 |
|
|
|
|
 |
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale -
7th February 2003, 08:29 PM
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale
maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko
tum be-wafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
haathoN ki lakiiroN ko bajaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale !
nakaam hasratoN ko bhulaane kahaaN jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale
"maikash" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Ek Anjaan Shaks...
Offline
Posts: 497
Join Date: May 2002
Location: London (UK)
Rep Power: 23
|
Adaab kabool kijiye -
7th February 2003, 08:39 PM
salam maikash bahi kia haal hain apke janab apka kalaam parha mashallah bahut acha laga bus apke kalamon se mohabaat si hai humain inshallah jaldi dosra parhne ko milega inshallah kudha hafiz.....................
Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....
______________________
Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
|
welcome back -
7th February 2003, 11:31 PM
hey maikash shahab! first of all welcome back we been missig ya big time and its great to hear something new from u
waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko
tum be-wafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
haathoN ki lakiiroN ko bajaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale !
nakaam hasratoN ko bhulaane kahaaN jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale
"maikash" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
wah! aapke shabdon ne hame ghayalkar diya, behad khoob kaha hai aapne....bahut pasand aya ye kallam bhi "har baar ki tarha!! "hope to see more from u ..
Luv Priya
Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|
|
|
|
|
madhoSH shaKHs
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
|
7th February 2003, 11:42 PM
maikasH saahab,
bahot dinoN ke baad aapki ghazal paDne ke liye mili hai, aur pehle jaise aaj bhi mujhe hilaa ke rakh diya!
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale
maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
>> aapka yeh matla behad pasand aaya!!
waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko
tum be-wafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
>> waah waah! bahot khoob...
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
>> waah! kya baat kahii hai aapne..!
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
>> waah! bilkul sachii baat kahii hai aapne
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
>> waaaaaaaaaaaah! yeh sher, aur aapke jazbaat to bahot khoob lage.. jitni marzi taareef ki jaaye, woh kam hai..!
haathoN ki lakiiroN ko bajaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale
>> waah! maiN taareef karna chahta huuN magar kambhakht shabd nahiiN mil rahe..!
nakaam hasratoN ko bhulaane kahaaN jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale
>> waah.. kya andaaz haiN!
"maikash" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
>> o yaar, aapke maqte ne to jaan le li..! kya khoob lafzoN ka isthimaal kiya hai aapne.. bahot khoob!
janaab, is mehfil ko aapki kamii thi! ab maiN jaanta huuN ki yahaaN rang khoob jamme ga..!!
isi taraH mehfil meiN 'kadam' rakhte rahiye..
dhanyavaad,
aman
"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"
kya karooN? aisa hi hooN maiN..
|
|
|
|
|
ek shoonya
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
|

8th February 2003, 12:33 AM
Maikash sahab,
Bahut dino ke baad aapka sher padne ko mila tow bahut khusi hui, Iss baar bhi aapne kya khoob kaha hai:
"haathoN ki lakiiroN ko bazaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale ! "
Dhanyavaad
विपिन
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 22
|
wah wah -
8th February 2003, 01:13 AM
maikash ji,
kya khoob likha hai.mai to padti hi rah gayi.aap ki agli gazal ka intezaar rahega.
"maikash" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
wah wah wah....
Zeba
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
9th February 2003, 03:10 PM
salaman sb
aadaab
bhai Ghazal pasaNd farmaane aur daad dene par khaadim ka shukria qabuul kareiN.....aik muddat hui aapse kalaam kiye hue......ummiid hai ke mizaaj-e-giraami ba-khai'r hoNge......phir mulaqaat hogi
ijaazat deN
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
9th February 2003, 03:20 PM
priya jee
namaste
aji aap to mujhe yuN hi hawaa meiN rakhti haiN.....maine to aik saadaa si Ghazal kahi hai ye aapki zahni soch aur jazbaat haiN jo aapko is qadar bhaa gayi.....hamesha ki tarah izzat-afzaa'i karne ke liye khaaksaar ka shukriya tasleem kareiN.....maiN koshish karuNga ke chaNd dinoN meiN aik taaza Ghazal mehfil ki nazr karuN lekin vaada nahiiN karta kyoNke aik Ghazal muqammal karne ke liye kin-kin haalaat se guzarna padta hai ye to shayiir hi jaan'ta hai......jaise ki khumaar baarabankvi saahab ne farmaaya hai ke :-
sa'u baar ye dil dard ki bhaTTi meiN jaley hai
tab aik Ghazal husn ke saaNche meiN dhale hai
sach baat hai ....!!
