Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Lyrics > Hindi/Urdu Lyrics > Sahir Ludhianvi

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 13 votes, 4.85 average. Display Modes
Old
  (#1)
gjgjgj
Guest
 
Posts: n/a
Thumbs up 24th April 2001, 03:22 AM

1. Ro ro ke inheen raahon me, khona paRa ek apne ko
Hans hans ke inhin raahon me, apnaaya thha begaane ko

From "Jeevan ke safar me raahi milte hain bichhaRjaane ko..." (Munimji)

2. Humne dil de bhi diya, ahd-e-wafa le bhi liya
Aap ab shauq se, delen jo saza dete hain

From "Jurm-e-ulfat pe hum log saza dete hain..." (Taj Mahal)

3. Chehre pe KHushi chhaa jaati hai, aankhon me suroor aa jaata hai
Jab tum mujhe apna kehte ho, apne pe GHuroor aa jaata hai

Hum paas se tumko kya dekhen, tum jab bhi muquaabil aate ho
Betaab nigaahon ke aage, parda sa zaroor aa jaata hai

From Waqt

4. Hum to samjhe thhe ke hum bhool gae hain unko
Kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya

From "Kabhi KHud pe, kabhi haalaat pe rona aaya..." (Hum Dono)

5. Niklete thhe kahaan jaane ke lie, pahunche hai kahaan maalum nahin
Ab apne bhaTakte quadmon ko, manzil ka nishaan maalum nahin

Barbaad wafa ka afsaana hum kis se kahen aur kaise kahen
KHaamosh hain lab aur duniya ko, ashkon ki zubaan maalum nahin

Dil shola-e-GHam se KHaak hue ya aag lagi armaanon me
Kya cheez jali kyun seene se, uTHta hai dhuaan maalum nahin

Humne bhi kabhi is gulshan ek KHwaab-e-bahaaran dekha thha
Kab phool jhaRe, kab gard uDi, kab aaee quizaan maalum nahin

From Bahu Begum

6. Jo taar se nikli hain woh dhun, sab ne suni hai
Jo saaz pe guzri hai woh kis, dil ko pata hai

From "Ashkon me jo paaya hai, woh geeton me diya hai..." (Chandi ki Diwaar)

7. Ye mere sher mere aaqri nazraane hai
Main un apnon me hun, jo aaj se begaane hai
Ye taaluq ki mulaquaat kise pesh karun
Ye muraadon ki hasin raat kise pesh karun

From "Rang aur noor ki baaraat kise pesh karun..." (GHazal)

8. Garm saanson se chhupe raaz bataaun kisko
Narm honTon me dabi baat kise pesh karun

From "NaGHma-o-sher ki sauGHaat kise pesh karun...." (GHazal)

9. Tera quayaal teri tamanna lie hue
Dil bujh raha hai aas ka shola lie hue
Hairaan khaRi hue hai doraahe pe zindagi
Naakaam hasraton ka janaaza lie
Ab aise me tujhko, DHoonDke laaun kahan se me

From "Waaquif hum KHoob ishq ke tarz-e-bayaan se main..." (Bahu Begum)

10. Pyaar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi
Tu bataade ke tujhe pyaar karun ya na karun

From Sone ki ChiRiya

11. Kisike manaane me lazzat woh paee
Ke phir rooTHjaane ko ji chaahta hai

From "Nigahen milaane ko ji chaahta hai..." (Dil Hi To Hai)

12. Ro ro ke tumhe KHat likhti hun, aur KHud paRkar ro leti hun
Haalaat ke tapte toofaan me, jazbaat ki kashti KHeti hun
Kaise ho kahan ho kuchh to kaho, main tum ko sadaaen deti hun

From "Main jab bhi akeli hoti hun...." (Dharmaputra)

13. Mandiron me shank baaje, masjidon me ho azaan
SheiKH ka dharm aur deen-e-barhaman aazaad hai

From "Ab koi gulshan na ujRe, ab watan aazaad hai..." (Mujhe Jeene Do...)

