Hello Raj,
This is not fair if u r blaming girls for everything.
Saari galati ek insaan ki nahi hoti... kuch galatiyan aur haalaat mil kar ek galat kaam anjaane mein bhi karva jaate hain.
I know u'll say that, that I'm a girl that's why mujhe ladkiyon ki taraf daari to karni hi hai... Agar tum aisa sochte ho to yeh bilkul galat hai. Main yeh sab is liye keh rahi hun, kyunki ek ladki hone ke baavjood maine apne ghar vaale ke against gayi hun... aur ab result yeh hai ki meri shaadi jaldi hone vali hai mere pyar se.
Aapne kaha ki ladke sab karte hain... jaise parivaar chod diya, maa baap chod diye, ghar chod diya ladki ke liye... to ladkiyan bhi sab kuch karti hain...
Haan lekin unka tareeka thoda sa alag hota hai....
ladkiyan thodi selfish hoti hain... aur woh selfish and bhooki hoti hai pyar ki... dono ke pyar ki, apni family aur apni mohabbat ke pyar aur saath ki..
woh kisi ka bhi saath chodna nahi chaahti.,... woh chaahti hain ki dono hi maan jaayein...
Main bhi is bhavar ka hi hissa hun... maine bhi yahan shayri pe aa ke sabki raaye maangi thi.. ki agar chunna pade apne parivaar aur pyar mein se, to kise chune, aur kyun?
http://www.shayri.com/forums/showthr...threadid=14451
shaayad yeh padh ke kuch sawaalon ke jawaab aapko mil jaayein.
Is baat ko ek ladka aur ek ladki alag nazariye se dekhte hain... chaahe baat ek hi hai.. lekin phir bhi sochne ke tareeke mein bahut farak hota hai...
Ladke aksar is baat mein bahut selfish ho ker yeh keh dete hain ki main sabko chod doonga sirf tim chaahiye ho...
to aap mujhe bataaiye kya woh theek hai???
Aapke maa baap ne aapko kitne saal pyar kiya, paala, itna bada kiya.. aur aaj kisi aur ke liye aap unhe chod doge???
to id baat ki bhi kya gaurantee hai ki kal kisi aur ke liye aap usko nahi chod doge?
Dekho Raj, main yahan koi ladaai karne nahi aayi.. tumne sabki raaye jaanni chaahi jo main keh rahi hun.. bura lage to is nakaar dena... dil mein koi baat rakh ke ladkiyon se nafrat mat karne lag jaana.
Main maanti hun ki kabhi kabhi ladkiyan apne maa baap ke aage kamzor pad jaati hain... jab unhe yeh sunne ko milta hai ki mere papa mere jaane ke baad is duniya se chale jaayenge... aur mujhe unke aakhiri darshan bhi naseeb na honge....
woh sirf pyar karna aur pyar baantna jaanti hain...
Aap hi ne kaha ki
aap ki apni zindagi aap logon ko jeeni hai , ya aapke maa baap ya kisi aur ko ? apne kadam peeche lene ke samay aap sirf apne maa baap ke baare mein hi kyun sochte ho ? kyun nahin yeh sochte ki jisse aap pyaar karte ho woh apne aage peeche ke sab logon se naata todte huye aapke paas aane ki koshish mein hai jiska safal hona ya naa hona aapke haath mein hai ? aakhir sacha pyaar karna hi kya itna bada gunnah hai ki uski nakamayaabi hi uska anjaam hai ?
Sach hai zindagi humne jeeni hai.. lekin abhi tak jitni bhi ji hai, maa baap ki ungli pakkad kar, unke sahaare se ji hai.. aur aaj hum woh sahaara chod denge? tod denge???
Kadam peeche nahi hataate to kya apne maa baap ko us haalat mein dekh lete???
To kya sirf pyar ka soch kar apne parivaar ko jinke saath aap ab tak rahe ho unhe tyaag toge, to agar kal woh kuch kar lete hain to uska zimmevaar kaun hai??
Lekin agar ladki hi kuch kar leti hai to uska zimmevaar kaun hai?
Zimmervaar na ladki hai, na ladka hai, aur na hi parivaar hai.. Zimmevaar hai haalaat.. jo yeh sab karne pe use majboor karte hain..
In sab sawaalo ke sahi jawaab to shaayad koi bhi nahi de sakta...
Kyunki jab vakt aa jaata hai, tab ladki bhi apne parivaar ko chod deti hai apne pyar ke liye.. lakdi kamzor nahi, aur use bhi sacha pyar karna aata hai.. lekin sab ek jaise nahi hote...
do insaan kabhi bhi ek se nahi hote... woh alag tareeke se sochte hain, mehsoos karte hain, aur us par koi bhi rok nahi hai.
Main nahi jaanti ki aapko questions ko kahan tak main address kar paayi hun... lekin yeh sach hai ki ladki jab bhi pyar karti hai, ant tak jaati hai.. lekin apne pyar ke liye apne maa baap ka ant nahi dek sakti.. aur na hi apne maa baap ke liye apne pyar ka ant dekh sakti...
woh humesha is chakki mein piss jaati hai.. kiska daaman pakde, aur kiska chode.. jab dono hi uske apne hain, aur ek ke bina bhi woh ji nahi sakti.... kisi bhi haal mein khush nahi hogi....
Ladke bhi to sirf apna hi sochte hain ladki ke baare mein uski khushiyon ka nahi sochte...
lekin ladki sabka sochti hai.. aur khud piss jaati hai...
Main yahan Reema (reemzi) ka pm padk ke aayi thi, nahi to yeh miss kar jaati....
Main aapse phir kehti hun.. yeh meri raaye hai.. aisa main sochti hun aur is mein vishwaas karti hun. ho sakta hai aapko mere vichaar pasand na aaye.. but please don't take it wrong.
Everyone has a right to express the way they feel.
Good luck!
~Priya