woh kaaghaz ki kashti....by jagjit singh -
24th November 2006, 11:28 PM
yeh daulat bhi le lo,yeh shohrat bhi le lo..
bhale cheen lo mujhse meri jawani,
magar mujhko lauta do bachpan ka saawan,
woh kaaghaz ki kashti woh baarish ka paani...
mohalle ki sabse nishaani puraani,
woh budhiya jise bachche kehte the naani,
woh naani ki baaton mein pariyon ka dera,
woh chehre ki jhurriyon mein sadiyon ka phera,
bhulaye nahi bhool sakta hai koi,
woh choti si raatein,woh lambi kahaani.....
kadi dhoop mein apne ghar se nikalna,
woh chidiya,woh bul-bul,woh titli pakadna,
woh gudiya ki shaadi mein ladna-jhagadna,
woh jhoolon se girna,woh girke sambhalna,
woh peepal ke challon pe pyare se tote,
woh tooti hui choodiyon ki nishaani......
kabhi ret ke unche teelon pe jana,
gharonde banana,banake mitaana,
woh maasum chaahat ki tasveer apni,
woh khwabon khilaunon ki jaageer apni,
na duniya ka gham tha,na rishton ke bandhan,
badi khubsurat thi woh zindagaani......
-AAMIR FARAZ
"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
|