Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kai baar......
Old
  (#1)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
kai baar...... - 22nd July 2004, 11:57 AM

paras...... or mere sabhi dost,
waise to meri yah poorani rachna hai... or jyada tar sabhi ne padhhi hai... fir bhi aaj paras ke kahne par wahi rachna.
paras, tumne kaha k aaj kuchh likho... par aaj nahi likh paaungi.. par yah rachna saal pahlay aaj hi k din likhi thhi.... isi liye yahi sahi... kuchh to anusandhhan hai....

kai baar..........


kai baar aisa bhi hota hai
khushi ke sath ghum bhi hota hai.
sara din aap bhid main raho,
aur apne aapko akela paao.
kai baar aisa bhi hota hai.

kai baar aisa bhi hota hai
haste haste aankh bhar aaye
aur achanak dard chhalak jaaye,
jo baat chhoopani ho sabse
wahi baat labaon par aa jaye.
kai baar aisa bhi hota hai.

kai baar aisa bhi hota hai
din bhar nazar main talaash rahe
aur shaam bhi yuuhi biit jaaye
raat achanak oose dil ke karib paao
kai baar aisa bhi hota hai.

kai baar aisa bhi hota hai
zindgi bhar intzaar karo
aur intzaar hi zindgi ban jaaye
achanak jab samne paao
or kayamat ka din ban jaaye
kai baar aisa bhi hota hai.

Last edited by meena chheda; 22nd July 2004 at 12:02 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
22nd July 2004, 12:12 PM

kai baar aisa bhi hota hai
zindgi bhar intzaar karo
aur intzaar hi zindgi ban jaaye
achanak jab samne paao
or kayamat ka din ban jaaye
kai baar aisa bhi hota hai

Meena jee...

aapne mujhe natmastak kar diya...bahut khuub zindagi ko pehchana hai...hum jo baat cheet kar rahe thhe theek uspe hee yeh rachna huyi...aur aapne mere kehne se post kee...main aapki abhaari hoon...aur doston ko bhi itni pyaari rachna padhne ko milegi...

bus you are something...aapne zindagi ke chote badhe sab pehlooun pe kuch na kuch kaha hai...bahut saral shabdon mein gehraayi ko naapa hai...yeh hunar bahut kam logon mein hota hai...yoonhi pyaar barsaati rehna hum pyaar ke pyaase raahiyon pe...

aapki paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Aapke rachna ko salam
Old
  (#3)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Aapke rachna ko salam - 22nd July 2004, 12:32 PM

Meena Ji

Bahut hi khoobsoorat akshron main apney Zindagi ko piroya hay.Sari kavita kabiley tareef hay.Bahut sundar likha hay.
Sach likha hay apney Aisa bhi hota hay............

kai baar aisa bhi hota hai
haste haste aankh bhar aaye
aur achanak dard chhalak jaaye,


Muskurate rahiye Once again a very sweet poem u have written.
   
Reply With Quote
hello
Old
  (#4)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
hello - 22nd July 2004, 12:35 PM

meena ji,

maine aapki yah rachana pahale nahi padhi...
aur aaj jab ese padha to rachana ke pichhe bane bimb hi dikhayi deta raha..
laga hi nahi ki main shabd padh raha hoon
laga ki samane sab kuchh ghatit hote dekh raha hoon.


likhati rahiye..


Akant...


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote
Ek baar fir ..bahut khoob
Old
  (#5)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Ek baar fir ..bahut khoob - 22nd July 2004, 08:18 PM

Meena ji...aapki is kai baar ka dhyaaN jab bhi aata hai to...atak sa jaata hooN..in alfaazoN me....

Or badi baat ye lagti hai ke aapko ise sajaane ki jaroorat bhi nahi padi...bas aapne likha or wo khud-b-khud saj gai.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
22nd July 2004, 10:46 PM

Didi,

Kai baar nahi har baar aisa hi hota hai..

