Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 12 votes, 5.00 average. Display Modes
Asrar-ul-Haq "Majaz".....aik azeem shaayir.....aik pursoz dastaaN...!!
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
Asrar-ul-Haq "Majaz".....aik azeem shaayir.....aik pursoz dastaaN...!! - 6th May 2005, 09:57 PM

aadaab dosto

aaj aapko aik aise shaayir ka qalaam aur uski dastaan sunaane ko jee chaha jise jab bhi yaad karta huuN to dil zaar-zaar ho jaata hai......

janaab asrar-ul-haq "majaz".......

jinheN koi sharaabi kehta to koi genius

inka janam 1909 meiN awadh ke aik kasbe "radauli" meiN hua.

taa'liim ki shuruvaat lukhnow ke ameenabaad high school se hui.....bachpan meiN khelne-kuudne ki bajaye majaz khoobsuurati ke qaayil rahe.....kisi suNdar khaa'tuun ko dekh lete to uske saath GhaNToN baateN karte rehte........

school ke baad aagra ke saint johns college meiN daaKhilaa liya......jahaaN unki mulaqaat muin ehsan "jazbi" aur "fani badayuni" jaise shayiroN se hui aur yahiiN se unke shayraana safar ka aaghaz hua. fani badayuni ko majaaz ne ustaad tasleem kiya.

aligarh university se B.A ki degree haasil ki......

yeh voh daur tha jab saara aligarh girls college majaz ka deewana tha.....laRkiiyaN majaz ke qalaam taqiyoN ke neeche chhupa kar rakhti thiiN.....uske she'r gungunaati thiiN.....kahaaN rehta hai ? kya karta hai ? kisi se mohabbat to nai karta ? yeh sawaal kiya karti thiiN......


phir 1936 meiN radio magazine "aawaaz" ke editor ki haisiiyat se majaaz ka "dilli" (delhi) aana hua.......

aur inko aik aisi ladki se mohabbat ho gayi jiski shaadi ho chuki thi.....bohat khoobsuurat aur aik ameer gharaane se ta'lluqaat rakhne waali is laRki ke saath majaz ki mohabbat ziyada der na chal saki.....sirf aik saal ke baad hi majaz ne naukri choR kar lukhnow waapis jaana ka iraada kiya......lekin ishq meiN khataa khaaye majaaz dard ki shiddat se kis tarah tadap rahe the iska andaaza aap unki iss nazm se lagaa sakte haiN jo unhone delhi choRne se pehle likhi :-


rukhsat ai dilli teri mehfil se ab jaata huuN maiN
nauhagar* jaata huuN maiN , naala-b-lab* jaata huuN maiN

nauhagar = vilaap karte hue, rote hue
naala-b-lab = hoThoN par aah liye

tera dil dhaDkaa chuke haiN mere ehsaasaat bhi
tere aivaanoN* meiN goonje haiN mere naGhmaat bhi

aivaan = mahal

jannateN aabaad haiN tere dar-o-deewar meiN
aur tu aabaad hai shaayir ke qalb-e-zaar meiN*

qalb-e-zaar = TuuTaa hua dil

yaad aayegi mujhe be-tarah yaad aayegi tu
ae'n waqt-e-maikashi aaNkhoN meiN phir jaayegi tu

kya kahuN kis shauq se aaya tha teri bazm meiN
choR kar khuld-e-aligarh* ki hazaaroN mehfileN

khuld-e-aligarh = aligarh ki jannat

kitne raNgiiN ahd-o-paimaaN toD kar aaya tha maiN
dil nawaazaan-e-chaman ko choR kar aaya tha maiN

ik nasheman maine choRa ik nasheman chuT gaya
saaz bas cheDa hi tha maine ki gulshan chuT gaya

dil meiN soz-e-Gham ki ik duniya liye jaata huuN maiN
aah , tere maikade se be-piye jaata huuN maiN

jaate-jaate lekin ik paimaaN kiye jaata huuN maiN
apne azm-e-sarfaroshi* ki kasam khaata huuN maiN

azm-e-sarfaroshi = jaan par khel jaane ka iraada

phir teri bazm-e-hasiiN meiN lauT kar aauNga maiN
aauNga maiN aur ba-aNdaaz-e-digar* aauNga maiN


ba-aNdaaz-e-digar = aik alag andaaz ke saath

aah, voh chakkar diye haiN gardish-e-ayyaam ne
khol kar rakh di haiN aaNkheN talKhi-e-aalaam* ne