ba-har-haal paziraa'ii ka ek baar phir se shukria
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 176
Join Date: Oct 2001
Location: Canada,Vancouver
Rep Power: 24
|
none -
10th February 2003, 06:55 AM
Hey Maikash
Very well done. Its the truth love is a hard game to play. The bottom line seems to be, Kismat mein hotha hai tho miltha hai. Nahin tho humare jaise bahoth hai is duniya mein jo dard ko seene mein lekhar chalthe hai....
Keep up the good work.
Chota Sa dil
"Work like you dont need money,
Love like you have never been hurt,
and
Dance like no one is watching."
"Janee kya likha hai us Rub ne apne kismat par, roz hathon ko dekh kar unee parne ke koshish karthe hai"
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
|
10th February 2003, 10:29 AM
Maikash ji Aadaad,
Aapki ye Ghazal Pari Aur parta Hi reh Gaya...Kya Khoob likhA hai aapne..
Is Ghazal ka har-ek sher Kaabil e tareef hai..magar is sher Ka Kya kehna isme bahut gehre Jazbaat chupe hue hai..
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
Bas Aise hi Likhte Rahiye Shahab..
Ghayalparwana
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
19th February 2003, 08:54 PM
sharaabi saahab
aadaab
paziraa'ii ka iNtehayi shukurguzaar huuN
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
DiL
Offline
Posts: 203
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 21
|
23rd March 2003, 05:15 AM
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale
wah wah wah wah wah wah wah wah wah wah!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! kya khoooooooooob likha hai appne, i dont how much more to praise cuz i'm out of words!
but jus gr8!!!!!!!!!
very nice,
keep writin.
riddhi 
dont frown, u never know whoz falling in love with ur smile :)
|
|
|
|
|
Log kehtai hain:'Kavita'
Offline
Posts: 265
Join Date: Dec 2001
Location: Canada
Rep Power: 22
|
WAH -
23rd March 2003, 05:26 AM
Aadab Maikash Ji,
Kaisai hai?Dua karoongi achhai ho.Aapki yeh ghazal padii aur wah.Samajh mai nahi aata kya kahoon tareef mai...alfaaz nahi milrahai.Waisai tareef kai liye shabad to kaafi hai par mujhai nahi lagta is site pai itna space ho ki woh sab words likh sakain to yeh reply box kis kheth ki mooli hai.Aapko woh problem yaad hai jo mainai kaha tha ki hum sab fans ko mil kai suljhani padegi...same problem.Aapka har sher ek sai bhad kar ek hai khasskar :
"aaram tha kuch aag ki garmi sai zakhm ko
aaye woh meri kabr par,shamma bhujha chale"
Ab mai kya kahoon siwai WAH.
Khayal rakhein,
Allah Hafiz,
Kavita
"Kavita"...bas ek kavita.
Toota hua dil aur hoton pai hassi.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
Pyaar wo nahi tha jo kisi nai kiya
Pyaar woh hai jo koi nibha raha hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
Maana ki woh log badnaseeb hotai hai
Jinhai pyaar milta to hai
par woh usai paichaan nahi paatai
par woh log aur bhi badnaseeb hotai hai jinhai pyaar milta hai,woh usai paichaaan bhi jaatai hai par paa nahi saktai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
Its better to have loved and lost
then to have ever loved before
so what if the heart breaks
at least you will know LOVE.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 81
Join Date: Feb 2003
Location: dongri
Rep Power: 21
|
wishing u well!! -
24th March 2003, 12:26 AM
Hi maikasH.
Its nice to hear such splendid and beautiful lines from someone.
U certainly have a way with words .Do tell me if these are your own work or someones else(I wud b happy to hear if they are yours).and there wud be many "tareefs" for u but from me there is tarreef as well as "dua" for u!
Bye take care and keep posting gems like these!!
yours Abidhussain!
Abidhussain!!
Apni marzi se kaha apne safar ke hum hai,
Rukh hawaoo ka jidhar ka hai,udhar ke ham hai.
