sagar ki lehron sa itraya na karo -
29th December 2013, 02:33 PM
sagar ki lehron sa itraya na karo
rukhsar ko parde mein chipaya na karo
dekh to le eak baar nazren mila ke
nazren mila kar nazren churaya na karo
koi nahi samjhta is dil ki bebsi ko
sabko hale dil sunaya na karo
der se aana teri aadat hai sanam
aaker mere pehlo mein jaya na karo
rokne se bhi nahi rukta dil ka sailab
is sailab ko palkon per sajaya na karo
dekh ker tere jalwe madhosh hua hun
mujhe tum diwana batayaq na karo
teri eak khushi ke liye jaan nisar hai
ishq mein SHAKIR ko aajmaya na karo
|