Hasna chaahun to aankhon mein aansoon paaon..
Bhari mehfil mein bhi khud ko tanha paaon..
Dil ki baat duniya se ab aur chupa na paaon...
Sadiyon se kar hun, aur intzaar ab kar na paaon..
Na jaane woh vakt kab aayega, jab unhe apne saamne paaon..

Bahut acha laga diiii

Lekin kai baar nahi.. har baar aisa hi hota hai..

~Aapki Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
good 1
Old
  (#7)
meetaparekh
Registered User
meetaparekh will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 529
Join Date: May 2004
Rep Power: 20
good 1 - 23rd July 2004, 11:45 AM

Meena
wah wah
kai baar aisa bhi hota hai
jinhe hum sab se karib mante ho wahi dhoka de jaye.


meetaparekh
   
Reply With Quote
Wah Meenaji
Old
  (#8)
Tanha mukesh
Registered User
Tanha mukesh is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 78
Join Date: Apr 2004
Location: In heart
Rep Power: 21
Wah Meenaji - 23rd July 2004, 12:20 PM

Bahut hi khub likha he aapne,bahut hi achche alfaz me bayan kiya he.
kai baar aisa bhi hota hai
zindgi bhar intzaar karo
aur intzaar hi zindgi ban jaaye
achanak jab samne paao
or kayamat ka din ban jaaye
kai baar aisa bhi hota hai.
Kash esi kayamat her baar aaye,aapki yeh rachna dil ko chu gayi.
Love
Mukesh
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
23rd July 2004, 01:43 PM

Meena Di,

So this was the special rquest by Paras.. This one is really very beutiful... Bahut hi sundar aur saral likha hai aapne...

Isi tarah likhti rahein


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#10)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
27th July 2004, 09:14 AM

Quote:
Originally posted by Parastaar
kai baar aisa bhi hota hai
zindgi bhar intzaar karo
aur intzaar hi zindgi ban jaaye
achanak jab samne paao
or kayamat ka din ban jaaye
kai baar aisa bhi hota hai

Meena jee...

aapne mujhe natmastak kar diya...bahut khuub zindagi ko pehchana hai...hum jo baat cheet kar rahe thhe theek uspe hee yeh rachna huyi...aur aapne mere kehne se post kee...main aapki abhaari hoon...aur doston ko bhi itni pyaari rachna padhne ko milegi...

bus you are something...aapne zindagi ke chote badhe sab pehlooun pe kuch na kuch kaha hai...bahut saral shabdon mein gehraayi ko naapa hai...yeh hunar bahut kam logon mein hota hai...yoonhi pyaar barsaati rehna hum pyaar ke pyaase raahiyon pe...

aapki paras

paras,

is tarah taarif karogi to bedil aa kar kahega ke, ' maa ! aapko chane ke Jhad par chadhaya ja raha hai. lol
tumhe meri rachna pasand aayi...... shukria.

meena
   
Reply With Quote
Re: Aapke rachna ko salam
Old
  (#11)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Aapke rachna ko salam - 27th July 2004, 09:17 AM

Quote:
Originally posted by sukanya
Meena Ji

Bahut hi khoobsoorat akshron main apney Zindagi ko piroya hay.Sari kavita kabiley tareef hay.Bahut sundar likha hay.
Sach likha hay apney Aisa bhi hota hay............

kai baar aisa bhi hota hai
haste haste aankh bhar aaye
aur achanak dard chhalak jaaye,


Muskurate rahiye Once again a very sweet poem u have written.

sukanya,

dil se tumhara shukriaa... tumhe rachna pasand aayi...... haan aisa huaa thha isi liye yah ahesaas ka janam huaa thha.

meena
   
Reply With Quote
Re: hello
Old
  (#12)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: hello - 27th July 2004, 09:18 AM

Quote:
Originally posted by akant
meena ji,

maine aapki yah rachana pahale nahi padhi...
aur aaj jab ese padha to rachana ke pichhe bane bimb hi dikhayi deta raha..
laga hi nahi ki main shabd padh raha hoon
laga ki samane sab kuchh ghatit hote dekh raha hoon.


likhati rahiye..