14. GHam aur KHushi me farq na mehsoos ho jahan
Main dil ko us muquaam pe laata chala gaya

Barbaadion ka sog manaana fuzool thha
Barbaadion ka jashn manaata chala gaya

From "Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya..." (Hum Dono)

15. Hum hi naadaan thhe jo oRa, beeti yaadon ka kafan
Varna jeene ke lie sab kuchh, bhula lete hain log

From "Jab bhi ji chaahe naee duniya basalete hain log..." (DaaGH, new)

16. Ajnabi si ho, magar GHair nahin lagti ho
Wahem se bhi, jo ho naazuk, woh yaquin lagti ho

From "Maine shaed tumhe, pehle bhi kahin dekha hai..." (Barsaat ki Raat)

17. Kya KHaak woh jeena hai jo apne hi lie ho
KHud miTke kisi aur ko miTne se bacha le
Apne pe bharosa hai to ek daauv lagale

From "Taqdeer se bigRi hui tadbeer banale..." (Baazi)

18. PalaTke su-e-chaman dekhne se kya hoga
Woh shaaq hi na rahin, jo thhi aashiaan ke lie

GHarazparast jahaan me, wafa talaash na kar
Ye sheh bani thhi kisi doosre jahaan ke lie

From "Na tu zamin ke lie, hai na aasmaan ke lie..." (Daastan)

19. Lo aaj humne toRdiya rishta-e-umeed
Lo ab gila karenge na kisi se hum

From "Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum..." (Pyaasa)

20. Mohabbat kar to len lekin, mohabbat raas aae bhi
Dilon ko bojh lagte hain, kabhi zulphon ke saae bhi
Hazaaron GHam hai is duniya me, apne bhi paraae bhi
Mohabbat hi ka GHam tanha nahin, hum kya karen

From "Ye dil tum bin kahin lagta nahin hum kya karen..." (Izzat)

21. Tujhe aur ki tamanna, mujhe teri aarzoo hai
Tere dil me GHam hi GHam hai, mere dil me tu hi tu hai
Jo dilon ko chaen dede, woh dawa kahaan se laaun
Tere dil ko jo lubhaale, woh adaa kahan se laaun

From "Jise tu KHubool karle woh sadaa kahan se laaun..." (Devdas)

22. Kabhi kabhi mere dil me quayaal aata hai
Ke jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yunhi
UTHegi meri taraf pyaar ki nazar yunhi
Main jaanta hun ke tu GHair hain magar yunhi
Kabhi kabhi mere dil me quayaal aata hai

From Kabhi Kabhi

23. GHalat saare daawe, GHalat saari quasmen
Nibhengi yahaan kaise, ulfat ki rasme
Yahaan zindagi hai, rivaajon ke base
Rivaajon ko tum toRna chaahte ho
BaRe nasamajh ho, ye kya chahte ho

From "Tere pyaar ka aasra chahta hun..." (Dhool ka Phool)

24. Arre O Aasmaanwaale bata isme bura kya hai
KHushi ke chaar jhonke gar, idhar se bhi guzar jaaen

From "Teri duniya me jeene se, to behtar hai ke mar jaaen..." (House #44)

25. Mere dil ki mere jazbaat ki queemat kya hai
Uljhe uljhe se quayalaat ki queemat kya hai
Maine kyun pyaar kiya, tumne na kyun pyaar kiya
In pareshan sawalaat ki queemat kya hai
Tum jo ye bhi na bataao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai

From "Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko..." (Didi)

26. Maana ke abhi tere mere, in armaanon ki queemat kuchh bhi nahin
MiTTi ka bhi hai kuchh mol magar, insaanon ki queemat kuchh bhi nahin
Insaanon ki izzat jab jhooTHe sikkon me na toli jaaegi
Woh subah kabhi to aaegi

From "Woh subah kabhi to aaegi...." (Phir Subah Hogi)

27. Sukh ki kaliyaan, dukhe ke kaanTe, man sabka aadhaar
Man se koi baat chhupe na, man ke naen hazaar
Jag se chaahe bhaagle koi, man se bhaag na paae
Tora man darpan kehlaae

From "Tora man darpan kehlaae..." (Kaajal)

28. Jo dil ki dhaRkanen samjhe, na aankhon ki zubaan samjhe
Nazar ki guftagu samjhe, na jazbon ka bayaan samjhe
Usike saamne uski, shikaayat ka iraada hai

From "Kisi pathhar ki moorat se mohabbat ka iraada hai..." (Hamraaz)

29. Is jeevan ki chaRti DHalti, dhoop ko kisne baandha
Rang pe kisne pehre Daale, roop ko kisne baandha
Kaahe ye jatan kare

