Hans -
24th June 2005, 09:12 AM
Aadaab,
Muze inka poora naam nahi yaad lekin bas 'Hans' yaad hai
Sab sher to inke yaad nahi bas kuch 'Ansh' yaad hai
Dekhiyega,
Raah mein ek sitara hi bahut hai
Aankh walon ko ishara hi bahut hai
Gehre samandar ki jaroorat nahi har bar,
Doobna ho to kinara hi bahut hai
Yawwan ka alam ho aur pyar ki baat na ho?
Kya din hi rahe? kabhi raat na ho?
Kya aisa soch bhi sakte hain aap,
ke sawan ka mausam ho, aur barsaat na ho?
Main saadhuonse aalaap kar leta hoon
Kabhi mandir mein jaap kar leta hoon
Ye soch ke ke main insaan se khuda na ban jaoon
Kabhi kabaar main paap kar leta hoon.
Wah wah.
muze to inki rubaaiyan bahut pasand aa gayi.
Aap ko agar inki aur rubaaiya maloom ho to post kijiyega.
Shukriya.
AJO
|