Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
Old
  (#161)
Manish K Bansal
Registered User
Manish K Bansal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 146
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 21
14th January 2004, 02:36 PM

Dear Friends,

Mai 1st time iss bazm mai shamil ho raha hoon. Maine Sang sabd ko liya hai. Yah ek ghazal hai.. Shayer ka naam to yaad nahi par ghazal yaad hai use likh raha hoon.

Saari duniya aik kahani kehti hai
Chaand nagar me aik shehzadi rehti hai
Aadhi raat ko chaand zameen par aata hai
Jhil ka paani aaina ban jaata hai
Aik shehzada chup chup dehaan me jalta hai
Aik qadam me saat samandar chalta hai
Shehzadi jab Chaand se bahir aati hai
Khushboo me sakhiyon sang nahati hai
Shehzada jab baagh ke andar aata hai
Shehzadi ko chaand bula le jaata hai

Last edited by Manish K Bansal; 14th January 2004 at 02:39 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#162)
arvindsony
Rajni
arvindsony is on a distinguished road
 
arvindsony's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Sep 2003
Location: Boston *USA*
Rep Power: 21
14th January 2004, 03:17 PM

My Word is Duniya..

Har vaqt khushi nahi rehti, gam nahi rehta
Duniya main hamesha koi mausam nahi rehta

Love Is Life.
Love Is God.
Love is worship.
Love is Everything......
   
Reply With Quote
Old
  (#163)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
14th January 2004, 05:35 PM

Manish Jee, gazal achhi thi. Ek kahani jeisi.
Arvind Jee, nice one. Thanks to you both.

Nehi lafhj se age karti hu. Gazal hein. Singers are Jagjit Singh Jee & Lata Mangeshkar Jee.

Dil meh ab darde mohabbat ke siva kuch bhi nahi
Dil meh ab darde mohabbat ke siva kuch bhi nahi
zindegi meri iibaadat ke siva kuch bhi nahi
Dil meh ab darde mohabbat ke siva kuch bhi nahi

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#164)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
14th January 2004, 06:24 PM

meine "khushi" shabd chuna hai......apni hi likhi ek gazal send kar raha hoon.....

labon se hasin door jane lagi hai
udaasi mujhe raas aane lagi hai

mera gam mera muqaddar...
khushi mujh se aankhen churane lagi hai

dard se sadiyon ka rishta hai koi
mohabbat mujhe samjhane lagi hai

aandheron ki aadat mujhe ho jali hai
roshni mujh se khauf khaane lagi hai

bechaini ke lamhon mein karar pata hoon
sookun ki ghadiyaan tadpane lagi hai

tanhai ka aalam yeh ho chala hai "kureel"
parchai bhi mujhe ab darane lagi hai

-Manoj Kureel

apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#165)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
14th January 2004, 06:34 PM

Dear Manoj Jee, bura nehi maniyega. Pehle toh yeh hein ke aapne Khushi lafhj kaha se liya? Dusri aap hamesha minus 100 karne ki kowshish kyu karte hein? This isn't fare. Atleast check the simple rules? Ab aap hi bataiye ke mein karu toh keya karu?
I will not write anything. Thanks a lot. Take care. God bless you.

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#166)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
14th January 2004, 08:12 PM

paras dost,
tumne yaad kiya to chali aayi....
shimul se dil labz le kar........
kuchh to is dil ko, saja di jaaye,
ooski tasweer hata di jaaye.
-------- mohmad alvi ji

Last edited by meena chheda; 14th January 2004 at 08:16 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#167)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
14th January 2004, 08:16 PM

Dear Meena, nice one. Thanks. Take care. God bless you.
Yaad lafhj se age karti hu.
Ek geet se, as always.

Nahi yeh ho nahi sakta ke teri yaad na aye
tujhe bhulne se pehle meri jaan chali jaaye
tujhe bhulne se pehle meri jaan chali jaaye.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#168)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
14th January 2004, 08:19 PM

shimul tumse yaad le kar......
sab ke sab, yaad chale aate hai,
aaj kis kis ko, duwaa di jaaye?
----- mohmad alvi ji.
   