talKhi-e-aalaam = dukhoN ki kaDvaahat

fitrat-e-dil dushman-e-naGhma hui jaati hai ab
ziNdagi ik barq* ik shol'aa hui jaati hai ab

barq = bijli

sar se paa taq aik khooni raag ban kar aauNga
laalaazaar-e-raNg-o-buu meiN aag ban kar aauNga

dilli se jab lukhnow waapis aaye to betahaasha sharaab peena shuru kar diya........peene ki latt aisi lagi ke nervous breakdown ho gaya.....paagalpan ke daure paDne lage......aur majaz paagalpan meiN kehte rahte "falaaN ladki mujhse shaadi karna chahti hai lekin raqeeb usey zahar dena chahte haiN"

kuch der ye silsila chala aur jab ilaaj se zahan ka tavvajun barqaraar hua to ghar waaloN se socha ke shaadi kar di jaaye.....lekin aik baar paagal ho chuke majaz ke saath apni laRki ki shaadi karna kisi ko gawara na hua......vohi log jo majaz ke dewaane the ab katraane lage.....

ab majaz ne saNbhalne ka iraada kiya.....kuch dinoN taq "bombay information" meN kaam kiya......wahaan se lauT kar lukhnow university meiN L.L.B meiN daakhila le liya......"sardar jafri" saahab ke saath mil kar "naya adab" naam ki aik magazine bhi nikaali.......aur phir harding library,delhi meiN assistant librarian ki naukrii karne lage......

inhiiN dinoN ghar waalon ne aik rishta talaash kiya.....majaaz ne bhi yeh soch kar haami bhar di ke shaayad ziNdagi meiN sukuun aur khushi ka mahaul bane.......lekin jab apne hone waale sasur se mile to unko 150 rupaye mahina kamaane waale majaaz ki haisiiyat bohat choTi lagi aur rishte se inkaar kar diya......

mohabbat meiN khata khaaye majaz ko is baar unki gariibi ne is qadar kuchlaa ke 1954 meiN duusri baar paagalpan ka daura paDa......is baar dimaag par itna gehra asar hua ke apni mahaanta ke raag alaapne lage......shayaroN ke naamoN ki list banaate aut "Ghalib" aur "iqbaal" ke baad apna naam likh dete......doctors se jee-jaan se koshish ki , ghar waaloN ne koi kasar baaqi na rakkhi.....aur is baar bhi dimaagi bimaari se to nijaat mil gayi lekin zindagi meiN koi badlaav na aaya.......sharaab-noshii badhti gayi........

1948 meN aik raat janaab prakash paNdit ( the credit for this story goes to him) aur "saahir ludhianvi" saahab delhi ke "naya mohhala", "pul baNgash" ke makaan meiN meN apna samaan rakh rahe the to prakash saahab ke saamne aik shakhs laDkhaDaata huaa , hawaa meiN uNgliiyoN se kuch likhne ki koshish karta hua , aa khaDa hua aur chill'aa-chill'aa kar kehna laga : "Akhtar sheerani mar gaya, haye akhtar tu urdu ka bohat bada shaayar tha - bohat bada" .....

......itne meiN "josh malihabadi" saahab aa gaye aur kehne lage "isey saNbhaalo prakash , ye majaz hai"

majaz prakash saahab ke ghar kuch arsa rahe.....lekin aksar gaayab ho jaaya karte......phaTe-puraane kapde pehne , bina khaaye-peeye kayi dionoN taq galiiyoN ki khaak chhan'te rehte ke sharaab kahiiN se mil jaaye......aur log majaz ko sharaab pilaate aur apne manoranjan ke liye unki shayri sunte.....jab uktaa jaate to sab apne-apne ghar chale jaate aur majaz vahiiN pade rehte........

aap meiN se kayi dostoN ne jagjit singh ki album "kahkashan" se yeh nazm "ai gham-e-dil kya karun" zaruur suni hogi jiska unvaan hai "aawaara" ......yeh nazm majaz ki hi hai aur mere khayaal se jagjit singh saahab ne majaz ke saath insaaf nai kiya jo nazm "aadhi" hi gaayi......

puuri nazm yuuN hai ......... :-

...............................................Aaw aara.......................................


shahar kii raat aur mai.n naashaad-o-naakaaraa* phiruuN
jag_magaatii jaagatii saDakoN pe aavaaraa phiruuN
Gair kii bastii hai kab tak dar badar maraa phiruuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN


