Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
raNg-e-aariz meiN mile zulf-e-pareeshaaN meiN mile
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
raNg-e-aariz meiN mile zulf-e-pareeshaaN meiN mile - 25th May 2013, 03:36 PM

dostoN ... aadaab ..... ek arsey ke baad apki bazm meiN dastak de raha hooN .... bas dil-o-dimaagh aur kalam se zang saaf kar ke kuchh likha tha ... so apki nazar kar raha hoon


raNg-e-aariz meiN mile zulf-e-pareeshaaN meiN mile
koyee paighaam-e-bahaaraaN hi ik khizaaN meiN mile

(raNg-e-aariz = colour of cheeks, zulf-e-pareeshaaN = scattered hair)


lutf ye wo jo faqat mausam-e-hijraaN meiN mile
wasl se zyaada khushi wasl ke imkaaN meiN mile

(imkaaN = possibility)


ye kh’moshee ki salaakheiN bhi kabhi tooteNgee
jab mile ankahi baatoN ke hi zindaaN meiN mile

(zindaaN =prison)


teri jaanib se humeiN koyee ishaara mil jaaye
deeda-e-tar meiN mile ya lab-e-khandaaN meiN mile

(deeda-e-tar=wet eyes, lab-e-khandaaN = happy lips)


ek saaghar meiN hoN baadaaeiN mileeN do jaise
husn-e-jaanaaN ka tasavvur gham-e-jaanaaN meiN mile

(saaghar = cup, baadaaeiN = liquors)


hum-safar thei unheiN hum-dard samajh mat naadaaN
kaarvaaN meiN jo mile kab gham-e-dauraaN meiN mile

(gham-e-dauraaN = period of sorrow)


hum ne to sair gulistaaN ki hai chhorhee kab se
mujh se milna ho jise aa ke bayaabaaN meiN mile


mere chehre se mera haal samajhne waaloN
kab hai khwaaboN ka pataa abroo-o-mizhgaaN meiN mile

(abroo = eyebrows, mizhgaaN = eyelashes)


barf se ho chuke hum-saayaa makeeN aur maalik
dhoop se teri haNsee sard is makaaN meiN mile

(hum-sayaa = neighbour, makeeN = tenant)


zindagi naap ke aur tol ke ab kharch karooN
fikr jaaN ki meri aankhoN meiN meri jaaN ke mile


phir se jeene ki hai hasrat se uthee kyooN “zarraa”
us ke kya naqsh-e-qadam gor-e-gareebaaN meiN mile

(naqsh-e-qadam = footprints, gor-e-gareebaaN = grave of the poor)


- ZARRAA
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
25th May 2013, 10:49 PM

lutf ye wo jo faqat mausam-e-hijraaN meiN mile
wasl se zyaada khushi wasl ke imkaaN meiN mile

teri jaanib se humeiN koyee ishaara mil jaaye
deeda-e-tar meiN mile ya lab-e-khandaaN meiN mile

phir se jeene ki hai hasrat se uthee kyooN “zarraa”
us ke kya naqsh-e-qadam gor-e-gareebaaN meiN mile




hazrat ko khaaksaar ka aadaab.... kya kahun kuch samajh me nahi aa raha hai... ek to aapko dobara yahan dekhne ki khushi duusrii is nayaab kalaam ko padh kar ke bayaani ke baahar ho gayaa hai..... kya kahun miyaaN kya chaaNt chaanT ke sher kahe hain aapne.. waahh Subhan allah is tahreer ke kyaa kehne........

uupar kahe gaye sheroN pe dil se yakbayaq waahhh nikalta gayaa...


hum ne to sair gulistaaN ki hai chhorhee kab se
mujh se milna ho jise aa ke bayaabaaN meiN mile


is sher ko ek baar dekhen... saani ke Mujh ki jagah hum kar leiN to dono misre milte nazar aayenge.....

is purkhuloos ghazal ke liye tahe dil se daad peshe khidmat hain bhai.... tashreef laanee ke liye shukrguzaar hoon... aate rahen.. apne nagmon se mehfil me chaar chaand lagaate raheN....

Shukriyaa...... apna khayaal rakkheN...

Shaad...............


