Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Zafar gazal
Old
  (#1)
shayari
Registered User
shayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 272
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 17
Zafar gazal - 11th September 2010, 05:37 PM

Ek khubsurat peshkesh zafar ki kalam se

Dil ki meri beqarari mujh se kuch pucho NahiN,
Shab ki meri ah-o-zari mujh se kuch pucho NahiN,

Bar-e-gam se mujh pe roz-e-hijr meaiN ik ik ghari ,
Kya kahuN hai kaisi bhari mujh se kuch pucho NahiN ,

Meri surat hi se bas malum kar lo ham-damo,
Tum haqiqat meri sari mujh se kuch pucho NahiN,

Sham se ta-subah jo bistar pe tum biN rat ko,
MaiN Ne ki akhtar-shumari mujh se kuch pucho NahiN,

Ai "zafar" jo hal hai.N mera karuNga gar bayaN,
Hogi uN ki sharm-sari mujh se kuch pucho NahiN,


pawan(shayari)

Last edited by shayari; 11th September 2010 at 05:40 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
shayari
Registered User
shayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 272
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 17
11th September 2010, 05:44 PM

Khulata NahiN hai hal kisi par kahe baGair,
Par dil ki jaN lete haiN dilbar kahe baGair,

Main kyuNkar kahuN tum ao ki dil ki kashish se,
voAyeNge daure ap mere ghar kahe baGair ,

Kya tab kya majal hamari ki bosa leN,
Lab ko tumhare lab se milakar kahe baGair,

Bedard tu suNe Na suNe lek dard-e-dil,
Rahata NahiN hai ashiq-e-muztar kahe baGair,

Taqdir ke siva NahiN milta kahiN se bhi,
Dilavata ai "Zafar" hai muqaddar kahe baGair,

Pawan(shayari)
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
shayari
Registered User
shayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 272
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 17
11th September 2010, 05:51 PM

HamNe duniya mei.N aake.N kya dekha,
Dekha jo kuch so khvab-sa dekha,


Hai.N to iNsaN khak ka putala,
LekiN pani ka bul-bula dekha,

Khub dekha jahaN ke khubaN ko,
Ek tujh sa Na dusara dekha,

Ek dam par hava Na bandh habib,
Dam ko dam bhar meiN yahaN hava dekha,

Na huye teri khak-e-pa ham Ne,
Khak mein ap ko mila dekha,

Ab Na dije "zafar" kisi ko dil,
Ki jise dekha bevafa dekha,


pawan(shayari)
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com