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
30th March 2003, 11:26 PM
janaab abid husaain saahab
aadaab tasleem farmaayeN
first of all let me thank you for your precious time and effort that u spent in replying to this post
i'm deeply touched by your concern for the authenticity of this Ghazal , not only it shows your love for this fine art but also that this creation must have something out of the ordinary that you had to doubt the origin of it , which is quite satisfying for the poet and which will be me.
agar aapko phir bhi koi shaq ya shubah ho to aap bilaa-jhisjhak mujhse raapta qaayam kar sakte haiN maiN aapko kuch web-sites ke naam bataa duuNga jahaaN maiN ba'qayida shirkat kiya kara huuN aur jahaaN aapko kuch naamvar published shayar bhi mil jaayeNge jo ke is baat ki tasdiiq kar deNge ke haqeer si Ghazal is khaaksaar ki hi kahi hui hai
aadaat se majbuur huN saahab isliye jaate-jaate aapka dhyaan is baat ki jaanib dilaana chahta huN ke, "tareefs" jaisa koi bhi lafz urdu qaaydey meiN dastiiyaag nahiiN hai ...aapse guzaarish hai ke urdu jaisi meethi zabaan ko angrezi se parey hi rakheN....!!
ijaazat dijiye
aadaab
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
|
hi -
31st March 2003, 05:00 PM
hi maikasH ,
kease ho aap?
aapki post main zroor parhti hon ,aap tu etna acha likhte ho ,ke aapki tarref ke leye words bohet thore hain ,aapki yeh post mujhe yaad bhi nahi kitni baar par chuki leekin jub bhi shayri .com pe online aai zroor pari ,
bas bohet hi acha likha aap ne ,
keya aap mujhe shari sikhao gey ,
mujhe apni student ki list main jaga de do ,
oor mujhe bhi shayri ke baare main bateya kuro ,
plz mujhe na umeed mat kurna
take care]
bye
wafa
|
|
|
|
|
Kadeer ki...
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
|
13th April 2003, 04:08 PM
Maikash Sahab, Apki is ghazal ki jitni tareef ki jaaye utni kum hai.. Hum jaise log jo achhi shayri likhne ke baare me sirf soch sakte hain, humare liye aisi ghazlain padrna ek bohat bada inspiration hai..
Maaf karna agar humari urdu kuchh ajeeb si lage.. Hume Urdu nahin aati.. kabhi seekhne ka mauka hi nahin mila.. ab aap ise humari bad kismati kahen, ya na layki!  .. Khair, seekhne ki koshish jaari hai, bhale hi kabhi kaamil na ho
Zindagi rahe, to aapke kalaam padrne ki chah bhi rahegi..
Yeh Ghazal likhne ka shukria!
Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 21
|
17th April 2003, 08:57 AM
Aadab Maikash sahab, aap kaise hai?
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale
maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko
tum be-wafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
haathoN ki lakiiroN ko bajaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale !
nakaam hasratoN ko bhulaane kahaaN jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale
"maikash" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
gazab likha hai aapne sahab...
aapki is ghazal ne to kaher dha diyaa...
her sher ki jitni bhi tareef karunga wo samandar me boond tapkaane jaisa hoga...
wakai mohabbat me sab kuch qurbaan ker dena padta hai...
iska thida sa ehsaas mujhe bhi hai...
aapki jo bhi ghazal aaj tak maine padhi wo lajawaab hi paayi...
aur use padhte wakt aankhe nam na hui ho aisa to hua hi nahi...
lafz nahi hai mere paas daad dene ke liye....
bus ye hi kahunga ki kamaal ka likhte hai aap...
mai aapka fan bhi hoo aur shagird bhi...
maine likhna Aman sahab aur aapki "The Technical Aspects,Terms And Rules of Ghazal Writing....." post se hi likhna seekha...
aur umra bhar aapka ehsaan rahega mujhper...
bohat bohat shukriya...
jab bhi aapki koi post padhta hoo to ye hi sochta hoo ki kaise kaise aur kitne jazbaat aur zakhm honge jo aapne abhi tak apne ander chupa rakkhe honge...
ye meri kismat hai jo aapko padhne ka mauka mujhe mila...
aapka her andaz sabse juda hai...
is ghazal ke liye meri mubaraqbaad qubool kijiyega...
bohat bohat shukriya....
aapki aglii post ka intezaar rahega...
yaad rakhiye ki aapke bina ye mehfil adhoorii hai...
shukriya....
likhte rahiye aur muskuraate rahiye...