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
26th May 2013, 11:02 AM

Zarraa Sahib Addab,

Aapko yahan dekh kar sach maaniye bahut khushi ho rahi mujhe. Aap jaise
sanjeeda shayar ko par kar ruh ko ek sakoon aur dil ko bharpuur khushi milti hai,

Apki Ghazal/kalam apne aap mein ik misaal hota hai aur sab se achi baat aap
ke sheron mein mujhe lagate hai , kis khoobi se aap dard ko bhi shabdo mein dhalte hain aur aap hamesh positive message dete hain , Aap ki is ada ka main
fan hun,

Dil se daad kabool karen aur aage bhi yun hi aate rahen.

Regds
Sanjay Sehgal

Thanks ki aap ne difficult urdu words ka english meaning likh diya .Samajhane mein aasani hui



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
26th May 2013, 11:13 AM

zarra sahab...bahut khushi hui aapko mehfil mein dekhkar......bahut dino se aapki shayri miss ho rahi thi.....bahut khoob kalaam laga aapka.......ek se badkar ek aashaar hain...dheron daad aapke liye



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#5)
AnjAAn!!!
Registered User
AnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud of
 
AnjAAn!!!'s Avatar
 
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 28
27th May 2013, 08:20 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
dostoN ... aadaab ..... ek arsey ke baad apki bazm meiN dastak de raha hooN .... bas dil-o-dimaagh aur kalam se zang saaf kar ke kuchh likha tha ... so apki nazar kar raha hoon


raNg-e-aariz meiN mile zulf-e-pareeshaaN meiN mile
koyee paighaam-e-bahaaraaN hi ik khizaaN meiN mile

(raNg-e-aariz = colour of cheeks, zulf-e-pareeshaaN = scattered hair)


lutf ye wo jo faqat mausam-e-hijraaN meiN mile
wasl se zyaada khushi wasl ke imkaaN meiN mile

(imkaaN = possibility)


ye kh’moshee ki salaakheiN bhi kabhi tooteNgee
jab mile ankahi baatoN ke hi zindaaN meiN mile

(zindaaN =prison)


teri jaanib se humeiN koyee ishaara mil jaaye
deeda-e-tar meiN mile ya lab-e-khandaaN meiN mile

(deeda-e-tar=wet eyes, lab-e-khandaaN = happy lips)


ek saaghar meiN hoN baadaaeiN mileeN do jaise
husn-e-jaanaaN ka tasavvur gham-e-jaanaaN meiN mile

(saaghar = cup, baadaaeiN = liquors)


hum-safar thei unheiN hum-dard samajh mat naadaaN
kaarvaaN meiN jo mile kab gham-e-dauraaN meiN mile

(gham-e-dauraaN = period of sorrow)


hum ne to sair gulistaaN ki hai chhorhee kab se
mujh se milna ho jise aa ke bayaabaaN meiN mile


mere chehre se mera haal samajhne waaloN
kab hai khwaaboN ka pataa abroo-o-mizhgaaN meiN mile

(abroo = eyebrows, mizhgaaN = eyelashes)


barf se ho chuke hum-saayaa makeeN aur maalik
dhoop se teri haNsee sard is makaaN meiN mile

(hum-sayaa = neighbour, makeeN = tenant)


zindagi naap ke aur tol ke ab kharch karooN
fikr jaaN ki meri aankhoN meiN meri jaaN ke mile


phir se jeene ki hai hasrat se uthee kyooN “zarraa”
us ke kya naqsh-e-qadam gor-e-gareebaaN meiN mile

(naqsh-e-qadam = footprints, gor-e-gareebaaN = grave of the poor)


- ZARRAA
Zarra sahab behad dilkash 'ghazal hui hai. Waaaahhh.... Ehsaaso'n ke jis samandar se aapne khayaalo'n ke aise aise moti nikaale hai'n, yaqeenan wo bahut gahra hai. Sabhi ash'aar bahut pasand aaye kuch cheeze'n alag se kahne ki ijaazat chahta hu'n


zindagi naap ke aur tol ke ab kharch karooN
fikr jaaN ki meri aankhoN meiN meri jaaN ke mile

Yahaa'n radeef 'ghalat ho gaya hai.

