Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Jigar Moradabadi ke chand ash'aar
Old
  (#1)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
Jigar Moradabadi ke chand ash'aar - 8th January 2006, 02:43 PM

ab unka kya bharosa woh aayeN ya na aayeN
aa ae gham-e-mohabbat tujh ko gale lagayeN
baitha huN mast-o-bekhud, khaamosh haiN fizaeN
kaanoN meiN aa rahi haiN bhooli hui sadaeN
ash'aar ban ke nikleN jo seena-e-jigar se
sab husn-e-yaar ki theeN, besaakhta adaeN
besaakhta=unrestrained
----------------------------------
hazaar dil ko mita kar, diya mujhe ik dard
us ek dard ko phir dil bana diya tu ne
----------------------

dil ko sukoon, rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ke dost ka paighaam aa gaya

jab koi zikr-e-gardish-e-ayyaam aa gaya
be ikhtiyaar lab pe tera naam aa gaya

deewangi ho, aql ho, umeed ho ke yaas
apna wahi hai waqt pe jo kaam aa gaya

---------------------
yahaaN tak jazb karluN kaash tere husn-e-kaamil ko
tujhi ko sab pukaar utheN guzar jauN jidhar ho kar
jazb=absorb, husn-e-kaamil= perfect beauty

--------------------

sunane chale haiN unheN qissa-e-gham
bahut dil ke haathoN se majboor ho kar
tajaahul, taghaaful, tabassum, takallum
yahaN tak to pahunche woh majboor ho kar
tajaahul=ignorance, takallum=conversation
-------------
kabhi un madbhari aankhoN se, piya tha ik jaam
aaj tak hosh nahiN, hosh nahiN hosh nahiN
ab to taseer-e-gham-e-ishq yahaaN tak pahunchi
ke idhar hosh agar hai, to udhar hosh nahiN
taseer=power, effect
---------------


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
kuchh is adaa se aaj vo pahloo-nashiiN rahe...Jigar Moradabadi muKhlis Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 8th May 2008 07:44 PM
ash'aar maikasH Shayri-e-Dard 3 7th May 2007 01:08 PM
do ash'aar.... maikasH Shayri-e-Dard 17 17th January 2007 06:21 AM
ek Ghazal aur kuch tanha ash'aar..... maikasH Shayri-e-Dard 23 18th October 2006 11:23 AM
dard ba.Dakar fugaa.N na ho jaaye - by Jigar Moradabadi Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 14th May 2003 08:54 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com