Shikayat -
7th February 2015, 05:50 PM
Gulab nazuk hai to kanton per sota kyun hai..
Ye jo hota hai to hota kyun hai….
Jab who hansta tha to khil uthti thin laakhon kaliyan
Uski khushbu se mahak uthti thin saari galiyan
Aaj wohi door chupchap sa kone mein rota kyun hai…
Ye jo hota hai to hota kyun hai…….
Ye zaroori toh nahin ki mein pareshan hun to sab pareshan hon
Apni kismet per meri hi tarah sab hairan hon
Agar nahin hota ab our intezar mujhse khushiyon ka
To sabka sabar ab yahan khota kyun hai..
Ye jo hota hai to Hota kyun hai…..
Gulab nazuk hai to kanton per sota kyun hai..
Ye jo hota hai to hota kyun hai….
|