Reply With Quote
Old
  (#169)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
14th January 2004, 08:23 PM

Meena Jee, keya baat hein. Achha laga. Thanks. Take care. God bless you.
Yaad lafhj se age karti hu.
Abhijeet Jee ke awaz meh.

Yaad karne se tujhko nikalti hein jaan
Yaad karne se tujhko nikalti hein jaan
bhul jaana ab toh mere baash meh nehi
naam le le kar tera tadapta hein dil
dil deewana ab toh mere baash meh nehi
yaad karne se tujhko.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#170)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
15th January 2004, 08:44 AM

shimul se dil labz le kar......

aankho maie bas ke dil maie sama kar chalae gayae,
khwabida zindgi thhi jaga kar chlae gayae.

------- jigar muradabadi
   
Reply With Quote
Old
  (#171)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
15th January 2004, 10:55 AM

Merii sakhii Meena se humne Zindagi le kar....

zindagi tujh se har ik sans pe samjhauta karoon,
shouq jeene ka hai mujhko, magar itna to nahi

rooh ko dard mila, dard ko ankhen na milin
tujhe mehsoos kiya hai, tujhe dekha to nahin

sochte sochte dil doobne lagta hai mera
zahen ki teh mein "Muzaffar" koi dariya to nahi......

Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....

Last edited by sanjoo; 15th January 2004 at 11:05 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#172)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
15th January 2004, 12:03 PM

Shimul didi
isme bura manne ki kya baat hai...aap ka haq hai mujhe daatna...mein to naadan hoon ,,mujhe maloom nahin tha is bazm ke rules..meine to "khushi"' ward arvindsony ke sher se liya tha,,im so sorry mere kaaran aap logon ko pareshani hui..mera aisa maqsad hargiz nahin tha.....parastar ji ne mujhse kai baar gujarish ki thi ki mein unki bazm mein shirkat karun,,,bas isiliye aa gaya tha,,magar mujhe afsos hai meine yahan ka mahaoul bigada...
im sorry again
-Manoj

apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.

Last edited by manoj kureel; 15th January 2004 at 12:10 PM..
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#173)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
15th January 2004, 12:58 PM

MARGHATIS 6900, KABRISTAANIS 3400

KABRISTAANI--

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash, ghayalparwana, arnab,

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, madh-e-ghum, shimul, mast, sofia saaed

kuch bandishein hain yahan sher ya poem post karne kee…

Maximum length 12

lines (your own or borrowed).

Celebrating zindagi, pyaar, dosti, ma-baap, vagairah vagairah.

No no words, maut, chita, shamshaan, vagairah vagairah.

Must use one of the words from last post, just any.

We will have two teams…1 Marghati 2 Kabristaani
(when you post a sher, if you are not already in a team, Sakhi will assign you a team, and occasionally we will post points as well as team members’ names).

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#174)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
15th January 2004, 01:04 PM

Sanjoo...welcome back...asha hai ab aap aate raheinge is bazm mein...aur manoj yeh kya uut patang bol rahe ho...mahaul kharab?...jaldi se aapki post yahan honi chaahiye...ok...yeh hukm hai moderator kee kursi pe baithee paras kaa...lol....

zindagi tujh se har ik sans pe samjhauta karoon,
shouq jeene ka hai mujhko, magar itna to nahi

rooh ko dard mila, dard ko ankhen na milin
tujhe mehsoos kiya hai, tujhe dekha to nahin

sochte sochte dil doobne lagta hai mera
zahen ki teh mein "Muzaffar" koi dariya to nahi......

yeh sanjoo jee ne likha hai...plz continue...Yelow emoticon ka dhyaan sab rakha kijiey...plz...nahin tau aapki team ko yoonhi -100pts mil jaayeinge

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#175)
Manish K Bansal
Registered User
Manish K Bansal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 146
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 21
15th January 2004, 02:31 PM

My word is zindagi

AAPKI ZINDAGI MEIN KABHI KOI GHAM NA HO,
AAPKO ANKHEN KABHI ANSUON SE NUM NA HO,
AAPKO MILE ZINDAGI KI HAR KHUSHI,
BHALE HI US KHUSHI MEIN HUM NA HO….
   
