na tera Mandir na teri Masjid -
24th June 2010, 11:05 AM
duniya sharaab se nafrat karti hai...par sharaab kabhi kisi se nafrat nahi karti...wo to insaan ke acche/bure bhav hote hain jo ubhar ke aa jate hain........
ek sharabi aur is matlabi duniya me fark dekhiye jara.......
NA TERA MANDIR NA TERI MASJID........
na tera mandir na teri masjid mera maikhana bada hai
sametuN sari khudai ek jaam mein itna mera paimana bada hai
jitni shidDat se kiya karte ho tum roj ibadat uski
maikashi ki is mehfil ka sabab usse bhi ashiqana bada hai
kya khub ladhate ho tum ram ko rahim se
tumhari in harkatoN pe rota ye dewana bada hai
kitna kar liya hasil tumne nafrat ko dho kar
meri nazaroN se dekho dildar ye zamana bada hai
kabhi mile bhi ho tum ram aur rahim se
apni to har mehfil mein unka aana-jana bada hai
gira do ye sare mandir aur ye sari masjidein
dewarein tere mere beech ki acha enhe dahana bada hai
chalo jo sang to aaina dikha duN yaaroN
kahte hain jise moHabbat mushkil nibhana bada hai
(likhne me agar koi galti hui ho to maaf kijiyega...sharab ne jo likhwaya maine likh dala......)
Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !! (NM)
hahahhhah secret sahab.......
naam apka aur kaam apke naam mutabik ham karte hai........
magar is baar apko radeef ne saath nahi diya....bus isliye bahut tedi medi ho gayi.........varna khayaal to acche the
ji jara kaccha hoon shayri mein zidd bhai aasha karta hoon apse sikhne ko milta rahega..............
mere khayaloN ko pasand karne ke liye dil se apka shukriya........
aapka.
Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !! (NM)