***naashaad-o-naakaaraa = udaas aur be-kaar****



jhil_milate qum_qumoN kii* raah meN zanjiir sii
raat ke haathoN meN din kii mohanii tasviir sii
mere siine par magar chalatii hu_ii shamashiir sii

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

*****jhil_milate qum_qumoN kii = bijli ki raushniiyoN ki******



ye rupahalii* chhaaoN ye aakaash par taaroN kaa jaal
jaise suufii kaa tasavvur jaise aashiq kaa Khayaal
aah lekin kaun jaane kaun samajhe jii kaa haal

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN


******rupahalii = chaaNdi ke raNg jaisi********



phir vo TuuTaa ik sitaaraa phir vo chhuuTii phul_jhaDii
jaane kis kii god meN aaye ye motii kii laDii
huuk sii siine meN uThii choT sii dil par paDii

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN




raat haNs haNs kar ye kahatii hai ke maiKhaane meN chal
phir kisii shah_naaz-e-laalaaruKh* ke kaashaane* meN chal
ye nahiiN mumkin to phir ai dost viiraane meN chal

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN


*******shah_naaz-e-laalaaruKh = phuuloN se chehre waali ladki , kaashaana = makaan*********




har taraf bikharii hu_ii rangiiniyaaN raanaa_iiyaaN
har qadam par isharateN letii huii angaDaiiyaa.N
ba.Dh rahii hai god phailaaye hue rusavaa_iiyaaN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN




raaste meN ruk ke dam le luuN merii aadat nahiiN
lauT kar vaapas chalaa jaa_uuN merii fitarat nahiiN
aur ko_ii ham_navaa mil jaaye ye qismat nahiiN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN




muntazir hai ek tuufaan-e-balaa* mere liye
ab bhii jaane kitane daravaaze haiN vaa* mere liye
par musibat hai meraa ahad-e-vafaa* mere liye

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN



******tuufaan-e-balaa = musiibatoN ka tuufaan , vaa = khule hue , ahad-e-vafaa = vafaa karne ke vaada




jii meN aataa hai ki ab ahad-e-vafaa bhii toD duuN
un ko paa sakataa huuN maiN ye aasaraa bhii chhoD duuN
haaN munaasib hai ye zanjiir-e-havaa bhi toD duuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN




ik mahal kii aaD se nikalaa vo piilaa maah_taab*
jaise mullaah kaa amaamaa* jaise baniye kii kitaab
jaise muflis* kii javaanii jaise bevaa kaa shabaab

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN


******maah_taab = chaand , amaamaa = pagRii , muflis = gareeb********



dil me ek sholaa bhaDak uThaa hai aaKhir kyaa karuuN
meraa paimaanaa chhalak uThaa hai aaKhir kyaa karuuN
zaKhm siine kaa mahak uThaa hai aaKhir kyaa karuuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN




jii meN aataa hai ye murdaa chaaNd-taare noch luuN
is kinaare noch luuN aur us kinaare noch luuN
ek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN




muflisii aur ye mazaahir* haiN nazar ke saamane
saikaDoN sultaan-e-jaabar* haiN nazar ke saamane
saikaDoN changez-o-naadir haiN nazar ke saamane

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN


******mazaahir = nazaare , sultaan-e-jaabar = zulm karne vaale baadshaah******




le ke ik changez ke haathoN se Khanjar toD duuN
taaj par us ke damakataa hai jo patthar toD duuN
ko_ii toDe yaa na toDe maiN hii baDhakar toD duuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN




baDh ke is indar-sabhaa kaa saaz-o-saamaaN phuuNk duuN
is kaa gulshan phuuNk duuN us kaa shabistaaN* phuuNk duuN
taKht-e-sultaaN kyaa maiN saaraa qasr-e-sultaaN* phuuNk duuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN


******shabistaaN = aaraam karne ka kamra , qasr-e-sultaaN = shaahi mahal**********



.................................................. .................................................. .

ye prakash paNdit saahab ke alfaaz haiN ke unhone dilli ki kai aisi mehfiloN ki yaad hai jahaaN uuNche-uuNche gharaane ki aurateN jamaa hoti thiiN aur majaz ko khoob sharaab pilaayi jaati aur phir unse taabaD-toD ghazleN aur nazmeiN suniiN jaati aur jab majaz ki saaNs jawaab dene lagti aur unke mezbaan ko lagne lagta ke ab yeh kuch na suka sakega to unheN "driver" ke hawaale kar diya jaata aur driver unheiN kisi sunsaan gali ya maidaan ya kisi railway station ke bench par choR aata.........

