Quote:
Originally Posted by prasaxena
Aziizaan-e-mehfil
Arsa-e-taveel ke baa'd haazir ho raha huuN. Kaam ki masruufiyaat aur chand haalaat ne kuch kehne aur is mehfil meN ziyadah waqt dene ka mauqa hi nahiiN diya. Baharhaal maa'zrat chaahte hue ye halki-phulki si ghazal pesh kar raha huuN.
Apni aaraa se zaruur nawaziyega.
----------------------------------------------
GHAZAL
Ek patThar ko yuuN Khuda karke
Kya milaa aisa tajarba karke
Dard baRhta gaya davaa karke
Lmaha-lamha, zara-zara karke
Ban gayii baddua Khushi wo hi
Jis ko maanga kiye dua karke
ZaKhm khaaye baRe-baRe hamne
Uss sey choti sii ilteja karke
Zindagi aazmaye jii bharke
Hum bhi nikle haiN hosla karke
Raaste meN yaqiiN mila lekin
Wo bhi jaata raha dagha karke
Sirf yaadeN hi humne paayii haiN
Bhool jaane ka faisla karke
Usski raahoN ka ruKh agar karna
ZaKhm khaane ka hosla karke
Yaad rakhna bhalaii auroN ki
Bhuul jaana magar bahala karke
Khaaksaar
Praveen Saxena
|
Praveen ji namaskaar
muje hairaani ho rhi hai yeh dekh kar ki etni umda gazal par etne saaloN tak kisi ki nazar hi nahi gye, bahut hi kamaal ka likha hai aapne, dilli mubarakbaad kabool kijiye.
Shukriya Maikash ji, aapki vajha se aaj ham es poetry ko pad paaye hai.