Akant...

akant dost,

chalo jo ghata wahi tasweer meri kalam bana paayi or tum iise dekh paaye...
shukriaa.

meena
   
Reply With Quote
Re: Ek baar fir ..bahut khoob
Old
  (#13)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Ek baar fir ..bahut khoob - 27th July 2004, 09:21 AM

Quote:
Originally posted by Chaand
Meena ji...aapki is kai baar ka dhyaaN jab bhi aata hai to...atak sa jaata hooN..in alfaazoN me....

Or badi baat ye lagti hai ke aapko ise sajaane ki jaroorat bhi nahi padi...bas aapne likha or wo khud-b-khud saj gai.


mere chaand,

haan... jaanti hu.. tumne ise kai baar saraha hai..
haan... jo ghat gaya maine likh diya... sachaai thhi isi liye saji lagi tumhe... sachhai kisi bhi roop maie ho... dard bhari ya khushi bhari... par sachhai ki apni jagah hoti hi hai ... maan ko anjaane maie bhi chhu hi jaati hai.

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
27th July 2004, 09:23 AM

Quote:
Originally posted by chaahat123
Didi,

Kai baar nahi har baar aisa hi hota hai..

Hasna chaahun to aankhon mein aansoon paaon..
Bhari mehfil mein bhi khud ko tanha paaon..
Dil ki baat duniya se ab aur chupa na paaon...
Sadiyon se kar hun, aur intzaar ab kar na paaon..
Na jaane woh vakt kab aayega, jab unhe apne saamne paaon..

Bahut acha laga diiii

Lekin kai baar nahi.. har baar aisa hi hota hai..

~Aapki Priya

priya,
sabr karo jara sa.......ab woh din door nahi hai..
fir tum jaroor kahogi k ab har baar aisa nahi hota. lol

di
   
Reply With Quote
Re: good 1
Old
  (#15)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: good 1 - 27th July 2004, 09:25 AM

Quote:
Originally posted by meetaparekh
Meena
wah wah
kai baar aisa bhi hota hai
jinhe hum sab se karib mante ho wahi dhoka de jaye.


mita,
maie kuchh alag kahungi yaha par.................


kai baar aisa bhi hota hai
jo humaare nahi thhe ...
oonhe humne apna maan liya
dhoka oonhone nahi diya
khud humne dil se khaya

meena
   
Reply With Quote
Re: Wah Meenaji
Old
  (#16)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Wah Meenaji - 27th July 2004, 09:26 AM

Quote:
Originally posted by Tanha mukesh
Bahut hi khub likha he aapne,bahut hi achche alfaz me bayan kiya he.
kai baar aisa bhi hota hai
zindgi bhar intzaar karo
aur intzaar hi zindgi ban jaaye
achanak jab samne paao
or kayamat ka din ban jaaye
kai baar aisa bhi hota hai.
Kash esi kayamat her baar aaye,aapki yeh rachna dil ko chu gayi.
Love
Mukesh

mukesh,
aapko rachna pasand aayi.... aapka shukria jo aapne ise saraha.

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
27th July 2004, 09:30 AM

Quote:
Originally posted by Pulkit_gupta
Meena Di,

So this was the special rquest by Paras.. This one is really very beutiful... Bahut hi sundar aur saral likha hai aapne...

Isi tarah likhti rahein

pulkit,

haan....... oos din paras ki chah thhi ke maie koi rachna pash karu... par aisa ho nahi raha thha k maie kuchh likh paati... to 2 saal pahlay oosi din jo rachna likhi thhi wahi pash kar di... aakhir saal alag thha taarikh to wahi thhi... so anusandhaan jood gaya. lol

tumhari di
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
27th July 2004, 10:43 AM

Ye thread hum kaise miss kar gaye??