From "Man re tu kaahe na dheer dhare...." (Chitralekha)

30. Poochhe koi dard-e-wafa, kaun de gaya
Raaton ko jaagne ki saza, kaun de gaya
Mushkil ho arz-e-haal, to hum kya jawaab den

From "Duniya kare sawaal to hum, kya jawaab den..." (Bahu Begum)

31. Pyaar maanga to sisaskte hue armaan mile
Chaen chaaha to umanDte hue toofaan mile
Doobte dil ne kinaaron ki tamanna ki thhi

From "Main chaand aur sitaaron ki tamanna ki thhi..." (Chandrakanta)

32. Aaj woh baat nahin, phir bhi koi baat to hai
Mere hisse me ek, halki si mulaquaat to hai
GHair ka hoke bhi, ye husn mere saath to hai
Haai kis waqt mujhe kab ka gila yaad aaya
Kitne bhoole hue zaqmon ka pata yaad aaya

From "Aap aae to quayal-e-dil-e-naashaad aaya..." (Gumraah)

33. Tum agar mujhko na chaaho to koi baat nahin
Tum kisi aur ko chaahogi to mushkil hogi

Ab agar mel nahin hai, to judaai bhi nahin
Baat toRi bhi nahin, tumne banaai bhi nahin
Ye sahaar hi bahut hai, mere jeene ke lie
Tum agar meri nahin ho, to paraai bhi nahin
Mere dil ko na saraao to koi baat nahin
GHair ke dil ko saraaogi, to mushkil hogi

From Dil Hi To Hai

34. Bujhi bujhi si nazar me teri talaash lie
BhaTakte phirte hain, hum aap apni laash lie
Yahai junoon yehi wehshat ho, aur tu aae
KHuda kareke quayaamat ho, aur tu aae

From "Hum intezar karenge tera quayaamat tak..." (Bahu Begum)

35. Tumhe bhi koi uljhan rokti hai peshquadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ke ye jalwe paraae hain
Mere humraah bhi rusvaaiyaan hain mere maazi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saae hain

From "Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaaen hum dono..." (Gumraah)

36. Sansaar ki har ek besharmi, GHurbat ki godh me palti hai
Chaklon me hi aake rukti hai, faaquon me jo raah nikalti hai
Mardon ki hawas hai jo aksar, aurat ke paap me DHalti hai

From "Aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne use baazaar diya.." (Sadhana)

37. Kal aur aaenge naGHmon ki, khilti kaliyaan chun-ne waale
Mujhse behtar kehne waale, tumse behtar sun-ne waale

From "Main pal do pal ka shaaer hun...."

38. Log kehte hain ke hum tumse kinaara karlen
Tum jo kehdo to sitam, ye bhi ganwaara karlen

Ab to phir tumse mulaquaat nahin hone ki
Mil bhi jaao to koi baat nahin hone ki
Aaqri baar faqat, zikr tumhaara karlen

Aaqri baar quayaalon me la len tumko
Aaqri baar kaleje se laga len tumko
Aur phir apne taRapne ka nazaara karlen

39. Yeh chamanzaar, yeh jamuna ka kinaara, yeh mahal
Yeh munakkash dar-o-deewar yeh mehraab yeh taj
Ek shahenshah ne daulat ka sahaara lekar
Hum gareeboN ki muhabbat ka uDaaya hai mazaaq

From "Mere mehboob kahin aur milakar mujhse..." (GHazal)

40. Tum na jaane kis jahaan me kho gae
Hum bhari duniya me tanha ho gae

From Jailor

41. Yunhi dil ne chaaha thha rona rulaana
Teri yaad to ban, gaee ek bahaana

From Dil Hi To Hai

43. Ye mehlon, ye taqton ye taajon ki duniya
Ye insaan ke dushman, samaajon ki duniya
Ye daulat ke bhooke rawaajon ki duniya
Ye duniya agar mil bhi jaae to kya hai

44. Jahaan ek khilona hai insaan ki hasti
Ye basti hai murda paraston ki basti
Jahaan jeevan se hai maut sasti
Ye duniya agar mil bhi jaae to kya hai

From Pyaasa

44. Tanha na kaT sakenge jawaani ke raaste
Pesh aaegi kisiki zarurat kabhi kabhi

Phir kho na jaaen hum kahin, duniya ki bheeR me
Milti hai paas aane ki mauhlat kabhi kabhi

