Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

View Poll Results: aap ka khyal kya hai janab
pasand ke qabil************* 2 100.00%
napasand &&&&&&&&&&&&&& 0 0%
Voters: 2. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mera hi mann mere andar khilaf rahta hai
Old
  (#1)
rumi
Registered User
rumi has a spectacular aura aboutrumi has a spectacular aura about
 
rumi's Avatar
 
Offline
Posts: 80
Join Date: Dec 2002
Location: Ab Tak Isi Duniya Me...
Rep Power: 23
mera hi mann mere andar khilaf rahta hai - 14th January 2003, 08:03 PM

aadab arz hai doston, .................................................. ..
main aaj apni tisri ghazal pesh kar raha
hoon jo main ne khas apne upar hi likha hai.
magar mujhe yaqeen hai ke yehi haal sabhi ka hai.
====================================
to pesh hai mera khayal jo mujh se hi nahi milta . .
====================================

mera hi mann mere andar khilaaf rahta hai,
wo hoke bhi mera dilbar mere khilaaf rahta hai.

wo mera dost hai mera bhala hi chahta hai,
isilia to wo aksar mere khilaaf rahta hai.

main kioun khilaf nahi apne dushman se
bas itni si baat pe ghar-bhar mere khilaaf rahta hai.

ubharne deta nahi, dubone deta nahi,
mujhi se mera samandar khilaaf rahta hai.

na mera dard badhata hai, na khun bahata hai,
mere hi zakhm se nastar khilaaf rahta hai.

ye aabshar,ye waadi, ye sehra, ye kahsar,
suhana jo bhi hai manzar, mere khilaaf rahta hai.

dawa bhi deta nahi , zahar bhi peelataa nahi,
jo charagar wahi aksar, mere khilaaf rahta hai.

sabab jis se bhi pucho pata chalega yehi,
pata nahi kioun-kar mere khilaaf rahta hai.

yezid aaj bhi hain kitne, hussain aaj bhi hai eik hi,
ke jis se lakhon ka lashkar khilaaf rahta hai.

mujhe wo jaam bhadhata hai roz bhar-bhar ke rumi,
main jab bahakta hoon pee kar,mere khilaaf rahta hai

youn bhi muskarate rahen, kya kua jo koi aapke khilaf rahta hai.

kioun thik kaha naa.

acha to ijazat dijia doston,
raat kafi ho gayi , aur abb sona bhi to hai.
aap ke mashwiron ka talabgar raha hoon islia aap apne tanqeed
se zaroor nawazete rahen.

Dilon Ki Imaaraton Mein Kahin Bandagi Nahi….................
Aur Pathar Ki Masjidon Mein Khuda Dhoondtey Hain Log............

(ALLAMA)
  Send a message via Yahoo to rumi  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
15th January 2003, 03:27 AM

Babu bhai
Yeh ghazal behad pasand aayi, lekin kaii jagaa lagta tha ki - beher ke hisaab se aapne kaii sheroN meiN lafz zada daal diye

Jaise ki yahaaN --

main kioun khilaf nahi apne dushman se
bas itni si baat pe ghar-bhar mere khilaaf rahta hai.

KyooN ki yaad rakhiye ga ki har Ghazal ka har sher ek hi 'beher' ka hona chahiye..
Ek baat aur kahuuN, gar buura na maaniye to? Aap jaise ek dam se 'teen-chaar' ghazaleN post karte ho, us se log bahot kam reply kareN ge.. jaise aap ek din chhoD kar dusre din post kar sakte ho.. taaki logoN ko reply karne ka mauka mil jaaye; aapki marzi hai dost

Taareef ke saath..

Likhte rahiye,
Aman

"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"

kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
aadab arz hai
Old
  (#3)
rumi
Registered User
rumi has a spectacular aura aboutrumi has a spectacular aura about
 
rumi's Avatar
 
Offline
Posts: 80
Join Date: Dec 2002
Location: Ab Tak Isi Duniya Me...
Rep Power: 23
Smile aadab arz hai - 16th January 2003, 04:06 PM

aadab arz hai janab,

main khariyat se rahkar aapki khiriyat barabar nek chahta rahta hoon,

dar-asal baat yeh hai ke main kafi dino ke baad site par aaya tha islia, jo ghazlen main ne likhi hui thi, use post kar dene main hi bhalai samjhi,

agar aisi baat hai to main aapke masware par amal karne ki bharsak koshis karoonga.

aapke jo tanqeed ki hai uska bhi aainda khayal rakhoonga.

abb ijazat dijia.
aapka apna.

Dilon Ki Imaaraton Mein Kahin Bandagi Nahi….................
Aur Pathar Ki Masjidon Mein Khuda Dhoondtey Hain Log............

(ALLAMA)
  Send a message via Yahoo to rumi  
Reply With Quote
aadab arz hai
Old
  (#4)
rumi
Registered User
rumi has a spectacular aura aboutrumi has a spectacular aura about
 
rumi's Avatar
 
Offline
Posts: 80
Join Date: Dec 2002
Location: Ab Tak Isi Duniya Me...
Rep Power: 23
Smile aadab arz hai - 16th January 2003, 04:29 PM

  (#5)
rumi
Registered User
rumi has a spectacular aura aboutrumi has a spectacular aura about
 
rumi's Avatar
 
Offline
Posts: 80
Join Date: Dec 2002
Location: Ab Tak Isi Duniya Me...
Rep Power: 23
Smile aadab arz hai - 16th January 2003, 04:40 PM

aadab arz hai janab,

main khariyat se rahkar aapki khiriyat barabar nek chahta rahta hoon,

dar-asal baat yeh hai ke main kafi dino ke baad site par aaya tha islia, jo ghazlen main ne likhi hui thi, use post kar dene main hi bhalai samjhi,

agar aisi baat hai to main aapke masware par amal karne ki bharsak koshis karoonga.

aapke jo tanqeed ki hai uska bhi aainda khayal rakhoonga.

abb ijazat dijia.
aapka apna.

Dilon Ki Imaaraton Mein Kahin Bandagi Nahi….................
Aur Pathar Ki Masjidon Mein Khuda Dhoondtey Hain Log............

(ALLAMA)
  Send a message via Yahoo to rumi  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
mere hi ghar main rahta hai.. muj jaisa hi jane koun..? khamosh_aawaz Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 12th July 2010 02:53 PM
Dard rahta hai mere dil mai sharaaron ki tarah acharya_mj Shayri-e-Dard 13 12th July 2006 04:59 PM
mere ghar me rahta hai..muj jaisa hi jane koun..? khamosh_aawaz Shayri-e-Dard 7 31st August 2005 05:06 PM
muskuraney se mera dard chhupa rahta hai amrit_sharad Shayri-e-Mashahoor Shayar 9 26th August 2003 11:24 PM
Kuch aise sawal mere dil ke andar kyoun hai Zeba Shayri-e-Dard 8 26th May 2003 09:26 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com