Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ki Tera THIKANA kahaN hai...!
Old
  (#1)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Exclamation Ki Tera THIKANA kahaN hai...! - 6th December 2005, 02:10 AM

Sabhi ko aadab...

intzaar ab mujhe uska hai jiske sath mujhe jana hai... sabne chora mujhe aaj tak ab mujhe sab chor jana hai... kisi ki kahani kisi ka fasana .... pankh katwa ke apne jindgani... naye aakash maiN ude jana hai... na kisi ka khauf rahega, na dil se dard bahega... ajnabi ho sabse ek naye safar par aaj chale jana hai....

ææææææææææææææææææææææææææ

Na aa sake laut ke koi, aisa mera jahaaN hai..
Mere jane maiN ab, waqt bacha kahaaN hai….

Do ghooNt aur gham ke jindgee pee luN jaraa…
Toot kar bikhar jaye jo, wo armaan kahaN hai..

LafzoN ka dher wo meri dastan-e-jindgi hoga…
Baad mere puchenge, inka ashiyana kahaN hai..

Kis marz ka maara huN, ye paheli hai yaaroN…
Pata karo us dard se, ki tera thikana kahaN hai…

Kash kisi ke seene pe chain pata “saccha_pyar”…
Chingari wo cheekh rahi, ise jalaana kahaN hai…

Hosh ki baat kya, behoshi ka pehlu kismat maan…
NazreN band kar khamosh chale jana kahaN hai…

Na aaunga kabhi laut ke, aisa mera jahaaN hai..
MaiN jaa Chuka huN, ab waqt bacha kahaN hai….

ææææææææææææææææææææææææææ

Kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#2)
Pyarali Rajan
Registered User
Pyarali Rajan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 403
Join Date: Oct 2001
Location: Copenhagen, Denmark
Rep Power: 23
6th December 2005, 07:55 PM

Kunal bhai!!

Woh alfaz dhundh nahi pata jo sahi tarah sey aapki ees rachna ki taarif mai estamal kar sakoo! Bhai, bahot umda!!

Kis marz ka maara huN, ye paheli hai yaaroN…
Pata karo us dard se, ki tera thikana kahaN hai

Na aaunga kabhi laut ke, aisa mera jahaaN hai..
MaiN jaa Chuka huN, ab waqt bacha kahaN hai….

Wah!! Lekin dard hi dard....

Rajan!!


cool
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
10th December 2005, 01:19 AM

Quote:
Originally posted by Pyarali Rajan
Kunal bhai!!

Woh alfaz dhundh nahi pata jo sahi tarah sey aapki ees rachna ki taarif mai estamal kar sakoo! Bhai, bahot umda!!

Kis marz ka maara huN, ye paheli hai yaaroN…
Pata karo us dard se, ki tera thikana kahaN hai

Na aaunga kabhi laut ke, aisa mera jahaaN hai..
MaiN jaa Chuka huN, ab waqt bacha kahaN hai….

Wah!! Lekin dard hi dard....

Rajan!!
Rajan ji ...

Aapka aana hi apne aap maiN lafzoN ka bhandaar hai .. fir tareef wo kahaN jo kanoN ko sukoon de .,.. dil ka sukoon to ek muskaan se hi mil jata ahai ...

phir aapne to itna kuch likh diya

aapka apna

kUnal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
kunal...
Old
  (#4)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
kunal... - 11th December 2005, 04:38 PM

..bahaut deeno ke baad ..kisi kalam ko reply kar raha hoon..sabab?..bus ye hi ke...kalam ya to kisi aur ke the ya..unme kashsish nahin thi...aajtumhara kalam padha..aur umeed ke mutabik tumne ..achcha likha....kalam ..ka har lafz ..shadeed gham se sarobar hai ....ek ma umeedi hai jo ,,barason ki thakan aur ...udaasi ...
magar mere aziz dost ...jahan tak main is kalam ko dekhta hoon...mujhe is mein kuch ...kamian lagati hai..bayan utna mukammal nahin ,aur ..lafzon ko kuch sahara chaiye aisa laga......aur jo mayar tumne khud ne apne kalamon se tamir kiya hai ....us se kuch kam laga ...muaf karna ...shayd main galat bhi ho sakta hoon..
maagr tum acchha likhteho ..ahasasonko gahre samjhte ho ....janta hoon


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Re: kunal...
Old
  (#5)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: kunal... - 14th December 2005, 08:52 PM

