Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tumhaara hi suroor hai !!!
Old
  (#1)
Ehsaas
Registered User
Ehsaas has a spectacular aura aboutEhsaas has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Oct 2002
Location: Gurgaon, India
Rep Power: 0
Tumhaara hi suroor hai !!! - 30th October 2002, 05:31 AM

Doston,

Ek nayi nazm pesh-e-khidmat hai. Aapki rai kaa humeshaan muntazir hoon......


Shab-e-ghum ke hum nahin kaayal, kuch baat to zaroor hai,
Har pal, har lamha, har waqt, tumhaara hi suroor hai !!!

Chadhte din ka aaftaab, yaa dhalti shaam ka tu noor hai,
Deewane hue jaate hain, Muhobbat hai ya fatoor hai !!!

Haqueeqat hai ya khwaab hai, pari hai ya tu hoor hai,
Jitni is dil ke paas hai, utni hi aankhon se door hai !!!

Husn tumhaara kayaamat sahi, siqaahat humein zaroor hai,
Ishq humaara kum to nahin, is baat ka humein guroor hai !!!

Deewangi meri fitrat hai, yeh kissa to mash-hoor hai,
Youn shor hua jo galiyon mein, to mera kya kasoor hai !!!

Shab-e-ghum ke hum nahin kaayal, kuch baat to zaroor hai,
Har pal, har lamha, har waqt, tumhaara hi suroor hai !!!
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Ehsaas
Registered User
Ehsaas has a spectacular aura aboutEhsaas has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Oct 2002
Location: Gurgaon, India
Rep Power: 0
30th October 2002, 09:07 AM

Deepa Ji,

Tasleem !

Kaisi hain aap ?

Ek baar phir meri nazm par nazar daalnein kaa aur apni keemti rai se humein nawaaznein ka shukriya. Main aapka muntazir hoon ki aap meri koshishon ko is kadar tareef ke kabil samajhti hain.
Aap ki kuch ghazalein bhi zaroor padh kar jald hi apne khayaal bayaan karne ka waada karta hoon....

Achin
( Ehsaas )
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Kaash...
Registered User
Kaash... is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: May 2003
Location: New Delhi
Rep Power: 0
20th May 2003, 04:00 PM

Lajawaab Achin Miya,

Dil khush kar diya aapke in khayaalon ne...

This is one of your best work... Please translate it for Pooja as it's just out of this world...

Kaash.... mein tere jaisey thoda bahut bhi likh paata.... to zindagi kahin aur, kisi aur ke saath hoti...

Main to aapka mureed ho gaya hoon is ke baad.... Thodi bahut urdu hamein bhi sikha do huzoor

These lines were surely written before your marriage when you were in US and Pooja in India....

"Haqueeqat hai ya khwaab hai, pari hai ya tu hoor hai,
Jitni is dil ke paas hai, utni hi aankhon se door hai !!!"

Hai Na ?

Good Work, Seriously...

Riki
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
20th May 2003, 04:06 PM

Wow..

aaj aapke itne saare aalaa kalaam paDe hain, behad khushi hui!.. Itne achhe shayar humare beech hain.. wah janaab, aapka andaaze bayaan to kamaaal hai!.. kisi ek sher ki tareef karna theek nahi hoga, har ek sher lajawaab hai, aur ghazal apne aap me kaamil!.. Bohat khoob!.. umeed hai aap aise hi likhte rahenge..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tumhaara Nashaa Chaand Shayri-e-Sharaab 1 3rd January 2007 04:43 PM
Tumhaara Dard Chaand Shayri-e-Dard 4 25th November 2005 02:12 PM
Tumhaara saath cooool Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 21st August 2005 07:59 PM
Tumhaara Hi Rang.... Chaand Shayri-e-Ishq 18 25th April 2005 08:29 PM
Tumhaara intezaar... Alisha Shayri-e-Dard 0 21st May 2003 02:29 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com