From "Milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi..." (Aankhen)

45. BichhaRgaya har saathi dekar pal do pal ka saath
Kisko fursat hai jo thhaame diwaanon ka haath
Humko apne saaya tak, aksar bezaar mila
Humne to jab kaliyaan maangi, kaanTon ka haar mila

From "Jaane woh kaise log thhe jinke, pyaar ko pyaar mila..." (Pyaasa)

46. Hum jurm-e-mohabbat ki saza paaenge tanha
Jo tujhse hui ho woh quata saath lie ja

Tapti hui raahon se, tujhe aanch na pahunche
Diwaane ke ashkon ki, ghaTa saath lie ja

From "Barbaad mohabbat ki dua saath lie ja..." (Laila Majnu, new)

47. Sansaar se bhaage phirte ho, Bhagwaan ko tum kya paaoge
Is lok ko bhi apna na sake, us lok me bhi pachtaaoge

From Chitralekha

48. Bhoole se mohabbat kar baiTHa, naadaan thha bechara dil hi to hai
Har dil se quata ho jaati hai, bigRo na KHudaara dil hi to hai

Is tarha nigaahen mat phero, aisa na ho dhaRkan ruk jaae
Seene me koi pathhar to nahin, ehsaas ka maara dil hi to hai

Bedaadgaron (?) ki THokar se, sab KHwaab suhaane choor hue
Ab dil ka sahaara GHam hi to hai, ab GHam ka sahaara dil hi to hai

49. Ilm nahin thha itni jaldi, quatm fasaane ho jaenge
Tum begaane ban jaaoge, hum diwaane ho jaaenge
Kal baahon ka haar mila thha, aaj ashkon ka haar pukare

From "Aaja aaja re, tujhko mera pyaar pukaare..." (Gumraah)

50. Taaruf rog ho jaae to usko bhoolna behtar
Taaluq bojh ban jaae to usko toRna achha
Woh afsaana jise anjaam tak, laana na ho mumkin
Use ek KHoobsoorat moR dekar, chhoRna achha
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
molly
Registered User
molly will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 152
Join Date: Jul 2001
Location: UAE
Rep Power: 23
25th July 2001, 10:06 PM

Hi

Here's another sher to add ur list
hum unko apni mohabbat ka ehsaas dilaye kaise , jo dard hai dilmein unhe dikhayein kaise
ashyeh ashq mohabbat ka dikhayein kisko
ashq bahate hain andhere mein chup chup ke
yeh ashq mohabbat ka dikhayein kisko
kaash ke mere is dard ko samajh leti , aakar mere dard ko kuch baat leti
humne to badi ummeed lagayi thee unse

take care
Molly
 Send a message via ICQ to molly  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Salmeen
Registered User
Salmeen is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 4
Join Date: Apr 2004
Location: USA
Rep Power: 0
Smile 10th April 2004, 01:54 AM

wow! beautiful collection of sahir's lines. i absolutely luv his work.

i was actually lookin for sahir's quotes on the web n i stumbled upon this page. i was surprised cuz i never saw this site before. since im such a hugee fan of beautiful words i decided to join. its all thanks to you.

take care n keep posting..maybe you have but i have yet to explore the site

=)

Tu badan mai hoon chaaya tu na ho thu mai kahan
*i2..*
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
prakashdane
Guest
 
Posts: n/a
11th January 2008, 08:50 AM

rMga AaOr naUr kI baarata iksao paoSa kr}yao mauradaoM kI hsaIna rata iksao paoSa kr}maOnao jajabaata inaBaae hOM ]saulaaoM kI jagahApanao Armaana paIrao laayaa hU, fUlaaoM kI jagahtaoro caohro kI yao saaOgaata iksao paoSa kr}kaOna khtaa hO, ko caahta pao saBaI ka hk hOtaU ijasao caaho taora pyaar ]saI ka hk hOmauJa sao kh do, maOM taora haqa iksao paoSa kr}sauKa- jaaoDo kI tabaaotaaba maubaark hao tauJaotaorI AaKaaoM ka nayaa Kvaaba maubaark hao tauJaomaO yao KvaaiyaSa yao Kayaalaata iksao paoSa kr}
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
jovannis
Registered User
jovannis is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 0
31st March 2008, 08:13 PM

