Quote:
Originally Posted by B.G.M.
Dosto!
aaj ik raqs-ravaaN Ghazal aap ko sunaataa huuN,
mire marGhuub shaa'ir Janaab Raj Kumar "Qais" saahab ne yeh 2007 meN likhii thii,
ummeed hai aap ko pasand aayegi.
aur haaN, aap ki daad-o-teHsin maiN shaa'ir tak pahuNchaa duuNgaa gar qubuul uftaad!
-------------------------------------------------------------------------
Ghazal
"nashaa sharaab meN hotaa to….
1. maiN tashna-lab thaa magar band band thii botal!
uThii jo aaNkh kisii ki to khul gayee botal!!!
2. mire Khumaar ko darkaar thaa to bas itnaa
kabhii kabhii woh nigaaheN, kabhii kabhii botal!
3. hare bhare mire armaaN, hare bhare sapne
magar nah haath meN aa'ii 'harii bharii' botal
4. tumhaarii "neem-nigaahii" ne maar maar diyaa!
khaTak rahii hai nazar meN woh "adh-khulii" botal!!!
5. ghuTii ghuTii si suraahii, dabii dabii si sharaab
hameN to chaahiye ik "jeeti jaagtii" botal!
6. jhijak jhijak si rahii thii magar, Khudaa rakkhe,
juNhii khulii to chhalaktii chalii gayee botal!
7. lagaaya haath to sharmaa ke kuchh simaT si gayee!
bharaa jo ghuuNT to yak-dam machal gayee botal!!!
8. Khumaar ruuH ko hotaa to jism lehraataa!
"nashaa sharaab meiN hotaa to naachatii botal"!
9. nah puuChhiye kih dil-e-Gham-zadah pe kyaa guzrii?
udoo ke haath meN dekhii jo Qais ki botal!
~Raj Kumar ‘Qais’ 11/2007
================================================
|
BGM Ji.....bahut khoobsurat ghazal bani hai Botal par

hame Bhi Botal ko pad kar bahut majja aaya

khoobsurat Botal yahan share Karne ke liye bahuttt bahuttt Shukriya

Nasha sharaab meiN hota to naachti Botal...bahut khoobsurat baat hai.
Regards
