Quote:
Originally Posted by Rohin
pata nahi tumhe yaad bhi hoon ki nahi
yaad aane ki koi wajah bhi to nahi
bas ek baat karni thi tumse
mujhe maloom hai tum naraz ho
shayad mudkar bhi na dekho
shayad yahi sahi hoga
aakhir main yehi to chaahta tha
phir pata nahi kyun dard hai
ek aakhri baar kehna tha
jo kabhi na keh sakka
magar kehna chaahta hoon
tujhe paane ki khwaaish
chaand ko chune si lagti hai
khahir ab bahut der ho chuki hai
ab to kuch lamhe hi hain baaki
kal shayad subha na hogi
raat ki chaadar oodh so raha hoon
Koshish karunga na yaad aaon tumhe
agar aa gaya to soch lena
koi bura khwaab hoon
aankh khulne pe beet jayega
|
itana acha likha he apane
daad hajir he
sabdo me bahut dard he
likhate rahe
yah lines bahut hi achi lagy mujhe
khahir ab bahut der ho chuki hai
ab to kuch lamhe hi hain baaki
kal shayad subha na hogi
raat ki chaadar oodh so raha hoon
Koshish karunga na yaad aaon tumhe
agar aa gaya to soch lena
koi bura khwaab hoon
aankh khulne pe beet jayega