Mauj-e-gul , Mauj-e-Sabaa , Mauj-e-Sahaar Lagti Hai -
17th May 2008, 09:48 PM
Mauj-e-gul, mauj-e-sabaa, mauj-e-sahar lagti hai
sar se paoon tak vo samaan hai ki nazar lagti hai
Humne har ghum sajdon e jalaaye hain chiraaG
ab teri rehguzaar rehguzaar lagti hai
Lamhe lamhe basi hai teri yaadon ki mahak
aaj ki raat to Khushbu ka safar lagti hai
Jal gaya apna nasheman to koi baat nahi
dekhanaa yeh hai ki ab aag kidhar lagti hai
Saari duniyaa mein Garibon ka lahu bahataa hai
har zamin mujhko mere Khuun se tar lagti hai
Vaqyaa shehar mein kal to koi aisa na hua
yeh to "Akhtar" ke daftar ki Khabar lagti hai
Jan Nissar Akhtar
Wahi hai markaz'e'Kaaba wahi hai rah'e'buthaana...
Jahaan diwaane do milkar sanam ki baat karte hain..
|