Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
JahaaN talak bhi ye sehra dikhai deta hai
Old
  (#1)
zishan107
Registered User
zishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 449
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 25
Exclamation JahaaN talak bhi ye sehra dikhai deta hai - 25th October 2008, 11:31 PM

JahaaN talak bhi ye sehraa dikhai deta hai
meri tarah se akela dikhai deta hai

na itna tez chale sar-phiri hava se kaho
shajar pe ek hi patta dikhai deta hai

bura na maniye logo ki aib-juui ka
inhen to din ka bhi saaya dikhai deta hai

ye ek abr ka Tukra kahaN kahaN barse
tamaam dasht hi pyaasa dikhai deta hai

vo alvida ka manzar vo bhigti palaken
paas-e-Gubar bhi kya kya dikhai deta hai

meri nigaah se chhup kar kahaN rahegaa koi
ke ab to sang bhi shishaa dikhai deta hai

simaT ke rah daye aKhir pahaar se qad bhi
zameen se har koi uNcha dikhai deta hai

ye kis maqaam pe lai hai justaju teri
jahaaN se arsh bhi nichaa dikhai deta hai

khili hai dil mein kisi ke badan ki dhuup "Shakeb"
har ek phuul sunehra dikhai deta hai





Wahi hai markaz'e'Kaaba wahi hai rah'e'buthaana...
Jahaan diwaane do milkar sanam ki baat karte hain..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
26th October 2008, 08:36 PM

Zishaan G bahut pyari sharing ki aapne hamse thanx


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
woh dard mujhko maza deta hay, jo teri yadon ki saza deta hay. Mohammad Kashif Shayri-e-Ishq 41 11th May 2010 01:44 PM
Tu jahaan jahaan chalega.. Afshan Hindi/Urdu Lyrics 4 10th January 2006 08:30 PM
koi deta hai dua koi davaa deta hai tiyagi Shayri-e-Dard 0 26th April 2005 04:07 PM
koi deta hai dua koi davaa deta hai ishq insaan ko mohtaaj ................ tiyagi Shayri-e-Dard 0 18th April 2005 11:38 AM
itnay baray hujoom main kis ko dikhai doun shakil-jaan Aapki Shayri 1 10th September 2004 07:59 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com