lekin khud majaz ko ab apni koi parvaah nahiin thi.....unhin ka aik sher hai :-

meri barbaadiioN ke ham-nasheeno
tumheN kya , khud mujhe bhi Gham nahin hai

us raat bhi kuch logoN ne aisi hi mehfil jamai aur majaz ko khoob sharaab pilaayi gayi.......aur jab boriyat hone lagi to sab uth kar apne-apne ghar chal diye........lekin mere mehbuub shaayir ko vahiiN khuli chhat par choR gaye..... december ki us barfiili raat meiN saari raat maikhaane ki chhat par pade rehne ki wajah se majaz ke dimaag ki nas fatt gayi aur 6 december 1955 ko balrampur hospital lukhnow meiN voh is faani duniye se kinaara kar gaye.....

unki aik Ghazal hai :-

meri masti meN ab hosh hi ka taur hai saaqi
tere saaghar meN ye sehba nahiiN kuch aur hai saaqi

bhaDakti jaa rahi hai dam-ba-dam ik aag si dil meN
ye kaise jaam haiN saaqi ye kaisa daur hai saaqi

vo shay de jis se neeNd aa jaaye aql-e-fitna-parvar ko
ke dil aazurdah-e-tam'iiz-e-lutf-o-zaur hai saaqi

jawaani aur yuuN ghir jaaye tuufaan-e-hawadis meN
khuda rakkhe abhi to bekhudi ka daur hai saaqi

chhalakti hai jo tere jaam se uss ma'i ka kya kehna
tere shaadaab hoNthoN ki magar kuch aur hai saaqi

mujhe peene de, peene de ke tere jaam-e-la'lee meN
abhi kuch aur hai , kuch aur hai , kuch aur hai saaqi



majaz ne itna ziyada nahin likha jitna meer , ghalib aur faraz ne likha hai lekin unke sukhan meiN jo dard aur jo kashish hai kam-az-kam mujhe kahiiN aur dikhaayi nai deti

ba-har-haal

aap sab dostoN se meri guzaarish hai ke majaz ka koi qalaam kisi se post karna ho to isi thread meN kijiye......

maiN chahta huuN ke aise kayi thread aur shayiroN ke bhi shuru kiye jaayeN........

lekin yeh is baat par munhasir hai ke aur ehbaab kitna contribute karte haiN......

ijaazat dijiye
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 12th May 2005 at 11:25 PM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Touching Story....
Old
  (#2)
JaAn JaAn
Registered User
JaAn JaAn is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Feb 2005
Location: US
Rep Power: 0
Thumbs up Touching Story.... - 7th May 2005, 04:07 AM

Hey Maikash,
It's really nice of you to start a thread like this for "Majaz Ji" - it's great that you posted his bio here, I just read the whole thread and it's really touching.....I mean he went thru a lot in his life.
I am posting a nazam by him.....Take care......Bye!
Best Regards,
~Muskaan

Khud dil mein reh ke aankh se parda kare koi
haan lutf jab hai paake bhi dhundha kare koi

tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya
kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi

duniya laraz gayi dil-e-hiramaan-nasib ki
is tarah saaz-e-aish na cheda kare koi

[hiramaan-nasib=nasib ke maare hue]

mujhko ye aarzu vo uthaayein naqaab khud
un ko ye intezaar taqaza kare koi

rangiinii-e-naqaab mein gum ho gayi nazar
kya be-hijabiyon ka taqaza kare koi

ya to kisi ko jurrat-e-didaar hi na ho
ya phir meri nigah se dekha kare koi

hoti hai is mein husn ki tauhin ai 'Majaz'
itna na ahal-e-ishq ko rusva kare koi


"köï ïñ§ääñ kï§ï ïñ§ääñ kö kÿä däïtä häï... ïñ§ääñ tü wä§ëëlä ßäñtä häï... khüdä däïtä häï... wö jähäññüm ßhï jö däÿ müjhkö tü §hïkwä ñä kä®ööñ... köï äpñä §ämüjh kä® hï tü §äzä däïtä häï..."
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
ANKIT[DOST]
Registered User
ANKIT[DOST] will become famous soon enough
 
