Dikha kar lakeerein wo kyun haath ki

Zindagi ko nayee dein jo oonchaiyaN
Kami hai kuchh aise khyalaat ki


aapke tassurat ka intezaar rahega

Praveen Saxena
New Delhi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
bahut achche!!
Old
  (#2)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
bahut achche!! - 11th April 2002, 09:24 PM

adaab praveen ji....aapko yeh ghazal submit karni chahiye thi...hume kaafi pasand aayi.....khaas kar yeh sher:

Mein aankhein bichaye khada reh gaya
Liye dil mein chahat mulaqaat ki

Banaya mohabbat ko apna usool
Kami hum mein hai bus issi baat ki

Ajab hai sukoon-e-jigar dhoondta hai
Dikha kar lakeerein wo kyun haath ki

likhte rahiyega...


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
very good choice
Old
  (#3)
guriya82
Dil hai chota sa
guriya82 has a spectacular aura aboutguriya82 has a spectacular aura about
 
guriya82's Avatar
 
Offline
Posts: 252
Join Date: Apr 2001
Location: new jersey
Rep Power: 24
very good choice - 11th April 2002, 10:03 PM

praveen ji aapne sach mein acchi gazal likhi hai bahut pasand aayi humein ek ek line itni acchi hai i can't tell u
i really like this gazal
keep posting more gazals in future too
take care
guriya


Let your heart guide you...but listen closely because it whispers
  Send a message via Yahoo to guriya82 Send a message via MSN to guriya82  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Uday
Registered User
Uday is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 72
Join Date: Jul 2001
Rep Power: 23
Thumbs up 12th April 2002, 06:52 PM

kyaa baat hai janaab!
aap to kamaal ki nazmey likhtey hai!
Yuhi likhtey rahiyegaa


jai bharat
   
Reply With Quote
Aapka Shukriya
Old
  (#5)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Smile Aapka Shukriya - 15th April 2002, 10:27 AM

Anamikaji

Aapki daad ka bahut-bahut shukriya.
Umeed karta hoon aagey ki posts par bhi aapke
khayalaat aise hi milte rahenge. Aur aapki taraf se bhi naye posts ka intezaar rahega.
Phir ek baar bahut shukriya ke saath

Praveen Saxena
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Bahut Shukriya
Old
  (#6)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Smile Bahut Shukriya - 15th April 2002, 10:30 AM

Uday Sahab

Ghazal pasand karne ka bahut bahut shukriya
Umeed hai aainda posts par bhi aapke khayalat aise hi milte rahenge.

Praveen Saxena
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Re: bahut achche!!
Old
  (#7)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Smile Re: bahut achche!! - 15th April 2002, 10:32 AM

Anamikaji

Aapki daad ka bahut-bahut shukriya.
Umeed karta hoon aagey ki posts par bhi aapke
khayalaat aise hi milte rahenge. Aur aapki taraf se bhi naye posts ka intezaar rahega.
Phir ek baar bahut shukriya ke saath

Praveen Saxena
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Re: very good choice
Old
  (#8)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Re: very good choice - 15th April 2002, 10:37 AM

Guriya ji

aapke khayalt parh kar bahut hosla barHa. Ummed hai aagey ki posts mein bhi aap apne tassurat bhejna jaari rakhengi.
Thanks

Praveen
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Zindagi ki dastan kisko sunaee "Aftab" taqdeer.786 Shayri-e-Dard 3 11th October 2007 01:22 PM
Dastan SANDEEP VERMA Shayri-e-Dard 3 6th November 2006 09:22 PM
DIL KI DASTAN aaman_987 Shayri-e-Dard 2 15th July 2006 02:29 PM
Dastan Tausif shaikh Shayri-e-Dard 0 30th August 2005 12:41 PM
dastan-e-gum Sofia Saeed Shayri-e-Dard 4 14th January 2004 02:25 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com