Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Jigar Moradabadi ke chand ash'aar
Old
  (#1)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
Jigar Moradabadi ke chand ash'aar - 8th January 2006, 02:43 PM

ab unka kya bharosa woh aayeN ya na aayeN
aa ae gham-e-mohabbat tujh ko gale lagayeN
baitha huN mast-o-bekhud, khaamosh haiN fizaeN
kaanoN meiN aa rahi haiN bhooli hui sadaeN
ash'aar ban ke nikleN jo seena-e-jigar se
sab husn-e-yaar ki theeN, besaakhta adaeN
besaakhta=unrestrained
----------------------------------
hazaar dil ko mita kar, diya mujhe ik dard
us ek dard ko phir dil bana diya tu ne
----------------------

dil ko sukoon, rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ke dost ka paighaam aa gaya

jab koi zikr-e-gardish-e-ayyaam aa gaya
be ikhtiyaar lab pe tera naam aa gaya

deewangi ho, aql ho, umeed ho ke yaas
apna wahi hai waqt pe jo kaam aa gaya

---------------------
yahaaN tak jazb karluN kaash tere husn-e-kaamil ko
tujhi ko sab pukaar utheN guzar jauN jidhar ho kar
jazb=absorb, husn-e-kaamil= perfect beauty

--------------------

sunane chale haiN unheN qissa-e-gham
bahut dil ke haathoN se majboor ho kar
tajaahul, taghaaful, tabassum, takallum
yahaN tak to pahunche woh majboor ho kar
tajaahul=ignorance, takallum=conversation
-------------
kabhi un madbhari aankhoN se, piya tha ik jaam
aaj tak hosh nahiN, hosh nahiN hosh nahiN
ab to taseer-e-gham-e-ishq yahaaN tak pahunchi
ke idhar hosh agar hai, to udhar hosh nahiN
taseer=power, effect
---------------


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Aadab :)
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Aadab :) - 15th January 2006, 03:40 AM

Dear Daanish Jee, Hope You Are Well Aapko yahaan par parhna hi shayaad miss kar gayi thi...! Dil Ko Bohot Achchha Laga.......**Kuchh ashar Jigar Moradabadi Jee Ki Aapse Share Kar Rahi Houn...:


Rag Rag Mein Iss Tarah Wo Samaa Kar Chale Gaye,
Jaise Mujh Hii Ko Mujhse Chouraa Kar Chale Gaye

Aaye Thhe Dil Ki Pyaas Bujhaane Ke Waaste,
Ik Aag Sii Wo Aur Lagaa Kar Chale Gaye...!

~~~*~~~

Na Garaz Kisii Se Na Wastaa_Mujhe Kaam Aapne Hii Kaam Se,
Tere Zikr Se_Terii Fikr Se_Terii Yaad Se_Tere Naam Se.......**

~~~*~~~

Main Aapnii Aah Ke Sadqe Ki Meri Aah Mein Bhii,
Terii Nigaah Ke Andaaz Paaye Jaate Hain...!

Ye Aapnii Tark-e-Muhabbat Bhii Keyaa Muhabbat Hain,
Jinhein Bhulaate Hain Wo Yaad Aaye Jaate Hain...**

~~~*~~~

Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher Dher Dher Saare Phoul_Shukriya Quboul Kijiyega **Aapko Parhkar Dil Ko Achchha Lagta Hain...Likhte Rahiyega**Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**Take Care**...**God bless You.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
kuchh is adaa se aaj vo pahloo-nashiiN rahe...Jigar Moradabadi muKhlis Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 8th May 2008 07:44 PM
ash'aar maikasH Shayri-e-Dard 3 7th May 2007 01:08 PM
do ash'aar.... maikasH Shayri-e-Dard 17 17th January 2007 06:21 AM
ek Ghazal aur kuch tanha ash'aar..... maikasH Shayri-e-Dard 23 18th October 2006 11:23 AM
dard ba.Dakar fugaa.N na ho jaaye - by Jigar Moradabadi Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 14th May 2003 08:54 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com