ANKIT[DOST]'s Avatar
 
Offline
Posts: 199
Join Date: Jan 2004
Location: East Delhi
Rep Power: 21
hi - 8th May 2005, 01:23 PM

maikash ji

Really its nice and touching

sahi main inki ki shayri main ik gehrayi hai

aur badi hi khoobsurti sai apne ehsaso ko

bayaan kiya gaya

really its too good






Ankit Malhotra





Kisi ke Ansoon ko jameen pe girne se pehle

Apne daman mai kaid kar lu ye insaniyat ki Mirajh hai
 Send a message via ICQ to ANKIT[DOST] Send a message via Yahoo to ANKIT[DOST] Send a message via AIM to ANKIT[DOST]  
Reply With Quote
Old
  (#4)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
12th May 2005, 06:43 PM

muskaan saheba

badi dilshikan ghazal chaspaaN ki hai aapne bohat shukria


isi silsile ko aage badhaate hue aik aur Ghazal haazir hai


mujhe ye Ghazal khaas taur se behadd pasaNd hai , maine khud jitni ghazlen is wazan meiN kahii haiN isi ghazal ko zahan meN rakh kar kahiiN hai so isliye ye tehreer mere dil ke bohat qareeb hai ....mualizaa kijiye


maiN aaheN bhar nahiiN sakta ke naGhmeN gaa nahiiN sakti
sukuuN lekin mere dil ko muyassar aa nahiiN sakta

koi naGhme to kya ab mujh se mera saaz bhi le lo
jo gaana chahta huuN , aah , vo maiN gaa nahiiN sakta

mataa-e-soz-o-saaz-e-ziNdagii , paimaana-o-barbat
maiN khud ko in khilonoN se bhi ab behlaa nahiiN sakta

voh baadal sar pe chhaye haiN ke sar se haT nahiiN sakte
milaa hai dard voh dil ko ke dil se jaa nahiiN sakta

hawaskaari hai jurm-e-khudkushii meri shar'iiyat meN
ye hadd-e-aakhiri hai maiN yahaaN taq jaa nahiiN sakta

na tuufaaN rok sakte haiN na aaNdhii rok sakti hai
magar phir bhi maiN us kasr-e-hasiiN taq jaa nahiiN sakta

voh mujhko chaahti hai aur mujh taq aa nahiiN sakti
maiN usko poojtaa huuN aur usko paa nahiiN sakta

ye majboori si majboori ye laachaari si laachaari
kie uske geet bhi jee khol kar maiN gaa nahiiN sakta

zabaaN par bekhudi meiN naam uska aa hi jaata hai
agar puuche koi "ye kaun hai ?" , batlaa nahiiN sakta

kahaaN taq qissa-e-aalaam-e-furqat, mukhtsar ye hai
yahaaN vo aa nahiiN sakti, vahaaN maiN jaa nahiiN sakta

hadd'eN voh kheNch rakhi haiN haram ke paasbaanoN ne
ki bin mujrim bane pai'gaam bhi pahuNchaa nahiiN sakta


aadaab
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#5)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
12th May 2005, 09:03 PM

shukriya maikash sahab...

majaz sahab ki kahani ko hum sab ke roobroo lane ke liye .. isse pehle kabhi itne details maiN unke bare maiN nahi padha .. sach dil chu liya unki jindgi ke halatoN ne .. shayad nigah maiN ek tasveer si ban gayi hai poore wakye ... ki .. teh dil se shukra gujar huN aapka ... unhi ki likhi ek choti si ghazal yahaN pesh kar raha huN .. umeed hai aapko pasand aayegi .. gazal wahi hai aapne jiska ek sher likha tha .. MUJHE KHUD GHAM NAHI HAI ... ek bar phir se shukriya ek azeem funkaar ki kalam ki ravangi ko hawa dene ke liye ...

aapka apna

kunal


----------------------------------------------------------------

junoon-e-shauk abhi bhi kam nahi hai …
magar wo aaj bhi be-reham nahi hai ….

Bohat mushkil hai duniya ka savarna..
Teri julfoN ka pech-o-kham nahi hai…

Bohat kuch aur bhi haiu is duniya mai..
Ye duniya mehaj gham hi gham nahi hai..

