Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal: "Tere gham der tak..."
Old
  (#1)
Jibran
Registered User
Jibran is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 10
Join Date: Jan 2003
Location: Pakistan
Rep Power: 0
Ghazal: "Tere gham der tak..." - 12th February 2003, 04:03 PM

adaab

aik ghazal pesh karnay ki jusarat kar raha hoon..maloom nahin aap dosto ko kaisi lage..
------------

Tere gham der tak sambhalay haiN
phootnaty hee ko dil ke chalay haiN

zakm-e-dil ho gaye haray phir se
aaj shayed wo aanay walay haiN

tujh se shikway kiye tasaawwur maiN
dil ke armaaN yooN nikalay hain

dosto! keh do qissa haaye junooN
kyooN tumhari zubaN pe talay haiN

teri aaNkhoN ka zikr suntay hee
jaam rindoN ne toR daalay haiN

roo-e-roshan pe ge'soo-e-shab gooN
kia andheray haiN, kia ujalay haiN

dosti ke fareb maiN HAIDER
aastinoN maiN saanp palay haiN
 Send a message via ICQ to Jibran Send a message via Yahoo to Jibran  
Reply With Quote
Re: Ghazal: "Tere gham der tak..."
Old
  (#2)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Re: Ghazal: "Tere gham der tak..." - 13th February 2003, 02:10 AM

Jibran Sahab

Is bazm mein aapko Khushamded kehta hooN.
Ek umda ghzal se is bazm ko nawazne ka shukria. Aur Aap jaise hi shayroN ki is bazm ko ziada zaroorat hai. Chand sher jo khusuusan pasand aaye

tujh se shikway kiye tasaawwur maiN
dil ke armaaN yooN nikalay hain
wah bahut khoob

teri aaNkhoN ka zikr suntay hee
jaam rindoN ne toR daalay haiN
wah wah

dosti ke fareb maiN HAIDER
aastinoN maiN saanp palay haiN
KYA KEHNE

bus yuuN hi likhtey rahiye aur bazm mein aatey rahiye.

duaoN ke saath
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Jibran
Registered User
Jibran is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 10
Join Date: Jan 2003
Location: Pakistan
Rep Power: 0
14th February 2003, 05:40 PM

praveen sexana jee

Adaab

ghazal ko pasand farmanay ka bohat shukriya jee..bohat accha laga aap ke commetns sun ker...

Aap ki dua rahee to isee tarah yahan aa kar apnay dil ki sada sunata rahoonga.

Khusah Rahen
Chalto Hoon

Khaaksaar
Jibran
 Send a message via ICQ to Jibran Send a message via Yahoo to Jibran  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
***chor "DUNIYA" ko tere "DIL" mein bas jaayeinge *** kuhulika Shayri-e-Dard 6 1st December 2005 06:02 PM
"Muskuraate Chehron Mein Bhi Dhero Gham-e-Fasane Hain......." farhana Shayri-e-Dard 12 21st November 2005 10:46 PM
"Shab-e-gham guzar gaye" mastana-e-naaz Shayri-e-Dard 0 31st January 2004 07:36 PM
Ik harf-e-ghazal "Gham Dil kay" sukhdarshan Shayri-e-Dard 0 24th July 2002 06:53 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com