Baaqi doosre sh'er ke baare me'n Shoaib bhai pahle bhi kah chuke hai'n. Overall 'ghazal bahut pasand aayi. Dhero'n daad


_____________________________________
  Send a message via Yahoo to AnjAAn!!!  
Reply With Quote
Old
  (#6)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
27th May 2013, 09:28 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
lutf ye wo jo faqat mausam-e-hijraaN meiN mile
wasl se zyaada khushi wasl ke imkaaN meiN mile

teri jaanib se humeiN koyee ishaara mil jaaye
deeda-e-tar meiN mile ya lab-e-khandaaN meiN mile

phir se jeene ki hai hasrat se uthee kyooN “zarraa”
us ke kya naqsh-e-qadam gor-e-gareebaaN meiN mile




hazrat ko khaaksaar ka aadaab.... kya kahun kuch samajh me nahi aa raha hai... ek to aapko dobara yahan dekhne ki khushi duusrii is nayaab kalaam ko padh kar ke bayaani ke baahar ho gayaa hai..... kya kahun miyaaN kya chaaNt chaanT ke sher kahe hain aapne.. waahh Subhan allah is tahreer ke kyaa kehne........

uupar kahe gaye sheroN pe dil se yakbayaq waahhh nikalta gayaa...


hum ne to sair gulistaaN ki hai chhorhee kab se
mujh se milna ho jise aa ke bayaabaaN meiN mile


is sher ko ek baar dekhen... saani ke Mujh ki jagah hum kar leiN to dono misre milte nazar aayenge.....

is purkhuloos ghazal ke liye tahe dil se daad peshe khidmat hain bhai.... tashreef laanee ke liye shukrguzaar hoon... aate rahen.. apne nagmon se mehfil me chaar chaand lagaate raheN....

Shukriyaa...... apna khayaal rakkheN...

Shaad...............
Bhai Shaad ... Itne waqt ke baad tum se guftagoo kar ke kitna acchha lag raha hai, bata bhi naheen sakta aur bataane ki zaroorat bhi naheen hai shaayad. Awwal to is bazm ki tumhein rehnumaayee karte huwe dekh kar behad khushi huwee kyunki tum ek aalaa darje ke shayar ho, ek nek insaan ho aur ek "enthu character" bhi ... jo hum jaise thake haaron se bhi thorhee mehnat mashakkat karwa lete hain !!! meri sabhi duaein tumhare saath hain, aur is bazm aur uske saathiyon ke saath bhi...

Bhai tum ne jis dil se jis shauq se jis mohabbat se is ghazal ko parha aur apnaaya ... aur jitni dariyadilee se taareef ke, uska shukriya ada karne ke liye alfaaz kam bhi parh gaye hain aur na parhte to kaafee na hote.

Aur haan, wo "hum" aur "mujh" waala point jo apne rakha hai, wo ek dum valid baat kahi hai ... urdu adab mein waqayee ek hi sher mein sambodhan ke do forms ko mix naheen karte. Thx for pointing out. Asal mein, main saanee ko "hum" se shuroo karna avoid kar raha tha taaki repetitive na lage aur sher mein ek verbal twist ka ehsaas ho, isiliye ye galti huwee ho shayad. Isko kuchh is tarah kehne ka soch raha hoon ..... "jis ko milna hai humeiN aa ke bayaabaaN meiN mile"

Ummeed hai baakee sab khairiyat se hoga .... Apna khayaal rakhna .... Take care !!! Zarraa

Last edited by zarraa; 27th May 2013 at 09:55 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
27th May 2013, 09:37 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Zarraa Sahib Addab,

Aapko yahan dekh kar sach maaniye bahut khushi ho rahi mujhe. Aap jaise
sanjeeda shayar ko par kar ruh ko ek sakoon aur dil ko bharpuur khushi milti hai,

Apki Ghazal/kalam apne aap mein ik misaal hota hai aur sab se achi baat aap
ke sheron mein mujhe lagate hai , kis khoobi se aap dard ko bhi shabdo mein dhalte hain aur aap hamesh positive message dete hain , Aap ki is ada ka main
fan hun,

Dil se daad kabool karen aur aage bhi yun hi aate rahen.