Meri barbadiyon ke hum nasheenoN …
Tumhe kya, mujhe khud gham nahi hai …

Abhi bazm-e-tarab se kya uthuN main…
Teri aaNkh bhi abhi punam nahi hai…


-by asrar-ul-haq
--------------------------------------------------------


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#6)
friendnidhi
Registered User
friendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to behold
 
friendnidhi's Avatar
 
Offline
Posts: 962
Join Date: Jul 2004
Location: Delhi
Rep Power: 28
12th May 2005, 10:09 PM

Maikash Ji,
shukriya is kahani ko yahan par post karne ke liye..... vaise itni heave urdu padhna thoda sa mushkil that par apne bahut assan kar diya..To aap ke kahe anusar Mazaz sahib ki gazal yahin par post karti hun:-

Mazaza sahib ka real name Asrar-ul-haq tha.. yeh add karna chahungi

Meaning aap hi bataiyega urdu bahut hi bhari hai.

taskiin-e-dil-e-mahazuu na huii vo sa_ii-e-qaram faramaa bhii gaye
us sa_ii-e-qaram kaa kyaa kahiye bahalaa bhii gaye ta.Dapaa bhii gaye

ek arz-e-vafaa bhii kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yahaa.N ham ne zabaa.N hii khole thii vahaa.N aa.Nkh jhukii sharamaa bhii gaye

aashuftagii-e-vahashat kii qasam hairat kii qasam hasarat kii qasam
ab aap kahe kuchhh yaa na kahe ham raaz-e-tabassum paa bhii gaye

ruudaad-e-Gam-e-ulfat un se ham kyaa kahate kyo.nkar kahate
ek harf na nikalaa hoTho.n se aur aa.Nkh me.n aa.Nsuu aa bhii gaye

arbaab-e-junuu.N pe furkat me.n ab kyaa kahiye kyaa kyaa guzaraa
aaye the savaad-e-ulfat me.n kuchhh kho bhii gaye kuchhh paa bhii gaye

ye rang-e-bahaar-e-aalam hai kyaa fiqr hai tujh ko ai saaqii
mahafil to terii sunii na huii kuchhh uTh bhii gaye kuchhh aa bhii gaye

is mahafil-e-kaif-o-mastii me.n is anjuman-e-irafaanii me.n
sab jaam-ba-kaf baiThe rahe ham pii bhii gaye chhhalakaa bhii gaye


Na Chaho kisi ko itna ~ ~ ki chahat tumhari majboori ban jaye ~ ~ chaho kisi ko itna ki ~ ~ tumhara pyar us ke liye zaroori ban jaye...............


Friend Nidhi - A Silent Tear

"Shedding a Tear When You are Lonely - So Peaceful yet so Painful...."
  Send a message via Yahoo to friendnidhi  
Reply With Quote
Old
  (#7)
friendnidhi
Registered User
friendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to behold
 
friendnidhi's Avatar
 
Offline
Posts: 962
Join Date: Jul 2004
Location: Delhi
Rep Power: 28
12th May 2005, 10:19 PM

ta'arruf


Khuub pahachaan lo asrar huu.N mai.n
jins-e-ulfat kaa talab_gaar huu.N mai.n

ishq hii ishq hai duniyaa merii
fitanaa-e-aql se bezaar huu.N mai.n

chhe.Datii hai jise mizaraab-e-alam
saaz-e-fitarat kaa vahii taar huu.N mai.n

aib jo haafiz-o-Khayyaam me.n thaa
haa.N kuchh is kaa bhii gunah_gaar huu.N mai.n

zindagii kyaa hai gunaah-e-aadam
zindagii hai to gunah_gaar huu.N mai.n

merii baato.n me.n masiihaa_ii hai
log kahate hai.n ki biimaar huu.N mai.n

ek lapakataa huaa sholaa huu.N mai.n
ek chalatii hu_ii talavaar huu.N mai.n


Na Chaho kisi ko itna ~ ~ ki chahat tumhari majboori ban jaye ~ ~ chaho kisi ko itna ki ~ ~ tumhara pyar us ke liye zaroori ban jaye...............


Friend Nidhi - A Silent Tear

"Shedding a Tear When You are Lonely - So Peaceful yet so Painful...."
  Send a message via Yahoo to friendnidhi  
Reply With Quote
Old
  (#8)
friendnidhi
Registered User
friendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to behold
 
friendnidhi's Avatar
 
Offline
Posts: 962
Join Date: Jul 2004
Location: Delhi
Rep Power: 28
12th May 2005, 10:20 PM

siine me.n un ke jalve chhupaaye huye to hai.n


siine me.n un ke jalve chhupaaye huye to hai.n
ham apane dil ko tuur banaaye huye to hai.n