Reply With Quote
Old
  (#176)
Manish K Bansal
Registered User
Manish K Bansal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 146
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 21
15th January 2004, 02:46 PM

My word is zindagi

AAPKI ZINDAGI MEIN KABHI KOI GHAM NA HO,
AAPKO ANKHEN KABHI ANSUON SE NUM NA HO,
AAPKO MILE ZINDAGI KI HAR KHUSHI,
BHALE HI US KHUSHI MEIN HUM NA HO….

Reply With Quote
Old
  (#177)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
15th January 2004, 04:26 PM

Dear Manoj Jee, aap lagraha hein bura manhi gaye. Mujhe pata hein ke sabko hi Paras Jee ne yeaha ane ke liye kaha hein. Mujhe bhi kahi thi. Aur dusri baat yeh hein ke aapne koi post kyu nehi kee? If you write something you got to post after as well. Yeh keya baat huyi? Well up to you how you feel & think. Mein aur kabhi bhi kuch nehi kahungi kisiko bhi. Thank you. Take care. God bless you.
Dear Paras Jee, thanks. Take care. God bless you.

Dear Meena Jee, nice one. Likhte rahiyega. Thanks. Take care. God bless you.

Dear Sanjoo, keise ho? Beautiful words you have written. Bohot achha laga tumhe wapas dekhkar. Thanks. Ab achha lagna hein.
Take care. God bless you.
Manish Jee, Hope you are well. Nice one. Keep up the good work.

Zindegi Lafhj se age karti hu. Lata Jee aur Nitin Jee ke awaz meh.

Zindegi ki na toote lari Pyaar karle ghadi do ghadi
O lambi lambi umariya ko choro Pyaar ki ek ghadi hein badi
Pyaar karle ho Pyaar karle ghadi do ghadi
Zindegi ki na toote lari Pyaar karle ghadi do ghadi.......
Un ankhon ka hashna bhi keya jin ankhon meh paani na ho
woh jaawani jaawani nehi jishki koi kahani na ho
ansoo hein khushi ki lari Pyaar karle ghadi do ghadi
Zindegi ki na toote lari Pyaar karle ghadi do ghadi.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#178)
Manish K Bansal
Registered User
Manish K Bansal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 146
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 21
15th January 2004, 06:39 PM

Dear Friends,

Maine Pyar sabd ko liya hai. Yah ek ghazal hai.. Shayer ka naam to yaad nahi par ghazal yaad hai use likh raha hoon. Film ka naam Tha “ main prem ki dewani hoon”

Log Kehte Hai Paagal Hoon Main Yeh Bhi Na Jaanu
Dil Lutaya Hai Maine Ab Kisi Ki Na Maanu
Chain Dekar Ke Maine Bechainiya Yeh Li Hai
Neende Udakar Ke Maine Tumse Wafaye Ki Hai
Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se
Jee Rahe The Hum Tere Dum Se
Ab Yeh Pyaar Na Hoga Phir Humse
Kasam Ki Kasam Hai Kasam Se
Humko Pyaar Hai Sirf Tumse

Last edited by Manish K Bansal; 15th January 2004 at 06:42 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#179)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
15th January 2004, 06:52 PM

Wow Manish Jee, aap bhi toh gana likhrahe hein. Good one.
Mein Tumse lafhj se age karti hu. Film Tere Naam.

Tumse milna baate karna bada achha lagta hein
keya hein yeh kyu hein yeh keya khabar haan magar
bada achha lagta hein.......
tumse milna baate karna bada achha lagta hein.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#180)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 15th January 2004, 08:53 PM

shimul g ki post se lafz batain le kar aik chota sa sher...
----------
JINHAIN HAM PHOOL KAHTE HAIN
WOH PIYARI BATAIN TUMHARI HAIN..
-----------
dont know k kis ka hay or kiya hay..
bas mind main abhi klik kiya to likh diya..meena ji..aap ne hmari bat mani or yahan ana jana rakha..ham aap k ehsan mand hain boss....
SHIMUL G ,,,kuch reham nahin mile ga ..hmari team ko..yeh
PARASTAR SHIBA ne cheating ki hay jo aap ko apne pass rakha tha......
take care..all...
:rolleyes

banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#181)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
15th January 2004, 09:20 PM

Wah keya baat hein. Aap ka bhi keya kehna. I am impressed. Just kidding. Mein shayar toh nehi!!!!!!!
Thanks. Take care. God bless you.

