Quote:
Originally Posted by mujib66
uske kisi bhi ayeb ka charcha nahin kiya
hum ne wafa ke waste jhagda nahin kiya
Koi bhi ghair qanuni dhanda nahin kiya
Daman ko main ne paap se ganda nahin kiya
aansu bana ke pii gaya uske mazaaq ko
ghusse men aake koi bhi lafda nain kiya
Uska hamesha saath nibhaya khusi khusi
Usse kisi madad ka taqazah nahin kiya
us ne inaam dene ki khwahish batai thi
Hum ne magar lene ka iradha nahin kiya
Jo kaam us ne mujh ko dia shouq se kiya
Fursat nahin hai aisa bahana nahin kiya
Phir intezaar aap ne mera kiya huzoor
Kya baat hai ke aap ne ghussa nahin kiya
Dekha banake kaanch ke tukdon se aayina
Chehra magar chupana gawarah nahin kiya
Haq baat karne ko nahin Parwaaz darta tha
Jab bhi use mouqa mila zaya nahin kiya
By Mujeeb Parwaaz
|
Welcome mujeeb sahab bade dino baad Sdc ki taraf rukh Kiya...kaise Hain aap...
Bahot pyara kalaam pesh Kiya...
Aate rahiyega aage bhi...