[tuur=the mountain on which Moses had his vision]

taasiir-e-jazb-e-shauq dikhaaye huye to hai.n
ham teraa har hijaab uThaaye huye to hai.n

[taasiir=effect/result; jazbaa=emotion; hijaab=veil]

haa.N vo kyaa huaa vo hausalaa-e-diid ahal-e-dil
dekho na vo naqaab uThaaye huye to hai.n

[hausalaa-e-diid=courage to see/view]

tere gunaaha_aar gunaah_gaar hii sahii
tere karam kii aas lagaaye huye to hai.n

allaah re qaamayaabii-e-aavaaragaan-e-ishq
Khud gum huye to kyaa use paaye huye to hai.n

ye tujh ko iKhtiyaar hai taasiir de na de
dast-e-duaa ham aaj uThaaye huye to hai.n

[iKhtiyaar=control; taasiir=result; dast-e-duaa=hands raised in prayer]

miTate huo.n ko dekh ke kyo.n ro na de.n 'Majaz'
aaKhir kisii ke ham bhii miTaaye huye to hai.n

Regards Nidhi


Na Chaho kisi ko itna ~ ~ ki chahat tumhari majboori ban jaye ~ ~ chaho kisi ko itna ki ~ ~ tumhara pyar us ke liye zaroori ban jaye...............


Friend Nidhi - A Silent Tear

"Shedding a Tear When You are Lonely - So Peaceful yet so Painful...."
  Send a message via Yahoo to friendnidhi  
Reply With Quote
Old
  (#9)
friendnidhi
Registered User
friendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to beholdfriendnidhi is a splendid one to behold
 
friendnidhi's Avatar
 
Offline
Posts: 962
Join Date: Jul 2004
Location: Delhi
Rep Power: 28
12th May 2005, 10:23 PM

Pata nahi tha meri 500th post main itne unche shayar ki kalam se pura kar paungi...sach mein mujhe bahut hi zyada khushi ho rahi hai..meri 500th post itne unche shayar ke naam hai

saaraa aalam gosh bar aavaaz hai


saaraa aalam gosh bar aavaaz hai
aaj kin haatho.n me.n dil kaa saaz hai

haa.N zaraa jurrat dikhaa ai jazb-e-dil
husn ko parde pe apane naaz hai

kam_nashii.n dil kii haqiiqat kyaa kahuu.N
soz me.n Dubaa hu_aa ik saaz hai

aap kii maKhmuur aa.Nkho.n kii qasam
merii maiKhvaarii abhii tak raaz hai

ha.Ns diye vo mere rone par magar
un ke ha.Ns dene me.n bhii ek raaz hai

chhup gaye vo saaz-e-hastii chhe.D kar
ab to bas aavaaz hii aavaaz hai

husn ko naahaq pashemaa.N kar diyaa
ai junuu.N ye bhii ko_ii andaaaz hai

saarii mahafil jis pe jhuum uTThii 'Majaz'
vo to aavaaz-e-shikast-e-saaz hai

Regards Nidhi


Na Chaho kisi ko itna ~ ~ ki chahat tumhari majboori ban jaye ~ ~ chaho kisi ko itna ki ~ ~ tumhara pyar us ke liye zaroori ban jaye...............


Friend Nidhi - A Silent Tear

"Shedding a Tear When You are Lonely - So Peaceful yet so Painful...."
  Send a message via Yahoo to friendnidhi  
Reply With Quote
Old
  (#10)
miss_problem
Registered User
miss_problem is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 0
23rd July 2005, 01:01 PM

hummmmm nice topic


www.ajnabi.greatboard.com
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
miss_problem
Registered User
miss_problem is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 0
23rd July 2005, 01:03 PM

nice gazal


www.ajnabi.greatboard.com
   
Reply With Quote
majaz
Old
  (#12)
seagull
Guest
 
Posts: n/a
Thumbs up majaz - 8th November 2005, 11:30 AM

Maikash ji ka laakh laakh shukriya aur Nidhi ji ka crore crore.
bahut dinon se mazaz sahab ki is ghazal ki talash men tha..
taskiin-e-dil-e-mahazuu na huii vo

sa_ii-e-qaram faramaa bhii gaye
.............................
sab jaam-ba-kaf baiThe hiN rahe, ham pii bhii

