Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Naya Saal
Old
  (#1)
noor_noor
Registered User
noor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 545
Join Date: Feb 2009
Rep Power: 25
Naya Saal - 31st December 2009, 05:35 PM

Naye saal ka jaam




Naya saal, mere liy.n khushi manaane ka ek aur moqa
Wajh, shayad mujhay mere guzre huway kal se behtar
Ki umeed
Ho bhi kyu.n na zahir hai is zamee.n par janm lia hai
Haq banta hai mera ki mein wo sab sochu.n aur wo
sab kuch pa sakhu.n jis par mera adhikaar hai, ye meri
Dharti hai, mere log, meri jaaye paidaaish, jise maa
Kehte hain, is poori kaayenaat ki sabse khoobsurat
Sheh, isi ki mitti mai khaila hu.n, mere badan se aisi
Mehek aati hai ki naa chahte huway bhi log mud ke
Daikhte hai.n, meri soch meri udaan, wahan jo, wo jo,
ufaq daikh rhe ho na wahan usko choona hai, tum has
rahe ho is baat ko sun kar shayad tumhe yaqeen nhi hua,
Daikho zara nazar daalo mere in par e hoslo.n par ye lai
Jaayenge wahan mujhko, choona hai, zaroor choona hai,
Haq banta hai mera, haan bas ye zara saaf safaaii karni hai
Warna maalik naraaz ho jaayega aur phir zara si mushkil hogi
Raat bhooko soni padegi, abhi jo bachaha mere liyn is
dhaabe be chaaye laikar aaya tha shayad yahi kaha tha
uski aankho.n ne mujhse,
wo ye keh kar mere pass se chala gaya
usi lamhe aasmaan par thirakti huii roshini ne
Naye saal ka eylaan kar dia, kahan bhatak gaya mein bhi
Aap sabko naya saal Mubarak ho, Fiamaan Allah





aslam


you.n na samjhoge kinare pe khade rehkar tum
behta dariya hu.n mujhy haath se choo kar daikho
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
31st December 2009, 06:34 PM

Aslam Jii,,

Wah sahib.... kia andaaz hai,,

Mujhe aap k qalam ka yeh rukh bhi boht pasand aaya,
Aap ki is tehreer ne shuru se aakhir tak haqeeqat se ru-ba-ru
karaya,,, is mein, main ne qatra bhar bhi jhoot ki milaawat shamil
nahi dekhi....

Aap ka yeh andaaz waqai daad k qabil hai,,,
qabool kijiye ga......

Allah se duaa hai k naya saal hum sab k liye
khushiyaan le kar aaye (Ameen)..

Apna khiyaal rakhiye ga,,

Allah Hafiz


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
1st January 2010, 05:12 PM

Aslam sahab AadaaB!

Aapki yeh kalam kal hi padhi thi but kuch khaas nahi lagi thi, per jab main office se nikal raha tha kal raat 2010 ki party ke liye to office ke get keeper se nazar mili aur aapka kalam nazar ke samne aa gaya, coz use kuch hi der pahele boss ne bahut sunaya tha, wajah itni thi ke do kutte aapas mein ladte hua office compound tak aa gaye the.......

Aur bechare ko dant dilane ka sabab ban gaye ........ Khair jaane dijiye...... Ise kisse se aapki tehreer samjh mein aayi ke sachai aisi bhi hai............

Keep writting,
Khuda Haefz.........


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#4)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
3rd January 2010, 09:32 AM

Aslam Bhaai........Aadaab ! naye saal ka janam hue do roz beet gaye....aapki tehreer par nazar abhi abhi padhi......so padhne baith gaya........pehle pehel toh uljhi si lagi......phir dubara padhi toh sab samajh aata gaya......acha laga padhkar........dil se daad hazir hai......yuhi likhte rahiye.....

apna khayal rakhiyega...
duaaon ke saath....




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com