Quote:
Originally posted by amaan7am
..bahaut deeno ke baad ..kisi kalam ko reply kar raha hoon..sabab?..bus ye hi ke...kalam ya to kisi aur ke the ya..unme kashsish nahin thi...aajtumhara kalam padha..aur umeed ke mutabik tumne ..achcha likha....kalam ..ka har lafz ..shadeed gham se sarobar hai ....ek ma umeedi hai jo ,,barason ki thakan aur ...udaasi ...
magar mere aziz dost ...jahan tak main is kalam ko dekhta hoon...mujhe is mein kuch ...kamian lagati hai..bayan utna mukammal nahin ,aur ..lafzon ko kuch sahara chaiye aisa laga......aur jo mayar tumne khud ne apne kalamon se tamir kiya hai ....us se kuch kam laga ...muaf karna ...shayd main galat bhi ho sakta hoon..
maagr tum acchha likhteho ..ahasasonko gahre samjhte ho ....janta hoon
Amaan sahab

Adaab aur bohat hi manmooniyat ka izhaar karta huN main aapke tasreef lane par... ye khushkismati hai meri ki mere alfaaz itne paine to rahe ... ki aapki kalam bhi shant na reh saki... khair in sab baton se alehda aapke nazariye pe chalte hai ... mujhe koi ranj nahi ki aapne aisa likha to muafi ka sawaal hota hi nahi.. par tab bhi aapko ek baat ki taraf gaur dilana chahuNga ... ki lafz ek dum usi roop maiN rakhe gaye jaise dil main aaye ... aur unhe waqt bhi na diya gaya sudharne ke lie... shayad sirf 10 min ... par tab bhi aapki baatoN se sehmat hote hue maiN aapki batoN ko ir aankhoN pe leta huN... par mujhe behad khushi hoti .. ki aap nishandehi poori tarah se karte taaki maiN agli martba un galtiyon main sudhar karta ... umeed hai aap bhi meri kisi baat ka bura nahi manenge ... aur is safar-e-alfaaz pe mera sath dete raheNge...

apna khayal rakhiyega

aapka apna

KUnal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
mere ahbaab...
Old
  (#6)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
mere ahbaab... - 24th December 2005, 07:48 PM

.....kunal....meri mubarakbad kobool karo....ke tum ek umda zahan ke malik ho....meri raishumari par tumne jis taraha ..apne khayal rakhe ...mujhe tumahra khasoosi andaz pasand aaya..aur mere dost yun na samajhna ke main koi bahut bada shayr ya adeeb ho...ji nahin ...bikul nahin..but ..is dahar-e-sukhan ka ek ...namaloom sa bashinda hoon..magar han!! ..itna to apne bare mein janata hoo ke...auron se alahada hoo...jasbon ko shiddat se mahsoos kar sakta hoon...thik tumhari tarah..:-)...magar suno....likhte rahana .....sabab ?..bus ye ..ke gar khud ko zaheer na kar paoge to ..shayad apne wajod ko kho doge..kyuki kam se kam main to islye ho likhta hoon..ke ..gar na likhon to ye ..aziyatein aur ..pareshanian ...aur sare jahan ke dard ...kisi abshar-e-aatish ki taraha dil se nikalkar ..dil ko ..nakaam kar denge ....
khair ,besabab bahut bol gaya....magar bahut deeno baad koi apne jaisa mila to.....
aur han!! kabhi ..mera koi kalam ..tumhari nigahon se ghuzare to....aauron ki taraha ..mahaj 'shukriya' ya...'guud' se kaam na chalana....apne khayal dena aur ....apne andaz mein dena.....


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Re: mere ahbaab...
Old
  (#7)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: mere ahbaab... - 24th December 2005, 08:31 PM

Amaan bhai

Jyada nahi likh paunga waqt shayad izazt na den... par itna jaroor ... ki aapki baton ne mujhe behad sukoon diya hai ... ki koi to hai to mujhe khud sa samajahta hai ... aapki jarra nawajish pe sadke ... aaunga phir se aapko jawaab dene ... abhi chalta huN ...

aur teh dil se iccha hai aapka likha kuch padhuN ,.... aur kabhi formally reply kunal ne aaj tak kisi ko nahi kiya .. ya to main karta nahi ... ya apne poore vichar rakh ke baat karta huN... shayad isi liye kunal ko aaj sab kisi kone maiN rakhte hai ...

aaapka apna

kunal;


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
dost..
Old
  (#8)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
dost.. - 24th December 2005, 09:25 PM

janata hoon kunal ko sab kis kone mein rakhte hai...
udth ke mehfil se mat chale jana
tumse roshan ye kona kona hai ........gosha-e-dil..ryte?


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tera dil hi hai mera thikana aftab786 Shayri-e-Ishq 0 28th April 2006 04:34 PM
Ki Tera THIKANA kahaN hai...! KunaaL Shayri-e-Dard 24 9th December 2005 07:53 PM
Kare tera dil shaad-aab, wo andaaz kahan se laaon... Parastaar Shayri-e-Dard 35 8th July 2005 02:22 PM
tera kahan hain! bakhtiyaar Shayri-e-Dard 0 31st March 2004 11:22 PM
Dil... thikana! husn_haya Shayri-e-Ishq 4 9th March 2003 03:28 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com