Mein bhi Jinhein lafhj se age karti hu.
Mukesh Jee ke awaz meh yeh geet.

Jinhein hum bhulna chahe woh aksar yaad ate hein
vhala ho ish mohabbat ka vhala ho ish mohabbat ka
woh phirkar(Kyu?) yaad ate hein.......
Jinhein hum bhulna chahe woh aksar yaad ate hein.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#182)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
16th January 2004, 09:17 AM

MARGHATIS 7400, KABRISTAANIS 3500

KABRISTAANI--

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash, ghayalparwana, arnab,

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, madh-e-ghum, shimul, mast, sofia saaed

kuch bandishein hain yahan sher ya poem post karne kee…

Maximum length 12

lines (your own or borrowed).

Celebrating zindagi, pyaar, dosti, ma-baap, vagairah vagairah.

No no words, maut, chita, shamshaan, vagairah vagairah.

Must use one of the words from last post, just any.

We will have two teams…1 Marghati 2 Kabristaani
(when you post a sher, if you are not already in a team, Sakhi will assign you a team, and occasionally we will post points as well as team members’ names).
MARGHATIS 7400, KABRISTAANIS 3500

Shimul....i can't thank you enough...aap mera right hand ho gayi hain...pata nahin yeh Talib aur Sakhi kahan chale gaye hain...they were both going to help...well...Jab tak wo nahin aate I will keep track of the points with your help off course...

Manish welcome...to the bazm...sabko yahan paakar itni khushi hoti hai mujhe...khan bhai...aapne bhi lagta hai...paras ko maaf kar diya...bhayyia...hum kya kahein...aapki team ko aapki Captain Meena ne hand pick kiya hai...hamein daraa ke dhamka ke...ki hamne unki team mein unkee pasand ke log nahin daale woh bycott kar deingi...LOL

Aur Shimul, Manoj naraaz nahin hai...bus sharminda tha ki usne yeh rule nahin pada tha dhyaan se...everything is fine...you can tell people if they are missing something...main bhi karti hoon yahi...

Jinhein hum bhulna chahe woh aksar yaad ate hein
vhala ho ish mohabbat ka vhala ho ish mohabbat ka
woh phirkar(Kyu?) yaad ate hein.......
Jinhein hum bhulna chahe woh aksar yaad ate hein.......

Yeh shimul ne likhaa hai ....plz continue.....

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#183)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
16th January 2004, 02:24 PM

shimul didi
aap aisa kyu samjh baithi ki mein aapse naaraz hoon????
mein sirf sharminda hoon.,,khud se kyunki mujhe yahan ke rules nahin maloom the...aur aap ka haq hai mujhe daatna,,aakhir mein aap se umar mein chota hoon,,isiliye meine yeh kaha,,mujhe behad dukh hai ki aap iskko galat samjhi.....mujh se koi agar galti hui hai to use muaf kar dijiye....plzzzzz
-Manoj

apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
hi
Old
  (#184)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 16th January 2004, 03:03 PM

hi all...shimul g ki post se lafz..BHUL le kar...aik sher
------
pi thi is liye k tujhay bhul skain zara
do ghont hi liye the tujhe sochne lage
------

banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#185)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
16th January 2004, 04:03 PM

Dear Manoj Jee, meine aise ish liye kaha kyu ke aap kuch likhhe nehi the aur aapko pata hein ke kuch likhna chahiye. Phirse aapne kuch nehi likhha. Please keep posting, ok? Thanks.
Paras Jee, Thanks.
Aur aapko keya kahu? Do lines likhte hein lekin hamesha hi achha lagta hein. Sabko hi achha lagta hoga zaroor. Thanks. Take care. God bless you all.