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
20th April 2003, 10:06 PM
vipin sb
namashkaar
kripa-nidhaan , aapka bohat aabhaari huN ...!!
aagya dijiye
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
20th April 2003, 10:07 PM
mohtarma zeba saheba
aadaab
Ghazal pe apni pasaNdeedagii zaahir karne ka bohat shukria
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
20th April 2003, 10:14 PM
chota sa dil sba
aadaab
aapne durust farmaaya ke jo kismat mein likha hota hai wohi milta hai lekin aksar yuN bhi hota hai ke aapki kismat ka taraazuu kisi aur ke haath meiN hota hai aur aap aik tamashaayi ki tarah khade dekhte rahen ke gham ka paldaa bhari padega ya khushi ka......khair ,apne hausla badhaaya...bohat shukria
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
20th April 2003, 10:19 PM
ghayalparvana sb
aadaab
miyaaN baDaa mashkoor-o-mamnuun huN aapki zarra-nawaazish ka......
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 106
Join Date: Feb 2002
Location: Canada
Rep Power: 22
|
aadaab -
21st April 2003, 02:14 AM
maikash sahaab ... ek baar fir aapki ghazal humen bahot hi pasand aaye .....
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
waah sahab waah ......
likhte rahiyega .....
taNhaDIL
Yeh Gham Nahi ke Andhere Se Sulah Ki Maine
Malal Yeh Hai Ke ab Subh Ki Talb Bhi Nahi
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
26th April 2003, 06:43 AM
riddhi saheba
aapke do alfaaz hi kaafi se ziyaada haiN mujh na-ahl ka hausla badhaane ke liye
shukria
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
26th April 2003, 06:54 AM
kavita jee
aadaab qabuul farmaayeN
is se qabl ke maiN aapka shukria adaa karuN , jawaab dene meiN hui ta'akhiir ke liye mazrat chahta huN ,
mujh jaise adney se sha'iir ke liya "fan" jaisa badaa lafz istemaal karna jaayiz nahiiN , dostoN ki muravvat hai to hausla badhaa dete haiN haiN varna kahaaN maiN aur kahaaN ahl-e-sukhan ...!!
aapna apna keemati waqt nikaala maiN be'hadd shukurguzaar huN aapka.....
maikaH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
26th April 2003, 07:04 AM
wafa saheba
tasleem
Ghazal aapko is qadar pasaNd aayi ke aapne mujh gareeb ko ustaad ka darja de diya , ye jaan kar behadd khushi hui ke ye sh'aar ehbaab ke dil meiN itni jagah banaa gaye lekin mohtarma yaqiin kijiye maiN harGhiz bhi is laayiiq nahiiN ke kisi ko kuch sikhaa sakuuN.....haaN ye mukhtsar si baat zaruur hai ke agar aapko meri raey ya mashvirey ki kabhi zaruurat pade jo bila-jhijhak huqm kar dijiyega agar guNjaayish hogi to maiN haazir ho jaauNga
Ghazal pasaNd farmaane ke shukria
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
*Ishq~Ibadat.......**
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
|
19th October 2003, 04:29 AM
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale
maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
Wah.
waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko
tum be-wafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
Keya kehna.
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
Shama toh fhir bhi jale hi jate hein, shayed.
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
Bohot hi khub.
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
Kadmo meh tere aye sanam humne toh shar jhuka diya!
Achha laga.
haathoN ki lakiiroN ko bajaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale !
Shayed, waise Haath chute toh rishte nehi chuta karte!
nakaam hasratoN ko bhulaane kahaaN jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale
Ha, Jaaye toh jaaye kaha samjhega kaun yeaha!
"maikash" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
Bohot sahi kaha, par chupaye se chupte nehi.
Kowshish hoti toh hein. Kuch nazre aise bhi hoti hein jo aise bhi dekh sakte hein. Bohot achha dilka kalam the. Aise hi likhte rahiyega. Shukriya. Aapna khayal rakhiyega. God bless.
chaNd saaNseN haiN , udaa le jaayegi
iss se ziyaada maut kyaa le jaayegi...?
Yeh bhi bohot hi achha laga, hamesha hi chaha kehne ko, chale aaj hi sahi.
Kuch likhrahi hu,
Mile jo kari kari, ek jaanzeer bane,
Pyaar ke rang vharo zinda tasveer bane!
*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**
*Pure Love**
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2023, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |