Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

 
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 4 votes, 5.00 average. Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Result: Tasweer pe tahreer July 2014
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Result: Tasweer pe tahreer July 2014 - 15th July 2014, 10:14 PM

Doston AzizoN ko shaad ka aadaab....

Aap sab ke bharpoor saath aur sahyog ke liye main aur tamaaam SDC team aap sab ki shukrguzaaar hai... aapne jis josh o khuloos ke saath is baar TPT me hissaa liyaa wo kaabile tareef rahaa... aur aap sab badh chadh kar aaage aaye isme hissa liye bahot fakhr aur khushii ki baat hai ham sab ke liye...

aur aaj jaise ke ye competition khatm ho rahaaa hai aur results jiska aap besabrii se intzaar kar rahe they use bataane ka waqt aa gayaa hai..

To is baar jaisaa ke hamne decide kiyaa thaa is baar do winners choosse kiye gaye hain :

1) Public choice (through polling)

2) Critic choice ( through judges)


to polling thread kaa result saamne aa raha hai doston...


Aur Public choice (polling) ke vijetaa haiN... Hassan Saahab....

aur unki ghazal hai...

Tumhari shohrat ko awaazaa na karenge
Sitam seh leiN ge, tamashaa na karenge

awaaza: report about reputation.

Bhale talkh lafzon ke nishtar barsaao
ZubaaN per uff magar laayaa na karenge

Wo phool sa khilta hai raQeeboN ke darmiyaaN!
Hum door se dekheN ge, paas jayaa na kareNge

Khoo un ki jo thehri hai boht sard mizaaji
Hum wehshat-e-ishq ke lahaq, takazaa na karenge

khoo: habit
lahaq: used to

Khaar hi khaar kyuN na rakh do hamari raah per
Zakhm khud seencheN ge, dikhayaa na karenge

Apne ashkoN ko samjhaa liya hai aaj saahil per!
Badal jo haiN barasne ko, woh ab barsaa na karenge



Hassan saahab aapko team SDC ki taraf se bahot bahot mubaarakbaad......
Ham duaa karte hain ke aapke kalam ka zor yuNhi badhta rahe chadhtaa rahe......


Aap sabhi ummeedwaaron ko ek baar fir se tahe dil se shukriyaa aur mubaarakbaad...

Aapka dost

Shaad....


Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 16th July 2014 at 08:52 AM..
   
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com