bazm-e-sukhan -
22nd March 2010, 09:57 PM
aadab dosto(n)!
shamm-e-shayri ke parwano(n) ye thread is gharaz se shuru kiya ja raha hai k fan-e-shayri ke kuch usool hum samajh sake(n) taki hamare shero(n) mein bhi woh husn paida ho jo mashhoor sho'ara ke kalam mein hota hai aur jise istilahan (terminologically) "baher kehte hain.
BAHER ka matlab ye hai k sher ki dono line rhythm mein barabar ho aur padhne mein rawani per koi asar na ho jaise k ye sher,
"waye re shaoq-e-shahadat koo-e-qaatil ki taraf.
gungunata raqs karta jhoomta jaata hoon main."
is sher ko jab aap shayrana andaaz mein padhenge to aap khud mehsoos karenge k dono lines ki rhythm barabar chal rahi hain.
aapko bas ye harna hai k aap ko ek sher diya jayga aur aap ko usi rhythm aur radeef-o-qaafiya ka sher bhejna hai.
jaise
kya qayamat tha kisi ka shikwa-e-bedaad bhi.
lab tak aai tukde ho ho kar meri faryaad bhi.
isi rhythm aur radeef-o-qaafiya ka agla sher kuch is tarha hai
pehle thi kuch is se taskeen-e-dile naashaad bhi
ab kaleja khai jaati hai tumhari yaad bhi.
agar koi baat aapke samajh mein na aaye to aap pooch sakte hain.
to chaliye shuru karte hain
kya qayamat tha kisi ka shikwa-e-bedaad bhi
lab tak aai tukde ho ho kar meri faryaad bhi.
|