Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aapki Ki Haqeeqat Yehi Hai Yaaron
Old
  (#1)
rumi
Registered User
rumi has a spectacular aura aboutrumi has a spectacular aura about
 
rumi's Avatar
 
Offline
Posts: 80
Join Date: Dec 2002
Location: Ab Tak Isi Duniya Me...
Rep Power: 23
Smile Aapki Ki Haqeeqat Yehi Hai Yaaron - 19th January 2003, 07:17 PM

AADAB ARZ HAI DOSTON......................................

YAAR LOGON KI IS KHUBSURAT MAHFIL MAEN AAPKA SWAGAT
HAI YAARON.

MAIN ABB AAPSE KYA BATAOON YEH DUNIYA KIS QADAR HAMEN
ULJHAYE HUYAE HAI.

KOI NAHI HAI JO ISS MOH-MAYA KO SAMAJH SAKE YA PHIR KOI
ZAROOR HOGA JO ISS MOH-MAYA KO SAMAJH SAKTA HOGA.

AAPPPPPPPP.......................... SAMAJHTE HONGE SHAYAD.......................................,,,,, ,,,,, YA PHIR NAHI,,,,,,,,, YEH TO AAP HI BATA
SAKTE HAIN.

TO MAHARBAANI KARKE AAP MUJHE BATAYEN KE AAP ISS........
MOH-MAYA....AAAAAAAA..................... KO KIS QADAR SAMAJHTE HAIN ???????????????????

LEKIN RUKIYE PEHLE NUKTA-E-NAZAR SE BHI TO WAQIF HO JAYIYE
jANAB, HO SAKTA HAI AAPKO MERE SAWAL KA JAWAB DENE MAEN
AASANI HO........................,,,,,,,,,,,,,,,,,,,


LEKIN AAPSE GUZARISH HAIIIIIIIIIIIIIIIII KE JANAB AAP APNI RAI
KE THODA SA WAQT ZAROOR NAKALEN AUR MERI TASWISH KO
DOOR KARNE KE LIA APNI RAI SE MUJHE ZAROOR
NAWAZEN.........................,

BAHUT-BAHUT SUKRIYA....................................

NOSH FARMAYEN.......................................... .............LOGON,,,,,,
==============================================

WAHI LIKH RAHA HOON JO ISS DUNIYA-E-FANI KI HAQEEQAT HAI AYE YAARON
==============================================

WAQT KI TARAH HUM EIK ROZ GUZAR JAYENGE.
KHATM HOGA YEH SAFAR LAUT KE GHAR JAYENGE.

EIN SAFEENO KA SAFAR YUN HI RAHEGA JAARI.
JO MUSAFIR HAIN WO SAHIL PAR UTAR JAYENGE.

SAYBAN BAN KE SAJAR KOI TO RAHON MAEN MILE.
KAFILE WIRD KE SAYE MAEN THAHAR JAYENGE.

SAAANS KI AAMAD-O-SHAD SE JAWAN HAI BAZM-E-HAYAT.
YEH JO RUTHEGI TO SAB KHAWAB BHIKHAR JAYENGE.

HUM GUNAHGARON SE AYE NAGAHEN MAT PHER SAQI.
TERI DAHLEEZ SE UTHE TO KIDHAR JAYENGE.

CHASM-E-SAQI JO UTHEGI TO TAMASHA HOGA.
DEKHNA JAAM JO KHALI HAI WO BHAR JAYENGE.

HUM MUSAFIR HAIN ZARA SAAANS TO LENE DIJIA.
AAPKE SHAHAR SE DO DIN MAEN GUZAR JAYENGE.

RAAH-GIRON SE CHAMAN- WALON KO NAFRAT KAISI.
KYA WO DARTE HAIN YEH GULSHAN MAEN THAHAR JAYENGE.
==============================================
==============================================

To yaaron abb to main yehi chaoonga aap bhi iss duniya-e-fani
ke chakkar maen na paden warna bada dhoka ho jayega eik din
yaroon, aur apko pata bhi nahi chalega.
khair mera kaam aap ko khabar kar doon, baad maen humse
shikayat nahi honi chahiye yaaron.
to phir abb ijazat dijia , take main bhi chalta-phirta nazar aaoon
yaaron.

sabba-khair



aapka apna


Dilon Ki Imaaraton Mein Kahin Bandagi Nahi….................
Aur Pathar Ki Masjidon Mein Khuda Dhoondtey Hain Log............

(ALLAMA)
  Send a message via Yahoo to rumi  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
19th January 2003, 10:46 PM

Bahot acha likha hai aapne Rumi sahab!
Aur kya nafees baat chheDi hai
is 'waqt' shyad yeh aapki likhi hui sabse achi ghazal hai
Sach meiN dost, yeh behad pasand aaya.. aur umeed hai aap is taraH likhte raheN ge!

Aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
ZARRANAWAZI KA BEHAD-BEHAD SHUKRIYA.
Old
  (#3)
rumi
Registered User
rumi has a spectacular aura aboutrumi has a spectacular aura about
 
rumi's Avatar
 
Offline
Posts: 80
Join Date: Dec 2002
Location: Ab Tak Isi Duniya Me...
Rep Power: 23
Smile ZARRANAWAZI KA BEHAD-BEHAD SHUKRIYA. - 20th January 2003, 03:38 PM

AADAB ARZ HAI JANAB,
AAPNE JO HAUSLA-AFZAI KEE HAI , USKE LIA MAIN AAPKA BAHUT SUKRGUZAR HOON.
AAPKE ISI HAUSLA-AFZAI KEE WAJAH-KAR MAIN NE LIKHNA SHURU
KIYA HAI,AUR UMMID HAI KE LIKHTA RAHOONGA AGAR AAP LOGON KA SATH YUN HI BANA RAHE.

YUN HEE MUSKURATE RAHEN.



AAPKA APNA


Dilon Ki Imaaraton Mein Kahin Bandagi Nahi….................
Aur Pathar Ki Masjidon Mein Khuda Dhoondtey Hain Log............

(ALLAMA)
  Send a message via Yahoo to rumi  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
ye haqeeqat hai salman4rose Shayri-e-Ishq 0 16th August 2008 08:34 PM
haqeeqat find_zamir Shayri-e-Dard 0 17th August 2004 06:13 PM
haqeeqat dard_thesorrow Shayri-e-Ishq 0 3rd July 2004 01:07 PM
Haqeeqat ghayalparwana Shayri-e-Dard 14 27th February 2004 07:11 PM
Haqeeqat mohit Shayri-e-Ishq 2 9th June 2003 09:04 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com