Dost ko dost ka pyaar chahie
Jab dost ka dil bekrar hai
Man ko man ka bharosa chahie
Jab man udaas hai.
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Priyambad
Guest
 
Posts: n/a
5th April 2008, 01:32 PM

Tere Khyal ko dil se kabhi juda na karoon
Tere bagair to main saans bhi liya na karoon
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
9th July 2010, 05:10 PM

Quote:
Originally Posted by prakashdane View Post
rMga AaOr naUr kI baarata iksao paoSa kr}yao mauradaoM kI hsaIna rata iksao paoSa kr}maOnao jajabaata inaBaae hOM ]saulaaoM kI jagahApanao Armaana paIrao laayaa hU, fUlaaoM kI jagahtaoro caohro kI yao saaOgaata iksao paoSa kr}kaOna khtaa hO, ko caahta pao saBaI ka hk hOtaU ijasao caaho taora pyaar ]saI ka hk hOmauJa sao kh do, maOM taora haqa iksao paoSa kr}sauKa- jaaoDo kI tabaaotaaba maubaark hao tauJaotaorI AaKaaoM ka nayaa Kvaaba maubaark hao tauJaomaO yao KvaaiyaSa yao Kayaalaata iksao paoSa kr}

koi C.I.D. Ko bulaao...

Mujhe to ye aatankwaadi message lagta hai ... Coded hai... Wahi is message ka pardafaash karenge...

Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
12th July 2010, 10:47 AM

Quote:
Originally Posted by gjgjgj View Post
1. Ro ro ke inheen raahon me, khona paRa ek apne ko
Hans hans ke inhin raahon me, apnaaya thha begaane ko

From "Jeevan ke safar me raahi milte hain bichhaRjaane ko..." (Munimji)

2. Humne dil de bhi diya, ahd-e-wafa le bhi liya
Aap ab shauq se, delen jo saza dete hain

From "Jurm-e-ulfat pe hum log saza dete hain..." (Taj Mahal)

3. Chehre pe KHushi chhaa jaati hai, aankhon me suroor aa jaata hai
Jab tum mujhe apna kehte ho, apne pe GHuroor aa jaata hai

Hum paas se tumko kya dekhen, tum jab bhi muquaabil aate ho
Betaab nigaahon ke aage, parda sa zaroor aa jaata hai

From Waqt

4. Hum to samjhe thhe ke hum bhool gae hain unko
Kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya

From "Kabhi KHud pe, kabhi haalaat pe rona aaya..." (Hum Dono)

5. Niklete thhe kahaan jaane ke lie, pahunche hai kahaan maalum nahin
Ab apne bhaTakte quadmon ko, manzil ka nishaan maalum nahin

Barbaad wafa ka afsaana hum kis se kahen aur kaise kahen
KHaamosh hain lab aur duniya ko, ashkon ki zubaan maalum nahin

Dil shola-e-GHam se KHaak hue ya aag lagi armaanon me
Kya cheez jali kyun seene se, uTHta hai dhuaan maalum nahin

Humne bhi kabhi is gulshan ek KHwaab-e-bahaaran dekha thha
Kab phool jhaRe, kab gard uDi, kab aaee quizaan maalum nahin

From Bahu Begum

6. Jo taar se nikli hain woh dhun, sab ne suni hai
Jo saaz pe guzri hai woh kis, dil ko pata hai

From "Ashkon me jo paaya hai, woh geeton me diya hai..." (Chandi ki Diwaar)

7. Ye mere sher mere aaqri nazraane hai
Main un apnon me hun, jo aaj se begaane hai
Ye taaluq ki mulaquaat kise pesh karun
Ye muraadon ki hasin raat kise pesh karun

From "Rang aur noor ki baaraat kise pesh karun..." (GHazal)

8. Garm saanson se chhupe raaz bataaun kisko
Narm honTon me dabi baat kise pesh karun

From "NaGHma-o-sher ki sauGHaat kise pesh karun...." (GHazal)

9. Tera quayaal teri tamanna lie hue
Dil bujh raha hai aas ka shola lie hue
Hairaan khaRi hue hai doraahe pe zindagi
Naakaam hasraton ka janaaza lie
Ab aise me tujhko, DHoonDke laaun kahan se me

