Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Apnay-apnay Raastay
Old
  (#1)
maktoob
Registered User
maktoob is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Dec 2005
Rep Power: 0
Apnay-apnay Raastay - 23rd December 2005, 04:37 PM

Teri Soch, Meri Soch nahin hai
Afsos! Kay tu wo nahin hai!

Tere Harf, Meri Zabaan se nahin miltay
Main Kya Samjhoon, Jo tunay kahi hai!

Tu bahut phoonk kar paanv rakhti hai,
Meri zindagi to bas paani si bahi hai!

Teri baaton mein ab nahin wo sabaab,
Aur Apni har baat ankahi hai!

Kehtay hain ki har muamala hai 'Maktoob'
Jo ho raha, Allah! ki marzi wahi hai!
   
Reply With Quote
janab makhtoob...
Old
  (#2)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
janab makhtoob... - 24th December 2005, 08:01 PM

..aapke kalam se mulakat hui aur ek fauri ta-aruff apse bhi hua...aur yakeen mane...aapse milkar bahut achcha laga...
magar pahale aapki ..nanhi :-) ghazal ke bare mein baat karein...kahane ko aapne ..bahut choti bahar ki ghazal likhi hai magar iske mani bahut ....'bade' hai ..mujhe afsos hai ke ..aapki baat yahan koi nahin samjh saka....magar aap mayus na ho...aap waqee achci shayri karte hai ....ghazal bahut sada hai ...aur shayd isiliye ..behtareen hai ...kyuki ..jaisa main janata hoon...aajkal ..sadagi to ..bus..ek lafz rah gayi hai..ghazal sada hai magar ....har lafz apne mani ....aise khulta hai jaise ....kisi ne kaha kuch na ho ..magar ...bus khamoshi se aapki janib dekhkar ..halka sa mukhkura diya ho....aapko is kadar aasan aurpurasar ghazal likhne ke liye ..salam...dheron salam..

aur ab aapki kuch baatein karein....mujhe maloom nahin ke aap is baat se ittefaq rakhte hai ya nahin ke....kisi shayar ke kalam darasal uski shaksiyat ka aeena hote hai ...maagr bhaijaan...main is baat ko dil se manata hoon...aur aapke lafzon mein aapka ek halka sa asks dekha ...zahin ..taur par aa kafi malamaal hai ..mubarakbaad..umeed hai ..aap se phir mulakat hogi....


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Old
  (#3)
maktoob
Registered User
maktoob is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Dec 2005
Rep Power: 0
27th December 2005, 09:43 AM

Salaam Amaan Saahab,

Zarranawazi ka shukriya. Ye dekhkar kafi accha laga ki kuch log aur hain jo shabdon kay jaal se paray sahi 'arth' ki talaash mein hain. Warnaa khokhlay harfon mein zazbaaton ka dam hi ghutata deekhta hai.

Umeed karta hoon aapkay kalaam bhi 'sach' ko prerit karenge.

Ek baar phir se..Shukriya....

Salamat Rahein!

Always,
Maktoob
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Qafus Apnay Apnay Brijinder Aapki Shayri 1 17th August 2007 03:36 AM
Apnay Ahsas Say........ moon Shayri-e-Ishq 12 9th November 2006 01:03 AM
Kise Apnay K Naam shafait_anjum Shayri-e-Dard 0 11th February 2005 01:13 PM
Tum apnay apnay say lagay. shakeel shaiki Shayri-e-Ishq 9 23rd January 2004 08:52 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com