Kal bhi mann akela tha aaj bhi akela hai -
28th October 2005, 05:28 AM
Doston..maine ye shayri mere ek aziz dost se suni thee...Mujhe achchi lagi..is liye aapke samne pesh karne ja raha hun:::
thodi nirasha wadi...
Kal bhi mann akela tha, aaj bhi akela hai!
Jane meri kismat ne kaisa khel khela hai!!-2
Doodhti ho tum khushboo kagazi gulabaun main!
Pyar sirf milta hai aaj kal kitabaun main!!
dard bhari ankhaun maine anshuon ka mela hai
Jane meri kismat ne kaisa khel khela hai!!
Kal bhi mann akela tha, aaj bhi akela hai!
Zindagi ke mandap main har khushi kanwari hai!
jis se mangne jao har koi bhikhari!
riste-nate jhoote hai swarth ka jhamela hai!
Jane meri kismat ne kaisa khel khela hai!!
hi charora
dost yeh jo ghazal apne yahan likhi hai bahoot hi achi hai is ghazal ko ghulam ali sahab nain bahoot hi pyarre andaz main pesh kiya tha shukriya guzar hooin ki apne is nagme ko yaha pesh kiya kafi arse se is ghazal ke shabodo ki talash thi
likhte rahiyga
zindgi ki talash main ek
hara ashiq
main ise aapko sahi shaodo ke saath pesh kar raha hooin
Kal bhi mann akela tha, aaj bhi akela hai!
Jane meri kismat ne kaisa khel khela hai!!-2
Doodhte ho tum khushboo kagazi gulabaun main!
Pyar sirf milta hai sirf aaj kal kitabaun main!!
kehkaho ki ankhaun maine anshuon ka mela hai
Jane meri kismat ne kaisa khel khela hai!!
Kal bhi mann akela tha, aaj bhi akela hai!
Zindagi ke mandap main har khushi kanwari hai!
kis se mangne jaye har koi bhikhari hai !
riste-nate jhoote hai sath ka jhamela hai!
Jane meri kismat ne kaisa khel khela hai!!
Thanks hara ashiq for correcting the shayari..It's good to know that this was sung by Gulam Ali Saheb...hum khuda se dua karenge aap ishq maine age nahin hare
jisne bhi ye likha hai .. bas uske liye tareefeN .. par aap ise hum tak laye .. bohat bohat shukriya ,... sach kam hi milte hai itne sade aur seedhe kalaam .. ek geet sa hai ... gungunane ki koshis bhi ki ... kabhi mauka mila to sunaunga apako ...
aapka apna
kunal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..