Mein Tujhe lafhj se age karti hu. Mohd. Rafi Jee ke awaz meh.

Chahunga mein tujhe saanjh sawere
phir bhi kabhi ab naam ko tere awaz meh na dunga
phir bhi kabhi ab naam ko tere awaz meh na dunga
Dekh mujhe sab hein pata sunta hein tu maan ki sada
Meetwa mere yaar tujhko baar baar awaz mein na dunga
awaz mein na dunga chahunga mein tujhe saanjh sawere
phir bhi kabhi ab naam ko tere awaz meh na dunga
Chahunga mein tujhe saanjh sawere.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#186)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
16th January 2004, 04:14 PM

shimul se naam labz le kar........
jab kisi ne tumhara naam liya,
jaane kyon mujko apni yaad aayi.

--- naresh kumaar - shaad
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#187)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 16th January 2004, 04:22 PM

hi ..n thanks SHIMUL G..and..MEENA BOSS...
lafz..YAAD le kar
----
aya hi tera naam or ankhain jhalak gayi
anso kisi ki yaad k kitne karib the,,,,,,,
,,,,,
banjara'''''

banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#188)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
16th January 2004, 04:33 PM

Dear Meena Jee, nice one. Waise ab maza araha hein ke nehi? Thanks. Take care. God bless you.
Wah bohot khub. Again in 2 lines but beautiful. Likhte rahiyega. Shukriya. Take care. God bless you.

Ansoo lafhj se age karti hu. Ek Gazal, zaroor sune honge.

Kabhi ansoo kabhi khushboo kabhi nagma bankar
Kabhi ansoo kabhi khushboo kabhi nagma bankar
Hum se haar shaam mili hein tera chehra bankar
Kabhi ansoo kabhi khushboo kabhi nagma bankar
Hum se haar shaam mili hein tera chehra bankar
Hum se haar shaam mili hein tera chehra bankar
Kabhi ansoo kabhi khushboo kabhi nagma bankar
Meri jaagi huyi raato ko ushi ki hein talash.......
Soraha hein meri ankhon meh jo sapna bankar.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#189)
madhegum
Madah-E-gum
madhegum will become famous soon enough
 
madhegum's Avatar
 
Offline
Posts: 147
Join Date: Jun 2003
Rep Power: 21
16th January 2004, 04:36 PM

BaADaB . NaZar-E-Buzm
Parastaar Jii .........

Aap Ki DaWaT MiLi ... Aur Aap Ne Jo Ye BuZm-E-LaZZaT-E-KaiF Mein Itne Acche Acche Shayar Ko DaWaT Dii Us ke Liye TaheDiL Se SuKaRGuZaR HaaN hum...

Par HuM AaP se Aik SaWaL PooChNe Jaa RaHe Hai .... ShaYaD Aap Ko AccHa Na LaGeiN ... PaR Aap ki Team Dekhi HumNe KuCh KaMii HaaN Is Team MeiN ..

KABRISTAANI—

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash,...

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, parastaar, madh-e-ghum...

TeaM MeiN BaHuT Se QabiL Log Hai .. Par Aap NE BaHuT Un Ko NahiN BuLaYa Jo Shayri.com Ki ShaaN hai .. Jaise ... Sharaabi ji, kshitiz ji, Ghayal parwana , Banjara khaN ji , Aise Hi Na JaNe aur bhi KiTne Acche Shayar hai Jin Ko Aap Ne Ye DaWaT NahiN dii ..
MeiN un Sab Ko yeha Aane Ki DaWaT Dena Chahuga Agar Aap Chahe...

