Quote:
Originally Posted by shakir ali 01
barson ki is jalan ko bujhaya nahi jata
zakham ho nasoor to marham lagaya nahi jaata
kasak to hajaron dillon mei hai mohabbat ki
har dil mein chirage-mohabbat jalaya nahi jatta
mehak jaati hai sanse bhi jis ki khushbu se
us phool ko gulshan mein khilaya nahi jaata
aangan to mehak uthta hai tere aane ki aahat se
bazar ke samaan se ghar sajaya nahi jaata
dil se pukaro wo sab ki sunta hai
har pathar masjid mein lagaya nahi jaata
raqibon ke dar to be shumar hai shehar mei
har dar per ye sar jhukaya nahi jaata
manzil ho nazar ke saamne to safar ki mashakaten kya
tanha reh kar bhi manzil ko paaya nahi jaata
humsafar na ho to koi baat nahi
dil bhi to sab kisi se milaya nahi jaata
dil ho udaas hothon per muskurahat aa hi jaati hai
muskurane se bhi gam ko chupaya nahi jaata
mohabbat to khud se bhi jayada ki SHAKIR ne
kambakhat dil ko bhi to chir ke dikhlaya nahi jaata
|
Waah waah! Saakirbhai, kya laajawaab peshkash hai!
paR kar mazaa aa gayaa