gaye chhhalakaa bhii gaye

Kaafi khoja aaj google par majaz type karke kisi tarah aapke forum men pahuncha to wo mil gaya jiski talash thi.
khush-amadeed
member ban hin gaya hoon. masroofiyat apnee jagah, ab aap logon ke saath uthte baithte kuch na kuch seekh hin jaaonga.
Bhagwaan aap sabon ki umar doognee kar de. Maikash ji ka laakh laakh shukriya aur Nidhi ji ka crore crore.
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
balvinder
Registered User
balvinder has a spectacular aura aboutbalvinder has a spectacular aura aboutbalvinder has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 226
Join Date: Jan 2006
Location: indore(mp)india
Rep Power: 21
28th January 2006, 03:06 PM

maikash sahab

main is forum ka aaj hi member bana hoon.
majaz sahab ke bare main aap ne bahut umda
likha hai.inke bare main ek baat main bhi batadoon
ke ye mashahoor shayr jaan nisar akhtar ke sale
aur aaj ke mashahoor gulukar javed akhtar ke
mamu the.baqi aap ne bahut achha likha.
bhagvan aap ko umr daraj kare.





mane to dost

balvinder


mazahab ko_ii lauTaale aur uskii jagah de-de
taHzeeb saleeke kee, insaan qareene ke
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
shariqtears
Registered User
shariqtears is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 1
Join Date: Jan 2010
Rep Power: 0
25th January 2010, 01:26 AM

Hello to all,

Is thread ko padkar bahut khushi hui. Mujhe majz sahab ke bare men itna pata chala. Mein hameha se unka fan raha hun aur shayad galib aur allama iqbal ke bad majaz sahab ko manta hun. Yahan tak meri deewangi thi ki mein aligarh mein jab padta tha to to woh jis hostel ke room mein they wahan tak gaya aur waqt bitaya karta tha. Kash mein unke zamane mein hota to mein apne aap ko bahut khush naseeb samajhta. Asfsos yeh hota hai ki unke jaisa shayar koi aaj nahin aur Urdu ke chahnewale bahut kam ho gaye hain. Ek le de kar jawed akhtar sahab unke khanadan se hain lekin woh bhi aisi shayeri nahi karte.

Shariq
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
18th February 2010, 03:30 AM

Maham ke pasandeeda shyer! inke lehje ki kaat eik ajub hee andaz e bayaan dilko hamesha hee chu jata hai

eik tehreer jo inki buahat pasand hamae

hazir kar rahe hen

apki behtreen basaraton ki nazr...


husn ko be-hijaab honaa thaa
shauq ko kaamayaab honaa thaa

hijr me.n kaif-e-iztaraab na puuchh
Khuun-e-dil bhii sharaab honaa thaa

tere jalvo.n me.n ghir gayaa aaKhir
zarre ko aafataab honaa thaa

kuchh tumhaarii nigaah kaafir thii
kuchh mujhe bhii Kharaab honaa thaa

raat taaro.n kaa TuuTanaa bhii 'Majaz'
baa_is-e-iztaraab honaa thaa
____________


eik aur buahat hee khubsoort ghazal :

izn-e-Khiraam lete huye aasamaa.N se ham
haTakar chale hai.n rahaguzar-e-kaaravaa.N se ham

kyo.nkar huaa hai faash zamaane pe kyaa kahe.n
vo raaz-e-dil jo kah na sake raazadaa.N se ham

ham_dam yahii hai rahaguzar-e-yaar-e-Khush_Khiraam
guzare hai.n laakh baar isii kahakashaa.N se ham

kyaa kyaa huaa hai ham se junuu.N me.n na puuchhiye
ulajhe kabhii zamii.n se kabhii aasamaa.N se ham

Thukaraa diye hai.n aql-o-Khiraad ke sanam_kade
ghabaraa chuke hai.n kashamakash-e-imtehaa.N se ham

baKhshii hai.n ham ko ishq ne vo jurrate.n 'Majaz'
Darate nahii.n siyaasat-e-ahal-e-jahaa.N se ham




ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"राजनीति"../.."Raajneeti"...! Dhaval Shayri-e-Dard 40 12th March 2011 11:16 AM
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
हम "ग़ज़ल" की "धुन" और "हवाओं" की "खुशबू" कí nalinmehra Aapki Shayri 11 23rd May 2009 09:24 AM
"ye dard bhari mehfil me ek aur dastaan jud jayengi" Khwahish Shayri-e-Dard 6 30th October 2006 11:49 PM
" "CHAHTA HU USE MAIN KUCH ISTARHA SE........". ........"mera wajud" Dhaval Shayri-e-Ishq 0 26th August 2006 11:20 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com