GhaZal kuch Is TaRaH Pesh Hai .... ... "mohabbat mar nahi sakti"

Hazaroon dukh pare suhna mohabbat mar nahi sakti
Hai tumse bas yehhi kehna mohabbat mar nahi sakti

Tera har baar mere khat ko parna aur ro deyna
Mera har baar lekh deyna mohabbat mar nahi sakti

Kya tha humne campas ki neend per ek haseen wada
Bhale hum ko pare marna mohabbat mar nahi sakti

Jahan mein jab talak panchi chehakte urte pehrte hein
Hai jab tak phool ka khelna mohabbat mar nahi sakti

Purane eehad ko jab zinda karne ka khayal aaye
Mujhe sab itna lekh deyna mohabbat mar nahi sakti

Wo tera hijar ki shab phone rakhne se zara phele
Bohot roote hoy kehna mohabbat mar nahi sakti

Aagar hum hasratoon ki kabar meinhi dafan ho jaein
To yeh kitaboon pe lekh deyna mohabbat mar nahi sakti

Purane rabtoon ko phir naye wadoon ki kawashih hai
Zara ek baar to kehna mohabbat mar nahi sakti

Gay lamhaat fursat ke ke kahan se dhund kar lahoon
Wo pehroon hath per lekhna mohabbat mar nahi sakti

madhegum

*************************

jo dard mila hai madine se mila hai
allah ka isfan unke ghar se mila hai
jisko bhi mila hai mukaddar sse mila hai
humko to mukaddar bhi unke ghar sse mile hai
  Send a message via Yahoo to madhegum  
Reply With Quote
hi
Old
  (#190)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 16th January 2004, 04:37 PM

SHIMUL G ki post se lafz..SHAM ..le kar
---------
tu to soraj tujhay malom nahin raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar main utar shaam k baad
written by...FARHAT ABBAS SHAH...

banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#191)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 16th January 2004, 04:51 PM

bohat mohtram ..MADHEGAM sahab
aap ka ana ..bohat acha laga..is baat ka andaza aap ko ho ga hi..
aap ki shikayat infact hay to PARASTAR SAHIBA se ..magar munasib laga isi tarah aap se bat ho jaye..PARASTAR SAHIBA
ne baarha logon ko pm kiye..mails bhi kiye..sab se rabta kiya tab yeh start liya..or acha hay sab..log ate jate rahte hain..aap ne agar first kuch pages parhe hun to ghayal sahab yahan nazar ayin gain..sanjoo apni personal problem ki wajah se nahi saka..
jis ka sab ko ehsas hay..KHITIZ to sahab waise bhi nwab hain na..
baki jagah ate hain magar baarha kahne per yahan nazar nahin aye,,..baki..hmari taraf se itna hi jwab banta tha..jitna ham ne diya..ham yahan ate rahte hain..magar bohat sara waqt hone k bawajood bhi ham fazool logon ko waqt ki talash rahtei hay shayad woh koi khas kisam ka waqt hay..SHARABI ki to koi khabar hmain deta hi nahin jane kiyon.?.or bat dawatki rahi to sahab..aap ki dawat aik bar phir kabol karte hain ab yahan zor shor se a gaye hain ..thik hay?
umeed hay aap bhi apna sath bnaye rakhain gain..
aap ne WASI SHAH ki post ham se share ki..acha laga..
SHIMUL G should..this one get some minus but i think this is just a sharing.isnt it?
baki aap ki marzi....
..thanks again MADHEGAM ji

banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????

Last edited by banjara''''; 16th January 2004 at 04:54 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#192)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
16th January 2004, 05:17 PM

Meri marzi? Yeh keya kehrahe hein aap? Manoj Jee ko kahi woh ish liye ke unko mein Bhai ki tarha dekhti hu. Haan, Paras Jee ne jab aapko kaha toh aapka reply dekhte hue aapko bhi meine yaakinan kuch kaha. Mujhe laga aap meri baato ki bura nehi manenge. As a friend, keya bura kiya aur keya bura kaha?
Madhegum Jee, aapka bohot bohot shukriya ke aap yeaha aye aur itni khubsurat kalam yeaha hume parne ki mouka diya. Please aap yeaha ate rahiyega. Thanks once again. Take care. God bless you. Dear Paras Jee, waise mein bhi Aman Jee ke bare meh aapko kehne hi wali thi. I did sent him e-mail but I think if you please invite him then he will come. He don't wanna come withought you request him to come here. Or if you just write Aman in one group before you ask him to come, would be nice. Thanks. Take care. God bless you all.

Raat lafhj se age karti hu ek geet ke sath.

