Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
gulon ke girne ka gum darkht kab tak jhelengey??kab tak??
Old
  (#1)
san04
ansoon aur muskan....
san04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nice
 
san04's Avatar
 
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
gulon ke girne ka gum darkht kab tak jhelengey??kab tak?? - 28th May 2004, 01:20 PM

gulon ke girne ka gum darakht kab tak jhelengey?
mayusiyon ke saye mein derd ankhmichoni kab tak khelengey?

nazuk rukhsaron per pahiley ho jab ashk beshumaar
sau jakhm seeney ke duniya se kab tab chup lengey?

hathon ki lakeeron mein doondoon majboor kismat ko
badnaseebi ki janjeeron ka derd paanw kabtak seh lengy?

jindgi jab pahunchi hai umer ke dosrey kinarey per
kashti-e-khawish se bebas lamhat kab tak behlengey?

sehra ke bawander mein jab boondey nazar aye chahat ki
muddaton se khushk lab pyase kab tak reh lengey?

murda hue jismon ko dafnane ka riwaz hai magar
jinda sanson mein merne ka ehsaas kab tak jhelengey?

her raat ke baat sehar ka aagaz to sabne dekha "sona"
peshaani ko andheri raazon ka paigam kab tak de lengey?

Last edited by san04; 28th May 2004 at 01:23 PM..
   
Reply With Quote
Re: gulon ke girne ka gum darkht kab tak jhelengey??kab tak??
Old
  (#2)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: gulon ke girne ka gum darkht kab tak jhelengey??kab tak?? - 28th May 2004, 03:03 PM

swati ji
behad dard samaya hai aapki nazm mein,,,,sari hi gazal dil ko choo gayi magar jin sheron ne dil par chaap chod di hai wo yeh hai.....

hathon ki lakeeron mein doondoon majboor kismat ko
badnaseebi ki janjeeron ka derd paanw kabtak seh lengy?

jindgi jab pahunchi hai umer ke dosrey kinarey per
kashti-e-khawish se bebas lamhat kab tak behlengey?

sehra ke bawander mein jab boondey nazar aye chahat ki
muddaton se khushk lab pyase kab tak reh lengey?

hamari dil se nikli daad kubool kijiye....sada yunhi likhte rahiye....apna kahayl rakhiye.....
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#3)
mahen
unlucky..not shayar
mahen is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 42
Join Date: Mar 2004
Location: Mumbai
Rep Power: 0
28th May 2004, 10:17 PM

Hello Sona... once again u written sooo nice ....that touces heart.
i appriciate ur passion for art of showing feelings..

kisi ne ye bhi kaha hai...ki..

Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain !!

sooo ..always be happy n smile...
  Send a message via Yahoo to mahen  
Reply With Quote
hello
Old
  (#4)
san04
ansoon aur muskan....
san04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nice
 
san04's Avatar
 
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
hello - 28th May 2004, 11:08 PM

hello manoj ji
apki derd per ki gayi wah bahut acchi lagi,,,
per hum kitne aise khushnaseeb hain,,jo in derd se mukti paa leyin?shayad hi sab yahan derd ke sataye hue hain...
aapka bahut hi shukriya
swati
   
Reply With Quote
hello
Old
  (#5)
san04
ansoon aur muskan....
san04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nice
 
san04's Avatar
 
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
hello - 28th May 2004, 11:12 PM

dear mahen!
ur reply is appropriate to my derd....
bahut hi khoobsoorti se apni baat kehne ki kala hai tummey..
shayd tumhara kehna sahi hai,,ki jo sagar mein se moti chunle aur paar jane ka irada rakehtey ho,,,jee letey hain...
aaj ek gazal ki line yaad aa rahihai...

chalk jigar ke see leteyhain..
jaise bhi ho jee letey hain..
hum to hain un phoolon jaise
jo ashkon mein jee leteyhain
thx
sona

Last edited by san04; 28th May 2004 at 11:17 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
31st May 2004, 11:19 AM

murda hue jismon ko dafnane ki riwaz hai magar
jinda sanson mein merne ka ehsaas kab tak phailengey?

Sonaa Jii...

Bahut khub deard ka ehsaas karaayaa hai aap ne.Daad qabul farmaaiye..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
hello
Old
  (#7)
san04
ansoon aur muskan....
san04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nice
 
san04's Avatar
 
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
hello - 2nd June 2004, 05:13 PM

hello mayank ji
aapki is daad ke liye bahut shukriya..apne mere derd ko samjh aaur saraha,,
swati
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
6th June 2004, 06:38 AM

Swati jee...

murda hue jismon ko dafnane ka riwaz hai magar
jinda sanson mein merne ka ehsaas kab tak jhelengey?

Bahut khuub bayan kiya hai..."zinda sanson mein marne ka ehsaas" yeh sher tau dil ko duur tak chuu gaya...wakai bahut kamaal ka likha hai...dard tau jhalakta hai...yeh dard na hota tau shayad achi shayri bhi na kalam se behti...hai na...chalo kuch tau dard ne kiya...

hamesha khush rahiye...paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
7th June 2004, 06:15 PM

murda hue jismon ko dafnane ka riwaz hai magar
jinda sanson mein merne ka ehsaas kab tak jhelengey?

her raat ke baat sehar ka aagaz to sabne dekha "sona"
peshaani ko andheri raazon ka paigam kab tak de lengey?

Dear San Jee, keya kahoun...yeh dard tou baas mehsoos hi karsakti houn. Mere tasveer mein rang aur kisi ka tou nahin, gherle mujhko sab aankhen main tamasha tou nahin...ek gazal thi. Aapni aankhon ki samandar mein utar jaane de*Tera mujrim houn mujhe doobke maar jaane de, aapni aankhon ki samandar mein utar jaane de*aag Duniya ki lagai houi bujh jaayegi Koi aansoon mere daman pe bikhar jaane de*aapni aankhon ki samandar mein utar jaane de*Zakhm kitne teri chahat se mile hai mujhko*sochta houn ke kahoun tujhse magar jaane de.......yeh bhi ek gazal hai lekin youn hi likhdi hai. Aur yeh gazal: Chaand ke sath kai dard purane nikle*kitne gham thein jo tere gham ke bahane nikle*Chaand ke sath.......Dilse nikli houi Daad kubool kijiyega. Main isse jiyada aur keya likhsakti thi! Puri gazal mein aap *beinteha dard ki bayan kardi hai, youn laga jeise mujhe pehle se hi isski ehsaas hogaayi thi lekin(pata nahin kyun aisa laga)aur yeh bhi ke jeise koi aapna yeh sab kuch suna gaaya ho.......Khush rahiye yeh Duwaon ke sath ijaazat chahungi. Take care. God bless you.

Keep smilling.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
girne lage soch ke aanso toh naresh_mehra110 Hindi Kavitayen 9 4th May 2011 06:02 AM
Girne lage soch ke aanso toh naresh_mehra110 Shayri-e-Ishq 1 28th May 2009 09:27 PM
Girne Walo Par Na Hasna GOPALKDAS Ghazal Section 0 30th June 2008 05:44 PM
GuloN KI Mehfil rashid_chaman Aapki Shayri 0 8th November 2002 01:07 PM
GuloN Ki Mehfil rashid_chaman Shayri-e-Ishq 2 9th August 2002 06:18 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com