Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
keh raha hu apni vyatha sunye meri atmakatha
Old
  (#1)
gulabmirza
Registered User
gulabmirza is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Aug 2001
Location: adfadfa
Rep Power: 0
keh raha hu apni vyatha sunye meri atmakatha - 2nd September 2001, 06:40 PM

keh raha hu apni vytha suniye meri atmakatha,
janam liya apne ghar me chobis ko navamber me,
bhachpan me khela khaya,das mi kar delhi ayaa,
service mili na bhagya jaga,afsar tha vahi raha,
kaha pitaji ne beti tune pathalikha chaltu aur pathle,
darje chahe aur chadhle,la B.A. me patak diya,
college se latka diya.


pathte pathte aatak gaya,galat disa me bhatak gaya,
college ke ladke bole ek divas hole hole,
payar kis se kar te ho yaa kis pe marte ho,
yu to bhole dikhte ho kavita kaise likhte ho,
maine unko bataya,bis bar maine samjaya,
dard pet mai hota hai, bhitar koi rota hai,
bhojan dhik na pachta hai,kavi tab kavita likhta hai,


unko nahi yakin hua,ek roz ye scen hua,
kanya ek pass aiyee, muskurai kuch samjagayi,
kitne sundar dikhte ho,kavita kaise likhte ho,
maine bola hai chandramukhi, mai jivan mai bada dukhi,
dard uthai firta hu,dhokar khai firta hu,
tum college mai ate ho,tips muje de ja te ho,
yaad tumari mrugnayani,bichu se bhi hai pahni,
naam tumra letahu,kagaz par likhdeta hu,
geet svayam banjata hai,aasu se bhig jata hai,


hans kar woh chali gayi,hai hraday ki kali gayi,
mujko us se pyaar hua, hai sanidev ka bhar hua,
kuch aisa tufan chala, B.A. ka emthan chala,
fail ho gai fullvati,sang saftla hui sati,
mai B.A. mai paas hua, hai kaisa styanas hua,
ladki college chod gayi, woh sang daman tod gayi,


mai padhne mai pakka tha, hai par virah ka dhkka tha,
khair hui niche aya,hai devison nahi mila,
tut gayi adhar shila, mai ne pothe nahi rate,
ank aye the bis bate,kaha pitaji beta,
nikla tuto sapreta,mai bola hai pujay pitaji,
karo putra ki maff khata, bharat muje jacha nahi,
gyan yahan ka pacha nahi,paris muje bhej dijiye,
yeh risk bhi aur lijiye,bole tu nalayak hai/
kyatu paris ke layak hai?, kit na hua/
rang badal girgit nahua, paris kya jayga/
byah krake dhkhlayega,tu ghoda nahi gadha hai,
maine kaha alik nahi tark app ka thik nahi,
europe ki woh abo havha kar ti hai kuch jadusa,
gadhe yaha se jate hai, ghoda bankar ate hai,
tatu,khachar jate hai, sab afsar banjate hai,


maine tark vitark kiya, nahi pasija unkajiya,
mari nahi ek mane, sada rahe apni bhave tane,
sarpar ghar ka bhar hua, mera hraday pukar utha,
ghar grahasti ke chakkar mai, loang,tel ke chakkar mai,
sukh jivan se dur hua, sapne chaknachur hue,
fullvati ko bhul gaya, pyaar gaya woh shol hua,
ab chakki mai pista hu,sukha chandan ghista hu,
aag lagi hai man mai,shanti nahi jivan mai,
sanyaasi ho jaunga, jangal me kho jaunga,
nadio ka jall pillunga, pate khakar ji lunga,
kaun dhekh ne ayega,dhundh na koi paye ga,
jangal me kho jaunga, alikh sada kehlaunga,
bhad me jai noukaria, kuve me pade ladkiya,
nahi kisi se kuch lena, nahi kisi ko kuch dena,
budham sarnam gachami, sangam sarnam gachami.


adfsafsdfdas
  Send a message via Yahoo to gulabmirza  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Apni kismat se majboor hota raha.. karan q Anjuman-e-Shayri 3 6th August 2005 02:16 PM
meri atmakatha dastak Humourous Shayri 2 28th July 2005 07:41 PM
Apni hi mauj-e-ashk mein dooob raha hai koi... vvenomouss Shayri-e-Dard 2 2nd December 2004 04:46 PM
Ye meri vyatha hai upanyas nahin hai.. gumnam Shayri-e-Dard 5 28th April 2004 09:48 AM
keh raha hu apni vyatha sunye meri atmakatha gulabmirza Humourous Shayri 0 2nd September 2001 06:38 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com