From "Waaquif hum KHoob ishq ke tarz-e-bayaan se main..." (Bahu Begum)

10. Pyaar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi
Tu bataade ke tujhe pyaar karun ya na karun

From Sone ki ChiRiya

11. Kisike manaane me lazzat woh paee
Ke phir rooTHjaane ko ji chaahta hai

From "Nigahen milaane ko ji chaahta hai..." (Dil Hi To Hai)

12. Ro ro ke tumhe KHat likhti hun, aur KHud paRkar ro leti hun
Haalaat ke tapte toofaan me, jazbaat ki kashti KHeti hun
Kaise ho kahan ho kuchh to kaho, main tum ko sadaaen deti hun

From "Main jab bhi akeli hoti hun...." (Dharmaputra)

13. Mandiron me shank baaje, masjidon me ho azaan
SheiKH ka dharm aur deen-e-barhaman aazaad hai

From "Ab koi gulshan na ujRe, ab watan aazaad hai..." (Mujhe Jeene Do...)

14. GHam aur KHushi me farq na mehsoos ho jahan
Main dil ko us muquaam pe laata chala gaya

Barbaadion ka sog manaana fuzool thha
Barbaadion ka jashn manaata chala gaya

From "Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya..." (Hum Dono)

15. Hum hi naadaan thhe jo oRa, beeti yaadon ka kafan
Varna jeene ke lie sab kuchh, bhula lete hain log

From "Jab bhi ji chaahe naee duniya basalete hain log..." (DaaGH, new)

16. Ajnabi si ho, magar GHair nahin lagti ho
Wahem se bhi, jo ho naazuk, woh yaquin lagti ho

From "Maine shaed tumhe, pehle bhi kahin dekha hai..." (Barsaat ki Raat)

17. Kya KHaak woh jeena hai jo apne hi lie ho
KHud miTke kisi aur ko miTne se bacha le
Apne pe bharosa hai to ek daauv lagale

From "Taqdeer se bigRi hui tadbeer banale..." (Baazi)

18. PalaTke su-e-chaman dekhne se kya hoga
Woh shaaq hi na rahin, jo thhi aashiaan ke lie

GHarazparast jahaan me, wafa talaash na kar
Ye sheh bani thhi kisi doosre jahaan ke lie

From "Na tu zamin ke lie, hai na aasmaan ke lie..." (Daastan)

19. Lo aaj humne toRdiya rishta-e-umeed
Lo ab gila karenge na kisi se hum

From "Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum..." (Pyaasa)

20. Mohabbat kar to len lekin, mohabbat raas aae bhi
Dilon ko bojh lagte hain, kabhi zulphon ke saae bhi
Hazaaron GHam hai is duniya me, apne bhi paraae bhi
Mohabbat hi ka GHam tanha nahin, hum kya karen

From "Ye dil tum bin kahin lagta nahin hum kya karen..." (Izzat)

21. Tujhe aur ki tamanna, mujhe teri aarzoo hai
Tere dil me GHam hi GHam hai, mere dil me tu hi tu hai
Jo dilon ko chaen dede, woh dawa kahaan se laaun
Tere dil ko jo lubhaale, woh adaa kahan se laaun

From "Jise tu KHubool karle woh sadaa kahan se laaun..." (Devdas)

22. Kabhi kabhi mere dil me quayaal aata hai
Ke jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yunhi
UTHegi meri taraf pyaar ki nazar yunhi
Main jaanta hun ke tu GHair hain magar yunhi
Kabhi kabhi mere dil me quayaal aata hai

From Kabhi Kabhi

23. GHalat saare daawe, GHalat saari quasmen
Nibhengi yahaan kaise, ulfat ki rasme
Yahaan zindagi hai, rivaajon ke base
Rivaajon ko tum toRna chaahte ho
BaRe nasamajh ho, ye kya chahte ho

From "Tere pyaar ka aasra chahta hun..." (Dhool ka Phool)

24. Arre O Aasmaanwaale bata isme bura kya hai
KHushi ke chaar jhonke gar, idhar se bhi guzar jaaen

From "Teri duniya me jeene se, to behtar hai ke mar jaaen..." (House #44)

25. Mere dil ki mere jazbaat ki queemat kya hai
Uljhe uljhe se quayalaat ki queemat kya hai
Maine kyun pyaar kiya, tumne na kyun pyaar kiya
In pareshan sawalaat ki queemat kya hai
Tum jo ye bhi na bataao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai, maine to mohabbat ki hai