Hume yaad hai jab tumne ise pehli baar post kiya tha.. tab bhi pasand aaya tha aur ab bhi.. pata nahi tab reply kiya tha ya nahi, magar ab karte hain.. Zindagi aksar aisa bhi hota, jo na kabhi socha tha, wo ho jaata hai.. aur jo soch kar safar par nikle the, wo nahi hota.. bohat achha likha hai tumne.. khaaskar aakhri sher.. Yunhi likhti raho..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
27th July 2004, 11:02 AM

Meena dost

Aap ki yeh khoobsurat nazm hazb-e-mamool behad khoobsurat jazbaat aur ehsaasaat per mushtamil dosti aur pyaar ka ek masoom sa izhaar hai.
Aur masoom sa sawaal hai jo her zabaan e aam per hai.
Itne khoobsurat pairaayee mein meena hi is ko bayan ker sakti hain.
Meri pur khaloos daad meena aap ke liye aur sab saathiyon ke liye jo is post per aap ke ham-nawaa huey.
Meri dua hai ke aap ka qalam isi tarah aap ke zehan ke khoobsurat khayalaat ko likhta rahe aur ham parhte rahen.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
27th July 2004, 12:12 PM

Quote:
Originally posted by Banno
Ye thread hum kaise miss kar gaye??

Hume yaad hai jab tumne ise pehli baar post kiya tha.. tab bhi pasand aaya tha aur ab bhi.. pata nahi tab reply kiya tha ya nahi, magar ab karte hain.. Zindagi aksar aisa bhi hota, jo na kabhi socha tha, wo ho jaata hai.. aur jo soch kar safar par nikle the, wo nahi hota.. bohat achha likha hai tumne.. khaaskar aakhri sher.. Yunhi likhti raho..

banno,

haan.... zindgi kab kya rang dikhayegi nahi samaj paaya koi aaj tak...
kabhi jo rang berang se lagte hai oon maie n jaane kaha se rango ki buochhaar aa jaati hai .... to kahi rangeenta bhi achanak berang ban jaati hai...........
sab kuchh khali khali sa ho jaata hai........

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
27th July 2004, 12:15 PM

Quote:
Originally posted by musharrafhusain
Meena dost

Aap ki yeh khoobsurat nazm hazb-e-mamool behad khoobsurat jazbaat aur ehsaasaat per mushtamil dosti aur pyaar ka ek masoom sa izhaar hai.
Aur masoom sa sawaal hai jo her zabaan e aam per hai.
Itne khoobsurat pairaayee mein meena hi is ko bayan ker sakti hain.
Meri pur khaloos daad meena aap ke liye aur sab saathiyon ke liye jo is post per aap ke ham-nawaa huey.
Meri dua hai ke aap ka qalam isi tarah aap ke zehan ke khoobsurat khayalaat ko likhta rahe aur ham parhte rahen.

musharrafhusain

mere mushi dost,

aap ne humesaha ki tarah meri rachna ko saraha or aapki duwaa bhi muje yaha mili......... aapki aabhari bhi nahi ho paati kabhi..... aapka aana mere ahesaas ko jivan milna barabar hota hai.

aapki dost meena
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
sau baar chaman mahakaa sau baar bahaar aa_ii -. 0aayush Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 15th June 2010 10:56 AM
sau baar chaman mahakaa sau baar bahaar aa_ii Mayank Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 9th August 2008 11:23 AM
KHAT US KO BAAR BAAR LIKHO, ILTEJA KARO - by Qateel Rajasthani Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 18th December 2003 05:07 PM
saw baar chaha tumhey ek baar bhi nibha na sakey husn_haya Shayri-e-Dard 4 26th May 2003 01:09 PM
Kyuin Hum Baar Baar Dhokha Kha Rehe Hai??? Ishiqka Shayri-e-Dard 7 3rd February 2003 12:16 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com