Yeh raat khush naseeb hein jo aapne chaand ko
kaleje se lagaye so rahe hein.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#193)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
16th January 2004, 07:43 PM

MARGHATIS 7600, KABRISTAANIS 3900

KABRISTAANI--

Meena, banjara ji, tanhaai, happy, Parasaxena, roopali, khushi, sanjoo, talkingeyes, piya, Banno, Maikash, ghayalparwana, arnab, Kshitiz

MARGHATI—

sakhi, talib, manoj kureel, arvindsony, bhadsha-E-gham
bindiya, ambar, shakeel shaikh, mushi bhai, manish bansal, madh-e-ghum, shimul, mast, sofia saaed, Sharabi

kuch bandishein hain yahan sher ya poem post karne kee…

Maximum length 12

lines (your own or borrowed).

Celebrating zindagi, pyaar, dosti, ma-baap, vagairah vagairah.

No no words, maut, chita, shamshaan, vagairah vagairah.

Must use one of the words from last post, just any.

We will have two teams…1 Marghati 2 Kabristaani
(when you post a sher, if you are not already in a team, Sakhi will assign you a team, and occasionally we will post points as well as team members’ names).

Madh-e-Gham ji,

Apka kaha sar aankhon pe...lekin khan banjara aur ghayal sahab tau already yahan shan badha rahe hain apni presence se...humne invite tau bahut se logon ko kiya...dher sare pms kiye magar jab wo log nahin aaye tau unko add nahin kiya...waise maine aapki suggestion maan lee hai...is mehfil kee tameer sirf gham se nikal kar thoda khushnuma mahaul banane ke liye kee thee...haan kuch rules rakh diye hamne khushi ke liye...LOL jinko aapne bhi nahin mana janab...12 lines maximum aur yellow emoticon (munh) absolutely necessary....

ab aapke swagat ke saath saath aapki team ke -100pts janab...but don't worry you will make it up...right? aur haan maine jaise pehle bhi hamesha kaha hai...everyone is welcome here...we will allot them a team when they come...paras ke liye aur koyi hukm? LOL

Madhegum sahib apne kalaam ke liye hamaari daad kabool kijiey...bahut khubsurat...yadi aap alag se bhi ise post karein tau hum khul ke tareef kar sakeinge...

Khan bhai...

aapki yeh do do linein hamein hamesha hee bhati hain...kam lafz magar asardaar...

aur meena ji...

dekhiey khan bhai ne humpe ilzaam lagaya hai humne cheating kee aur shimul ko aapki team mein nahin rakha...LOL...shimul tau ek priceless gem ho gayi hain...and I don't think ab Marghatis unko kisi halat mein bhi apne se alag karna chaheinge....kyon? LOL

Aur Shimul,

Aapki tau janab hum jitni tareef karein utni kam...aap tau aise aise kalam aur gaane yahan yaad kara rahin hain...jinko hum bhula chuke thhe...ab yaad taaza ho rahi hai...wo dosti ka gana...wow...very nice...

Shimul ne post kiya hai,

Yeh raat khush naseeb hein jo aapne chaand ko
kaleje se lagaye so rahe hein.......

Plz continue.....

MARGHATIS 7600, KABRISTAANIS 3900

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 16th January 2004 at 07:51 PM..
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#194)
arvindsony
Rajni
arvindsony is on a distinguished road
 
arvindsony's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Sep 2003
Location: Boston *USA*
Rep Power: 21
hi - 16th January 2004, 07:51 PM

Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh,
Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein,
Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein.

Love Is Life.
Love Is God.
Love is worship.
Love is Everything......
   
Reply With Quote
Old
  (#195)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
16th January 2004, 08:56 PM

lafz......daaG..le kar...

daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile

ham tarasate hii taraste hii tarasate hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile....

by kaiF Bhopali

Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Old
  (#196)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
16th January 2004, 09:10 PM

daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile

ham tarasate hii taraste hii tarasate hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile....

wah sanjoo bhai bakhoob likha hai shayar ne aur pesh karne ka shukriya.......

aapke is sher ko aage badaana ka bahut mann kar raha hai isley word mile se likh raha hoon (mehaz ek koshish hai)

mile to hum bhi mehfil se tere jaane ke baad
yun laga jaise hum kisi begaane se mile

hai wahi waqt aur wahi aalam dil ka
ranjish-e-gham ke siva kaun deewaane se mile....