From "Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko..." (Didi)

26. Maana ke abhi tere mere, in armaanon ki queemat kuchh bhi nahin
MiTTi ka bhi hai kuchh mol magar, insaanon ki queemat kuchh bhi nahin
Insaanon ki izzat jab jhooTHe sikkon me na toli jaaegi
Woh subah kabhi to aaegi

From "Woh subah kabhi to aaegi...." (Phir Subah Hogi)

27. Sukh ki kaliyaan, dukhe ke kaanTe, man sabka aadhaar
Man se koi baat chhupe na, man ke naen hazaar
Jag se chaahe bhaagle koi, man se bhaag na paae
Tora man darpan kehlaae

From "Tora man darpan kehlaae..." (Kaajal)

28. Jo dil ki dhaRkanen samjhe, na aankhon ki zubaan samjhe
Nazar ki guftagu samjhe, na jazbon ka bayaan samjhe
Usike saamne uski, shikaayat ka iraada hai

From "Kisi pathhar ki moorat se mohabbat ka iraada hai..." (Hamraaz)

29. Is jeevan ki chaRti DHalti, dhoop ko kisne baandha
Rang pe kisne pehre Daale, roop ko kisne baandha
Kaahe ye jatan kare

From "Man re tu kaahe na dheer dhare...." (Chitralekha)

30. Poochhe koi dard-e-wafa, kaun de gaya
Raaton ko jaagne ki saza, kaun de gaya
Mushkil ho arz-e-haal, to hum kya jawaab den

From "Duniya kare sawaal to hum, kya jawaab den..." (Bahu Begum)

31. Pyaar maanga to sisaskte hue armaan mile
Chaen chaaha to umanDte hue toofaan mile
Doobte dil ne kinaaron ki tamanna ki thhi

From "Main chaand aur sitaaron ki tamanna ki thhi..." (Chandrakanta)

32. Aaj woh baat nahin, phir bhi koi baat to hai
Mere hisse me ek, halki si mulaquaat to hai
GHair ka hoke bhi, ye husn mere saath to hai
Haai kis waqt mujhe kab ka gila yaad aaya
Kitne bhoole hue zaqmon ka pata yaad aaya

From "Aap aae to quayal-e-dil-e-naashaad aaya..." (Gumraah)

33. Tum agar mujhko na chaaho to koi baat nahin
Tum kisi aur ko chaahogi to mushkil hogi

Ab agar mel nahin hai, to judaai bhi nahin
Baat toRi bhi nahin, tumne banaai bhi nahin
Ye sahaar hi bahut hai, mere jeene ke lie
Tum agar meri nahin ho, to paraai bhi nahin
Mere dil ko na saraao to koi baat nahin
GHair ke dil ko saraaogi, to mushkil hogi

From Dil Hi To Hai

34. Bujhi bujhi si nazar me teri talaash lie
BhaTakte phirte hain, hum aap apni laash lie
Yahai junoon yehi wehshat ho, aur tu aae
KHuda kareke quayaamat ho, aur tu aae

From "Hum intezar karenge tera quayaamat tak..." (Bahu Begum)

35. Tumhe bhi koi uljhan rokti hai peshquadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ke ye jalwe paraae hain
Mere humraah bhi rusvaaiyaan hain mere maazi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saae hain

From "Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaaen hum dono..." (Gumraah)

36. Sansaar ki har ek besharmi, GHurbat ki godh me palti hai
Chaklon me hi aake rukti hai, faaquon me jo raah nikalti hai
Mardon ki hawas hai jo aksar, aurat ke paap me DHalti hai

From "Aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne use baazaar diya.." (Sadhana)

37. Kal aur aaenge naGHmon ki, khilti kaliyaan chun-ne waale
Mujhse behtar kehne waale, tumse behtar sun-ne waale

From "Main pal do pal ka shaaer hun...."

