Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
aik e'laan! aik darKhwaast!
Old
  (#1)
Sarwar A. Raz
Registered User
Sarwar A. Raz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 70
Join Date: Dec 2002
Location: Fort Worth, TX, U.S.A.
Rep Power: 22
aik e'laan! aik darKhwaast! - 19th January 2004, 11:28 AM

dosto: aadaab!

mujh ko aaj aap se aik nihaayat aham baat kehnee hai. ummeed hai k iss kaa Khaatir.Khwaah nateeja nikle gaa. shukriya peshgee Haazir hai!

sab ko ilm hai k Urdu she'r.o.adab kee be'shumaar kitaabeN shaa'ye hotee rehtee haiN. kitaab likhnaa to mushkil hai hee lekin iss manzil meiN jo kaam taqreeban naa.mumkin hai voh hai kitaab kaa paRhne vaaloN tak poNhchaanaa hai! beshtar logoN ko kitaab Khareed kar paRhne kaa shauq vaise bhee kam hotaa hai.

Urdu kee bad.qismatee yeh hai k hamaare yahaaN kitaabeN lene kaa shauq kam.o.besh naa'ped hai! iss kaa nateeja yeh hai k baRe baRe likhne vaaloN kee kitaabeN bhee nihaayat kam ta'daad meiN Chhapne ke baa'vujood kayee kayee saal yooN hee paRee rehtee haiN aur aaKhir.e.kaar ruddee kee nazr ho jaatee haiN.

maiN ko'ee baRaa shaa'ir yaa adeeb naheeN hooN lekin aik musannif kee Haisiyat se maiN bhee isee mushkil kaa shikaar hooN. ab tak Urdu she'r.o.adb per meree chaar kitaabeN shaa'ye ho chukee haiN aur aik kaseer ta'daad meiN mere paas paRee hu'ee haiN.

zaahir hai k mere ba'd yeh sab ruddee meiN hee Daal dee jaa'yeN gee. maiN ne iss mas'ale kaa apnee Had tak jo Hal sochaa hai vohee iss Khat kaa maqsad hai.
maiN apnee kitaabeN BILAA.QEEMAT tuHfe ke taur per un asHaab.e.zauq ko denaa chaahataa hooN jo Urdu se lagaa'o rakhte haiN. iss taraH yeh kitaabeN aik aChhe kaam meiN aa jaayeN gee aur mumkin hai k in se kuChh logoN ko faa'ida bhee ho jaa'ye.

yeh bhee zaahir hai hai k maiN in saikaRoN kitaaboN ko paRhne vaaloN tak apne Kharch per naheeN poNhchaa saktaa hooN. iss liye agar ko'ee saaHib.e.zauq sirf postage bardaasht karne ko tai'yyaar hai to maiN uss ko kitaab parcel kar saktaa hooN. chooN.k muKhtalif maqaamaat kee postage muKhtalif hotee hai (US $3 - $7) iss liye sab ke liye aik hee raqam behtar ho gee. maiN ne yeh raqam US $4.00 rakhee hai.

agar aap chaaheN to mujh ko bhej deN. maiN kitaab aap ko bhej dooN gaa. maiN iss program kee ibtidaa apnee GhazaloN ke majmoo'e :Shehr.e.Nigar: se kar rahaa hooN. aa'inda ke iqdaamaat nateeje per munHasir hon ge.

aap ke ta'aavun kaa intizaar rahe gaa.

Sarwar A. Raz
8020 Moss Rock Drive
Fort Worth, TX 76123, U.S.A.
(817) 423-3382 : Phone
<sarwarazi@yahoo.com>


"Raz" se mil ke aap Khush hoNge
aadmee hai baRee muHabbat kaa

(Raz Chandpuri)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
19th January 2004, 05:26 PM

Hope you are well. I would Love to have one of your books. Actually it's a pleasure of mine to read your writings. Please save one for me. I would be greatful to you. Thank you very much. Can I add you? Take care. God bless you. Allah Hafiz.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Sarwar A. Raz
Registered User
Sarwar A. Raz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 70
Join Date: Dec 2002
Location: Fort Worth, TX, U.S.A.
Rep Power: 22
19th January 2004, 08:20 PM

Shimul jee: aadaab!

aap ke Khat kaa shukria. " I look forward to hearing from you. Please go ahead and do what you want to do."

