Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kaatin hai rah-guzar, thori dooR sath chalo
Old
  (#1)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
kaatin hai rah-guzar, thori dooR sath chalo - 6th July 2010, 10:43 PM

kaatin hai rah-guzar, thori dooR sath chalo
bohut karra hai safar thori dooR sath chalo


tamaam umr kahaan koi sath dai-ta hai
yeh janta hun magar thori dooR sath chalo


Nashe mein choor hun mai bhi tume bhi hosh nai
baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo


yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai
kise hai kal ki khabar thori dooR sath chalo


abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke
abhi hai dooR shahar thori dooR sath chalo


tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori dooR sath chalo


kaatin = difficult, hard
ghaNimat =
blessing

*********************** Ahemad Faraaz



Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote
Teri bataain hi sunanay aa'e
Old
  (#2)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
Teri bataain hi sunanay aa'e - 6th July 2010, 10:49 PM

Teri bataain hi sunanay aa'e
Dost bhi dil hi dokhanay aa'e


Phool khilte hein tu hum sochtae hein
Teray aanay ke zamaanay aa'e


Aisi kuch chup si lagi hai jaise
Hum tujhe haal sunanay aa'e


Ishq tanha hai sir-e munzil-e ghum
Kaun yeh boojH uthanay aa'e


Ajnabi dost humein dekh keh hum
Kuch tujhe yaad dilaanay aa'e


Dil dharakta hai safr ke hungaam
Kaash phir koi bulanay aa'e


Ab tu rounay se bhi dil dukhta hai
Shayid ab hosh thikanay aa'e


Kya kahein phir koi busti ujri
Laug kyun jashun mananay aa'e


So raho maut ke pahloo mein Faraz
Nind kis waqt na janay aa'e


************************ Ahemad Faraaz


Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
6th July 2010, 10:55 PM

Hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
Tum magar dost kahaN thay pehle


Ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN
Phool hi phool jahaaN thay pehle


Ab jo deewar bunay baithay hain
Soorat-e mooj rawaaN thay pehle


Kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN
Ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle


Hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro
Manzil hum sufraaN thay pehle


Ab kise waza-e mohabbat ka khayal
Aur hi loag yahaan thay pehle


Ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa
Tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle


Bun gya kafla chaltay chaltay
Wurna tunha hi rawaan thay pehle


Dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
Itne muflis bhi kahaan thay pehle


*********************** Ahemad Faraaz


Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com