38. Log kehte hain ke hum tumse kinaara karlen
Tum jo kehdo to sitam, ye bhi ganwaara karlen

Ab to phir tumse mulaquaat nahin hone ki
Mil bhi jaao to koi baat nahin hone ki
Aaqri baar faqat, zikr tumhaara karlen
Tum jo kehdo to sitam, ye bhi ganwaara karlen

Aaqri baar quayaalon me la len tumko
Aaqri baar kaleje se laga len tumko
Aur phir apne taRapne ka nazaara karlen
Tum jo kehdo to sitam, ye bhi ganwaara karlen

From Bahu Begum

39. Yeh chamanzaar, yeh jamuna ka kinaara, yeh mahal
Yeh munakkash dar-o-deewar yeh mehraab yeh taj
Ek shahenshah ne daulat ka sahaara lekar
Hum gareeboN ki muhabbat ka uDaaya hai mazaaq

From "Mere mehboob kahin aur milakar mujhse..." (GHazal)

40. Tum na jaane kis jahaan me kho gae
Hum bhari duniya me tanha ho gae

From Jailor

41. Yunhi dil ne chaaha thha rona rulaana
Teri yaad to ban, gaee ek bahaana

From Dil Hi To Hai

43. Ye mehlon, ye taqton ye taajon ki duniya
Ye insaan ke dushman, samaajon ki duniya
Ye daulat ke bhooke rawaajon ki duniya
Ye duniya agar mil bhi jaae to kya hai

44. Jahaan ek khilona hai insaan ki hasti
Ye basti hai murda paraston ki basti
Jahaan jeevan se hai maut sasti
Ye duniya agar mil bhi jaae to kya hai

From Pyaasa

44. Tanha na kaT sakenge jawaani ke raaste
Pesh aaegi kisiki zarurat kabhi kabhi

Phir kho na jaaen hum kahin, duniya ki bheeR me
Milti hai paas aane ki mauhlat kabhi kabhi

From "Milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi..." (Aankhen)

45. BichhaRgaya har saathi dekar pal do pal ka saath
Kisko fursat hai jo thhaame diwaanon ka haath
Humko apne saaya tak, aksar bezaar mila
Humne to jab kaliyaan maangi, kaanTon ka haar mila

From "Jaane woh kaise log thhe jinke, pyaar ko pyaar mila..." (Pyaasa)

46. Hum jurm-e-mohabbat ki saza paaenge tanha
Jo tujhse hui ho woh quata saath lie ja

Tapti hui raahon se, tujhe aanch na pahunche
Diwaane ke ashkon ki, ghaTa saath lie ja

From "Barbaad mohabbat ki dua saath lie ja..." (Laila Majnu, new)

47. Sansaar se bhaage phirte ho, Bhagwaan ko tum kya paaoge
Is lok ko bhi apna na sake, us lok me bhi pachtaaoge

From Chitralekha

48. Bhoole se mohabbat kar baiTHa, naadaan thha bechara dil hi to hai
Har dil se quata ho jaati hai, bigRo na KHudaara dil hi to hai

Is tarha nigaahen mat phero, aisa na ho dhaRkan ruk jaae
Seene me koi pathhar to nahin, ehsaas ka maara dil hi to hai

Bedaadgaron (?) ki THokar se, sab KHwaab suhaane choor hue
Ab dil ka sahaara GHam hi to hai, ab GHam ka sahaara dil hi to hai

49. Ilm nahin thha itni jaldi, quatm fasaane ho jaenge
Tum begaane ban jaaoge, hum diwaane ho jaaenge
Kal baahon ka haar mila thha, aaj ashkon ka haar pukare

From "Aaja aaja re, tujhko mera pyaar pukaare..." (Gumraah)

50. Taaruf rog ho jaae to usko bhoolna behtar
Taaluq bojh ban jaae to usko toRna achha
Woh afsaana jise anjaam tak, laana na ho mumkin
Use ek KHoobsoorat moR dekar, chhoRna achha

Gaurav jii, aapne Sahir jii ki bahut khoobsurat lines hum sabse share ki haiN, muje sabhi antre behad pasand aaye.....thanks for sharing.

god bless u

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Classic first lines/Tapori second lines naadaan Humourous Shayri 1 10th August 2009 01:57 PM
A few lines... Pulkit_gupta Shayri-e-Dard 30 14th August 2006 04:02 PM
some lines shayri12345 Shayri-e-Dard 5 19th April 2006 03:30 PM
sahir's great song about life :man rey... Uday Sahir Ludhianvi 4 28th February 2005 08:24 PM
Jus some lines. shayri12345 Shayri-e-Dard 11 17th February 2005 07:30 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com