Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
"...jaanaa hai kidhar m'aluum nahiiN!
Old
  (#1)
B.G.M.
Moderator
B.G.M. will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 113
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 10
"...jaanaa hai kidhar m'aluum nahiiN! - 9th November 2014, 06:11 AM


ik bahot puraani Ghazal, eik muddat ke b'aad sun ne ko milee aur us ki bandish ne bahot mutassir kiyaa,
sochaa kih yahaaN pesh karuuN.
Shaa'ir kaa naam to mujhe nahiiN m'aluum, agar aap meN se kisii ko pataa ho to zaruur likh deejiye,
[/size]


Ghazal

ham chal to paRe haiN, jazbah-e-dil Jaanaa hai kidhar m'aluum nahiiN
aaGhaaz-e-safar par naazaaN haiN, anjaam-e-safar m'aluum nahiiN

kab jaam bhare, kab daur chale, kab aaye idhar m'aluum nahiiN
uTThe bhi agar Thehregi kahaaN, saaqii ki nazar, m'aluum nahiiN

ham aql ki Had se bhi guzre, seHra-e-junuuN bhi Chhaan liyaa
ab aur kahaaN le jaayeNgi saaqii ki nazar, m'aluum nahiiN

mumkin ho to ik lamHe ke liye takleef-e-tabassum kar leejay
ham meN se abhi tak kitnoN ko mafaHuum-e-saHar m'aluum nahiiN!

Jazbaat ke sau aalam guzre, eHsaas ki sadiyaaN beet gayiiN
aankhoN se abhi un aankhoN tak kitna hai safar m'aluum nahiiN

ham chal to paRe haiN.....


==========================================

Firoz Akhtar ki maKhmalee aavaaz meN is Ghazal ko yahaaN suniye,


http://video.search.yahoo.com/video/...art=btbar&tt=b

====================================

   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
9th November 2014, 04:10 PM

Quote:
Originally Posted by B.G.M. View Post

ik bahot puraani Ghazal, eik muddat ke b'aad sun ne ko milee aur us ki bandish ne bahot mutassir kiyaa,
sochaa kih yahaaN pesh karuuN.
Shaa'ir kaa naam to mujhe nahiiN m'aluum, agar aap meN se kisii ko pataa ho to zaruur likh deejiye,
[/size]


Ghazal

ham chal to paRe haiN, jazbah-e-dil Jaanaa hai kidhar m'aluum nahiiN
aaGhaaz-e-safar par naazaaN haiN, anjaam-e-safar m'aluum nahiiN

kab jaam bhare, kab daur chale, kab aaye idhar m'aluum nahiiN
uTThe bhi agar Thehregi kahaaN, saaqii ki nazar, m'aluum nahiiN

ham aql ki Had se bhi guzre, seHra-e-junuuN bhi Chhaan liyaa
ab aur kahaaN le jaayeNgi saaqii ki nazar, m'aluum nahiiN

mumkin ho to ik lamHe ke liye takleef-e-tabassum kar leejay
ham meN se abhi tak kitnoN ko mafaHuum-e-saHar m'aluum nahiiN!

Jazbaat ke sau aalam guzre, eHsaas ki sadiyaaN beet gayiiN
aankhoN se abhi un aankhoN tak kitna hai safar m'aluum nahiiN

ham chal to paRe haiN.....


==========================================

Firoz Akhtar ki maKhmalee aavaaz meN is Ghazal ko yahaaN suniye,


http://video.search.yahoo.com/video/...art=btbar&tt=b

====================================


WWWWWAAAAAAHHHHHHH

kya kamaal ki ghazal share ki aap ne BGM sahab. waaqayee aap ki paarkhi nazar ka jawaab naheen. bahaut bahaut shukriya is had se ziyada khoobsurat qalaam se ru ba ru karwane ka!!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com