Quote:
Originally Posted by AHMAD SHAKIL
Arbaab-e-Zauq Ko Aadaab….!Dosto Kaafi Dino Baad Kuch Likh Paaya Huun, Ummiid Hai Ke Pasand Aaye Ga…. Aap Ahbaab Se Guzaarish Hai ke Apni Raaye Se Zaruur Nawaaziye Ga…
YAAD KI MAALA PIRONA DAIR TAK
Hasraton Ke Beej Bona Dair Tak
Baad Uske Rona Dhona Dair Tak
Pattharon Ke Beech Na Saalim Raha
Kaanch Ka Koi Khilona Dair Tak
Parrh Ke Uski Yaad Ki Tehreer Ko
Apne Ashkon Se Bhigona Dair Tak
Shayad Uske Dil Me Ho Chahat Meri
Main Ne Chhaana Kona Kona Dair Tak
Hai Mera Tanhaayi Me Ye Mashghala
Yaad Ki Maala Pirona Dair Tak
Aaj Mere Sar Talay Us Ne Dia
Apni Baanhon Ka Bichona Dair Tak
Ishq Hai Tum Se Mujhay Be-Intaha
Haan Yehi Mujh Se Kaho Na.! Dair Tak
AHMAD ALI SHAKIL
|
Ahmad Shakil Ji, behad khoobsurat ehsaas, sabhi asiyaar tareef ke Kabil hai, aapki ghazal es forum ke liye select hue hai, dil we mubarakbaad kabool kijiye