6th November 2005, 10:13 PM
Bhoot he khoob Star
tum haray kalam ka markazi khial (Basic Idea)
tw mujh ko bhoot he pasand aya..
K itni tabahi hui hay,
kitnay he mar gay
aur jo zinda hay wo,
murdo say bhi buri halat may hay
aur tum nay logo ko un ke madad kar nay ko bhi kaha..
Miny tum say he mutasir (inspire) hoo kar kuch likha hay.
------------------------------------------------------------------------------------
Jaha may misly-e-kiamat ek Sada Aai,......................(Jaha= Dunia; Misly-e-Kiamat= Kimat ky jisay; Sada= Awaz)
us subh zami bhi khuf-e-Khuda say tharrai.................(Khuf-e-Khuda= Auper waly ka azab; tharrai = dar say kampna)
Taab-e-Nazary-e-Affat Nigh nay kaha pAai,.................(Taab-e-Nazary-e-Affat = Azab ko dekhnay ke takat)
har-su malbo ki shakal may pardi Thabahi..................(Har-su = har taraf; Malbo = Tutay huy ghar ka dher)
Roshni in cherago may phir ay Khuda bhar-day,
apni rahmat ke ek jhalak tw auria kar-day.................(Auria = Dekaha)
Azmaish hay kardi tw is ko asan kar-day,
Sabar-e-Kalab Aye Khuda tw in ko Ata Kar day..............(Sabar-e-Kalab = Dil ka Sabar)
Rahamat-e-Illahi kay bazu tum bano........................(Rahamat-e-Illahi = Khuda ke rahaymat; Bazu = Arm)
In bekaso ky sir pay saya tum bano........................(Bekas = La-char)
Tabasum-e-Aumeed chero pay tum bano.......................(Tabasum-e-Aumeed = Aummed ke muskurahat)
Dua-e-rahmat ky asar tum bano.............................(Dua-e-rahmat = Rahamat ke dua)
Aumeed hay pasand ai hoo ge
Mr Nice Guy
|