Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
dhalegee shayari mein ....
Old
  (#1)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
dhalegee shayari mein .... - 25th May 2008, 03:01 AM

dosto, aap mein se zyadatar log mujh ko nahin jaantey hongey, is site par barson pahley aaya karta thaa, shaayed mere azeez dost 'maikash' aaj bhii yahan par aatey hongey... khair.. "idhar se guzraa thaa sochaa salaam karta chaloon" ... chand ash'aar aap kee nazr hain ..

-----------------------------------------------------
dhalegi shayari mein gham kee shiddat kaam aayegi
lagega sood is pe, aur ye daulat kaam aayegi

utha kar khaak sar mein daalney mein hogi aasaani
tere koochey mein sajdey kee riwayat kaam aayegi

mere dil ko kisi ke rahney ke qaabil nahin chchodaa
bata ab kis ke ye ujdi imarat kaam aayegi

wafa le ja, dua le ja, mera sab kuchch uthaa le ja
koi to shai tere waqt e zaroorat kaam aayegi..


maafi chahta hoon, poori ghazal yaad nahin .. phir kabhi sahii...

Feroz
ferozgill@shaw.ca



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Old
  (#2)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
25th May 2008, 04:27 AM

ustaad-e-muhtarim feroz saaheb


sat shri akaal


ummiid hai ke parivaar meiN sab khai'riiyat se hoNge, gudiya kaisi hai ? ab to shayad teen saal ki ho gayi hogi


aapko yahaaN dekh kar mera khushi ka thikaana nahiiN hai, "ikhtilafaat" to maiN taqreeban roz hi paDhtaa huuN lekin aapki koi taaza Ghazal paDhe ka'ii saal ho chale.


yeh aapki faraakh'dilee hai jo mujhe aapne aaj bhi apne dostoN meiN shumaar rakha hai vagarnaa mujhse behtar yeh ko'ii nahiiN jaan'ta ke aapka haath mujh na'ehl ke sar par na hota to maiN aaj bhi urdu adab ki baariiqiiyoN se koso'N duur hota

yeh shayri.com ki khush'naseebi hai ke ek muddat baad aap jaise saahib-e-ilm ke qadam yahaaN paDe haiN !

aapke jaane ke baad kuch arsaa to maine ba-hauNslaa urdu adab ki muKhtalif online mehfiloN meiN shirkat ki lekin waqt aur haalaat ne kuch yuuN karvaT li ke le-de kar bas yahi ek mehfil bach'ii hai jahaaN ke gaahe-ba-gaahe aane ka waqt bhi mushkil se milaa, kuch mahine pehle ta'i kiya tha ke do-ek saal ke liye sukhan'fehmii se "retirement" le li jaaye lekin vo bhi mumkin na hua, kehte haiN ke "chor chori se jaaye, hera-pheri se na jaaye"


aapki yeh Ghazal "mere kaam" ki hai , Ghazal paDhte hue mujhe "ikhtilafaat" ke pehle kuch panne'y yaad aa gaye

apne khaadim ki daad qabuul kijiye, mujhe hadd se z'yaada khushii hai ke aap yahaaN tash'reef laaye aur is mehfil ko aapne is khoobsuurat qalaam se nawaaza


maiN agle maah 9 saal baad pehli baar watan lauT raha huuN, waapis aa kar aapko UK aane ki daavat dene ka iraada hai, ummiid hai ke aapse mulaqaat zaroor hogi


choTi ko mera pyaar dijiyega


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 25th May 2008 at 04:30 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#3)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
25th May 2008, 10:23 AM

Quote:
Originally Posted by Feroz View Post
dosto, aap mein se zyadatar log mujh ko nahin jaantey hongey, is site par barson pahley aaya karta thaa, shaayed mere azeez dost 'maikash' aaj bhii yahan par aatey hongey... khair.. "idhar se guzraa thaa sochaa salaam karta chaloon" ... chand ash'aar aap kee nazr hain ..

-----------------------------------------------------
dhalegi shayari mein gham kee shiddat kaam aayegi
lagega sood is pe, aur ye daulat kaam aayegi

utha kar khaak sar mein daalney mein hogi aasaani
tere koochey mein sajdey kee riwayat kaam aayegi

mere dil ko kisi ke rahney ke qaabil nahin chchodaa
bata ab kis ke ye ujdi imarat kaam aayegi

wafa le ja, dua le ja, mera sab kuchch uthaa le ja
koi to shai tere waqt e zaroorat kaam aayegi..


maafi chahta hoon, poori ghazal yaad nahin .. phir kabhi sahii...

Feroz
ferozgill@shaw.ca

Feroz ji..

Bahut hi khoobsoorat ghazal likhi hai aapne.... aage ki lines ka intzaar rahega.

Take Care..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#4)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 22
25th May 2008, 01:07 PM

bahu khoob ehsaas,kya baat hai,
mere dil ko kisi ke rahney ke qaabil nahin chchodaa
bata ab kis ke ye ujdi imarat kaam aayegi
bahut khoob..
ummid karta hoon aap aage bhi yahan se gujarte rahenge.pls likhte rahe..


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
shayari INTERNAT Hindi Kavitayen 0 19th February 2005 06:42 PM
shayari rose2u_special Shayri-e-Ishq 0 17th January 2004 04:56 PM
Shayari Massom Shayri-e-Dard 0 24th April 2003 12:49 PM
Gam-e-shayari amrit_sharad Shayri-e-Dard 0 20th April 2003 10:06 PM
shayari talkingeyes Anjuman-e-Shayri 1 1st September 2002 09:56 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com