-mast

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#197)
madhegum
Madah-E-gum
madhegum will become famous soon enough
 
madhegum's Avatar
 
Offline
Posts: 147
Join Date: Jun 2003
Rep Power: 21
16th January 2004, 09:22 PM

QayaMat Kuch is TaRaH..... Pesh hai

kHush-gawaar mausam meiN,
an-ginat tamashaai
apni apni TeemoN ko,
daad deney aateiN haiN
apney- apney pyaaroN ka,
hauslaa baRhateiN haiN.

madhegum

*************************

jo dard mila hai madine se mila hai
allah ka isfan unke ghar se mila hai
jisko bhi mila hai mukaddar sse mila hai
humko to mukaddar bhi unke ghar sse mile hai
  Send a message via Yahoo to madhegum  
Reply With Quote
Old
  (#198)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
16th January 2004, 09:24 PM

lafz......ranjish...le kar...

ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa........

By Ahmed faraz

Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Old
  (#199)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
17th January 2004, 04:00 AM

Mein keya thori si bahar gayi aur yeaha akar yeh dekhrahi hu. Mujhe bohot achha laga ke aap sabne akar yeaha kuch likhha hein. Mujhe bhi parne ki mouka milgayi. Thank you to all of you.
Paras Jee, shukriya ke aapko achha laga.
Arvind Jee, nice one. Likhte rahiyega. Shukriya.
Dear Sanjoo, keise ho? Mein thikh hu. Asha karti hu aap yeaha ate rahenge. Nice one. Likhte rahna.
Mast Jee, shukriya aapka ke aap bhi aaj kuch likhdiya. Nice one.
Madhegum Jee, aapka likhha hua dubara dekhkar bohot achha laga. Please yeaha ate rahiyega. Shukriya.
Sanjoo, dubara ane ke liye shukriya. Waise Mehdi Hassan Jee ka gaya hua hein, mujhe bohot achha lagta hein. Ate rahna.
Take care you all. God bless you.

Aa lafhj se age karti hu. Lata Jee aur Talat Jee ke awaz meh.

Aa jaa sanam madhur chandni meh hum tum mile
toh vhirani meh bhi meh bhi aa jaayegi bahar
jhumne lagega aasmaan jhumne lagega aasmaan
kehta hein dil aur machalta hein dil
more sajan le chal mujhe taaro ke paas
lagta nehi hein dil yeaha lagta nehi hein dil yeaha.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#200)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 17th January 2004, 04:11 AM

hi shimul g
bas yeh sab to chalta hay na..kitna acha mahol hone laga hay dobara pahle jaisa..is mehfil ki meharbani hay jnab...
lafz..AA..hi lon ga
--------
abhi is taraf na nigah kar,main ghazal ki palkain sanwaar lon
mera lafzz lafzz ho ainna , tujjhay ainne main utaar lon

main tamam din ka thaka hwa,tu tamam shab ka jaga hwa
AA isi mor per thehar jaa,,tere saath main shaam guzar lon.

agar asmman ki numaishon main,mujhay bhi izne qyaam ho
to main motiyon ki dukaan se,teri baaliyan tere haar lun

written by BASHIR BADAR...

banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hoti hai lazzat e faryad burra kya hai alishah07 Aapki Shayri 5 23rd September 2009 06:19 PM
Hoti hai lazzat e faryad burra kya hai ... (My Poetry) alishah07 Aapki Shayri 3 1st March 2009 11:15 PM
lazzat-e-ishk..gazal prashant vasl Ghazal Section 0 19th July 2008 01:14 PM
kaif ka agaaz, kaif ka anjaam kaif Shayri-e-Ishq 0 29th October 2004 11:05 PM
uski chaahat se roshan dil ka kona kona tha manoj kureel Shayri-e-Ishq 6 21st August 2003 01:30 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com