Regds
Sanjay Sehgal

Thanks ki aap ne difficult urdu words ka english meaning likh diya .Samajhane mein aasani hui
Pyaare dost Sanjay .... Koyee puraanee jagah laut kar mein aap jaise dost ka wahee saath aur mohabbat mile to waqayee bahaut hi achchha feel hota hai... Dost itne apnepan se is ghazal parhne ka aur saraahne ka bahaut shukriya. Aur jaise kehte hain "beauty lies in the eyes of the beholder", usee tarah aap ke andar bhi wo ehsaas aur wo sensitivity hogi jisse apko mera qalaam achchha lag raha hai .... aap ne jis tarah is ghazal ko parha wo jitni thi usse kaheen zyaada achchee ho gayee hai .... to meri kalam se kaheen kaheen zyaada kamaal aapki nazar ka hai!!! Apke saath ka tah e dil se shukriya aur apko dheron duaein .... Zarraa

Last edited by zarraa; 27th May 2013 at 09:54 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
27th May 2013, 09:40 PM

Quote:
Originally Posted by aru View Post
zarra sahab...bahut khushi hui aapko mehfil mein dekhkar......bahut dino se aapki shayri miss ho rahi thi.....bahut khoob kalaam laga aapka.......ek se badkar ek aashaar hain...dheron daad aapke liye
Aru ji ... Apka reply dekh kar mujhe bhi bahaut achchha laga... Thank you for your warm welcome (back)... Apki daad sar ankhon par ... Bahaut bahaut shukriya ..... My best wishes and take care .... Zarraa
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
27th May 2013, 09:51 PM

Quote:
Originally Posted by AnjAAn!!! View Post
Zarra sahab behad dilkash 'ghazal hui hai. Waaaahhh.... Ehsaaso'n ke jis samandar se aapne khayaalo'n ke aise aise moti nikaale hai'n, yaqeenan wo bahut gahra hai. Sabhi ash'aar bahut pasand aaye kuch cheeze'n alag se kahne ki ijaazat chahta hu'n


zindagi naap ke aur tol ke ab kharch karooN
fikr jaaN ki meri aankhoN meiN meri jaaN ke mile

Yahaa'n radeef 'ghalat ho gaya hai.

Baaqi doosre sh'er ke baare me'n Shoaib bhai pahle bhi kah chuke hai'n. Overall 'ghazal bahut pasand aayi. Dhero'n daad

Arrey Anjaan miyaan .... Kaise ho ... Ummeed hai sab khairiyat se ....

Dost apne jis dariyadilee se taareef ki ... us zarranawaazee ka qarzdaar hoon...

Aur radeef ke muamle mein apne ek dum sahi farmaaya ... Arrey ye to hum se bahaut barhee blunder ho gayee hai !!!! Thanks so much for pointing out ... Mujhe hairani hai ki aisi fundamental mistake huwee kaise aur ab tak notice mein bhi naheen aayee ... Maanna parhega aapki paini nigaah ne ise dhoondh liya ... Chaliye marammat ka koyee raasta dhoondhege ... Ab sher ek baar keh diya hai to waapas bhi to naheen le sakte soch raha hoon saanee ko kuchchh aise keh doon ..."fikr jaaN ki meri deedaa-e-meri jaaN meiN mile" ... not the most elegant but at least technically correct

Ummeed hai ye guftagoo ka silsila aage bhi chalta rahega ... Take care my friend .... Zarraa
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
shab_seher
Registered User
shab_seher is a jewel in the roughshab_seher is a jewel in the roughshab_seher is a jewel in the rough
 
shab_seher's Avatar
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Mar 2007
Location: lucknow,india
Rep Power: 20
30th June 2013, 02:00 AM

bhat khoob.. Sabse acchi baat aap shabdon k saath unka arth bhi dete hain jisse humesha kuch na kuch seekhne ko milta hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
30th June 2013, 10:02 AM

Quote:
Originally Posted by shab_seher View Post
bhat khoob.. Sabse acchi baat aap shabdon k saath unka arth bhi dete hain jisse humesha kuch na kuch seekhne ko milta hai...

waqt dene ka aur pasand karne ka shukriya shab_seher ji
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com