Sarwar a. Raz :Sarwar:


"Raz" se mil ke aap Khush hoNge
aadmee hai baRee muHabbat kaa

(Raz Chandpuri)
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
19th January 2004, 08:34 PM

Dear Sarwar Jee, bohot bohot shukriya aapka. I have added you. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.
Allah Hafiz.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Honey Arab
Bholi Si ek Ladki
Honey Arab is on a distinguished road
 
Honey Arab's Avatar
 
Offline
Posts: 29
Join Date: Jun 2003
Location: Gujarat-India
Rep Power: 0
23rd January 2004, 10:35 PM

Sarwar Jee, Salam,
Hope to find u in good health by the grace of God. Waise mein bhi bohot interest rakhti hoon urdu mein aur ghazals , shayris mein, aur aksar try bhi karti rehti hoonkkuch likhne ko aur aap ki book mein bhi apne collection mein add karna pasand karungi. Lekin aap India tak bhejenge kya?? Aur indian rupees ein kitne ki hogi mujhe??/ Plz reply dena.
Good luck & best wishes.. Apni dua ein yaad rakhna.
Honey Arab.


Honey Arab
  Send a message via Yahoo to Honey Arab  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Sarwar A. Raz
Registered User
Sarwar A. Raz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 70
Join Date: Dec 2002
Location: Fort Worth, TX, U.S.A.
Rep Power: 22
24th January 2004, 02:43 AM

azeeza HA: aadaab!

aap kaa Khat dekh kar maiN bohat hee Khush hu'aa aur dil se aap ke liye du'aa niklee. aap kee muHabbat hai k India se beTh kar kitaaboN kaa Khayaal kar rahee haiN.

maiN USA meiN hooN aur aap India meiN. Air Mail postage hee kitaab per $15 ke qareeb ho gee. Surface Mail ko'ee $8 ho gee lekin kitaab 2 maah meiN poNhche gee. zaahir hai k yeh soorateN Theek naheeN haiN.

maiN October 2004 meiN India jaa rahaa hooN. aap apnaa mailing address mujh ko em yaa pm se bhej deN. maiN Ocotber meiN aap ko kitaabeN India se hee bhej dooN gaa. ussee vaqt aap se baat cheet ho jaaye gee. iss taraH kitaab bhee mil jaaye gee aur Kharch bhee munaasib aa'ye gaa. meraa Khayaal hai k aap iss per raazee hoN gee.

aap ke mailing address kaa intizaar rahe gaa. aap itmeenaan rakheN k maiN va'da karooN gaa to pooraa zaroor karooN gaa!

Sarwar A. Raz :Sarwar:


"Raz" se mil ke aap Khush hoNge
aadmee hai baRee muHabbat kaa

(Raz Chandpuri)
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Chit-Chat section ke liye kuch baatoN kaa Khayaal raKheN [ aik darKhwaast ]....! Dhaval Chit-Chat & General Discussion Forum 6 23rd June 2015 01:52 PM
Shaa'iiree se juRe huye sabhee dostoN se merii ek darKhwaaSt..! Dhaval Chit-Chat & General Discussion Forum 16 19th May 2010 11:44 AM
ek dilchasp aur aham e'laan! Sarwar A. Raz General Stories 0 28th August 2004 05:03 PM
ek aham e'laan! Sarwar A. Raz Aapki Shayri 0 24th June 2004 06:34 PM
aik aham e'laan! Sarwar A. Raz Aapki Shayri 0 27th October 2003 08:39 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com