Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
hum zamaane ke nikaale haiN to haiN
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
hum zamaane ke nikaale haiN to haiN - 10th May 2019, 08:51 PM

hum se duniya meiN ujaale haiN to haiN
hum zamaane ke nikaale haiN to haiN

saadgi dil meiN saNbhaale haiN to haiN
saari duniya se niraale haiN to haiN

qillat-o-qaht* ke paale haiN to haiN
izz-o-aadaab** meiN dhaale haiN to haiN
*shortage and scarcity **honour and etiquette

jazba-e-dasht-navardi* hai to hai
anginat paaNv meiN chhaale haiN to haiN
*passion for wandering in the wilderness

shamma si jal raheeN bedaar* aaNkheiN
ye pehar raat ke kaale haiN to haiN
*awake

naaz-o-gairat* pe ana** vaale jiyeiN
paas meiN do hi nivaale haiN to haiN
*pride and self-respect **ego

yooN to har baat pe gehri rahi fikr*
phir bhi kismat ke havaale haiN to haiN
*thought/concern

sach ko bachche ki hai “kaupi” hi bahaut
jhooth ke paas risaale* haiN to haiN
*journals

haq ada pehle hunar ka hi karo
haajatoN* ko kayi naale**haiN to haiN
*needs **complaints

lab sile haiN to sile rehne do
dil meiN kuchh hasrateiN paale haiN to haiN

tum nazar phero kaheeN aur “zarraa”
maey* hai meena** hai piyaale*** haiN to haiN
*liquor **goblet ***cups

- zarraa


हम से दुनिया में उजाले हैं तो हैं
हम ज़माने के निकाले हैं तो हैं

सादगी दिल में संभाले हैं तो हैं
सारी दुनिया से निराले हैं तो हैं

किल्लत-ओ-क़हत के पाले हैं तो हैं
इज़्ज़-ओ-आदाब में ढाले हैं तो हैं

जज़्बा-ए -दश्त-नवर्दी है तो है
अनगिनत पाँव में छाले हैं तो हैं

शम्मा सी जल रहीं बेदार आंखें
ये पहर रात के काले हैं तो हैं

नाज़-ओ -ग़ैरत पे अना वाले जियें
पास में दो ही निवाले हैं तो हैं

यूं तो हर बात पे गहरी रही फ़िक़्र
फिर भी किस्मत के हवाले हैं तो हैं

सच को बच्चे की है “कॉपी” ही बहुत
झूठ के पास रिसाले हैं तो हैं

हक़ अदा पहले हुनर का ही करो
हाजतों को कई नाले हैं तो हैं

लब सिले हैं तो सिले रहने दो
दिल में कुछ हसरतें पाले हैं तो हैं

तुम नज़र फेरो कहीं और “ज़र्रा”
मय है मीना है पियाले हैं तो हैं

- ज़र्रा


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com