Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye (Ghazal)
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye (Ghazal) - 6th January 2016, 06:38 AM

kaNdhey pe zaraa haaTh dharo maiN nashe meiN hooN
maikash do kadam saath chalo maiN nashe meiN hooN




phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye
tujhe aazmaane waale tujhe aazmaa ke roye

muqeem ik chiraaGh e hasrat do diloN ke darmiyaaN tha
maiN jalaa jalaa ke roya voh bhujhaa bhujhaa ke roye

meri aah ko ataa kar voh balaa ka dard ya rab
mere Gham pe haNsne waala mere paas aa ke roye

aashnaayi apni Gham se is darjaa ba-wafaa thi
kabhi mil gayi khushi to bahaana banaa ke roye

phir saath aa gaya hai yeh zehan ka khalall saaqi
kuch de’r is ko keh de kahiiN aur jaa ke roye

maqta maiN paDh ke thehruuN, kuch aisa mojezaa* ho
hoNThoN meiN voh sitamgar dupatta dabaa ke roye

mojezaa* = karishma

is haal meiN haiN lauTe kuu-e-yaar* se ai “maikash”
jo liye KhaDe the paTThar voh galey lagaa ke roye

kuu-e-yaar* = yaar ki gali


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 6th January 2016 at 07:11 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 6th January 2016, 10:15 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
kaNdhey pe zaraa haaTh dharo maiN nashe meiN hooN
maikash do kadam saath chalo maiN nashe meiN hooN




phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye
tujhe aazmaane waale tujhe aazmaa ke roye

muqeem ik chiraaGh e hasrat do diloN ke darmiyaaN tha
maiN jalaa jalaa ke roya voh bhujhaa bhujhaa ke roye

meri aah ko ataa kar voh balaa ka dard ya rab
mere Gham pe haNsne waala mere paas aa ke roye

aashnaayi apni Gham se is darjaa ba-wafaa thi
kabhi mil gayi khushi to bahaana banaa ke roye

phir saath aa gaya hai yeh zehan ka khalall saaqi
kuch de’r is ko keh de kahiiN aur jaa ke roye

maqta maiN paDh ke thehruuN, kuch aisa mojezaa* ho
hoNThoN meiN voh sitamgar dupatta dabaa ke roye

mojezaa* = karishma

is haal meiN haiN lauTe kuu-e-yaar* se ai “maikash”
jo liye KhaDe the paTThar voh galey lagaa ke roye

kuu-e-yaar* = yaar ki gali
aahhhhh.....kya gazal pesh ki hai Maikash ji....superb

phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye
tujhe aazmaane waale tujhe aazmaa ke roye

bahut ki khoobsurti se aapne poori gazal ko anjaam tak pahunchaya hai...dil ke bahutttttttt kareeb rhi gazal.

Rabb Raakha


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
6th January 2016, 11:36 AM

waah !!kya ghazal pesh ki hai..
tamaam ashaar dil par chot karte huye..

daad qubool kijiyega...

rab raakha..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
6th January 2016, 12:38 PM

Wah maikash bhaiyya.....

Ek ek sher par hum bhi aapke saath saath roye......
Humesha Ki tarah ek aur Anmol heera humaare saath saanjha karne ka shukriya.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
6th January 2016, 03:37 PM

har ek ashar lajwaab Maikash jee bahut khoob......................................


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
6th January 2016, 06:31 PM

waahhh mere bhai waahhhh.... kamaal agar kahin hota hai to maikash saahab ki bazm me hotaa hai...
sach kahun to agar aaj din bhar me kuch acchaa huaa to aapki ghazal padhne ki khush naseebi haasil hona...

is kalaam kii jitnii tareef ki jaae wo kam hai bhai.. aap jitne saral insaan hain aapki shayari ka hunar utnaa hi gahraa hai... this is an example of classic form of shayri like we use to read 50-100 years back.

allah aapko majeed nawaaze bhai aur hame aisi khushnaseebi haasil hoti rahe..

daad ke phool aapko nazr karta hoon bade bhai.

duaaon ki darkhaast.

shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
9th January 2016, 04:29 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
aahhhhh.....kya gazal pesh ki hai Maikash ji....superb

phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye
tujhe aazmaane waale tujhe aazmaa ke roye

bahut ki khoobsurti se aapne poori gazal ko anjaam tak pahunchaya hai...dil ke bahutttttttt kareeb rhi gazal.

Rabb Raakha

aapse sdc ki waahid aisi member haiN jinhone "pehle din se" mujh naalaayiq ka hauNslaa badhaaya hai aur sach kahuuN to aap jaise dostoN ki hi ba'daulat itni himmat ho paati hai ke jo TooTa-PhooTa likha ho idhar post kar duuN

bohat shukriya

rab raakha jee
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Waah
Old
  (#8)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Waah - 9th January 2016, 07:14 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
kaNdhey pe zaraa haaTh dharo maiN nashe meiN hooN
maikash do kadam saath chalo maiN nashe meiN hooN




phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye
tujhe aazmaane waale tujhe aazmaa ke roye

muqeem ik chiraaGh e hasrat do diloN ke darmiyaaN tha
maiN jalaa jalaa ke roya voh bhujhaa bhujhaa ke roye

meri aah ko ataa kar voh balaa ka dard ya rab
mere Gham pe haNsne waala mere paas aa ke roye

aashnaayi apni Gham se is darjaa ba-wafaa thi
kabhi mil gayi khushi to bahaana banaa ke roye

phir saath aa gaya hai yeh zehan ka khalall saaqi
kuch de’r is ko keh de kahiiN aur jaa ke roye

maqta maiN paDh ke thehruuN, kuch aisa mojezaa* ho
hoNThoN meiN voh sitamgar dupatta dabaa ke roye

mojezaa* = karishma

is haal meiN haiN lauTe kuu-e-yaar* se ai “maikash”
jo liye KhaDe the paTThar voh galey lagaa ke roye

kuu-e-yaar* = yaar ki gali

Wah Wah Maikash Bhai

Kya khoob Ghazal kahi hai aapne. Meri daad iss sher ki shakl meiN pesh hai. Qubuul farmaayen.

Maikash tere kalaam ke qayal to yuN bhi hum haiN
Ik ek sher padh ke hum muskuraa ke roye


Aur ye sher yaani maqta KhususaN kamaal laga.

is haal meiN haiN lauTe kuu-e-yaar* se ai “maikash”
jo liye KhaDe the paTThar voh galey lagaa ke roye

Khaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#9)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
15th January 2016, 10:45 AM

Maikash bhaii

Mera kuch bhi kehna wazib nahi hoga.. mujhe meri hasti kamzor nazar aati hai aise kalaam padh ke..

Maasha allah maiN har sher ko do do baar padh ke baitha huN.. aur yahi sochta huN ki aisi soch kab aayegi humaare paas..

Ye sab aasaan nahi.. koun kehta hai khayaal mar jaate hai ye aur wo.. aapki ghazal sabak hai ek har talib-e-sukhan ke liye..

Meri dheroN mubarakbaad aapko..

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#10)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
26th January 2016, 05:05 AM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Maikash bhaii

Mera kuch bhi kehna wazib nahi hoga.. mujhe meri hasti kamzor nazar aati hai aise kalaam padh ke..

Maasha allah maiN har sher ko do do baar padh ke baitha huN.. aur yahi sochta huN ki aisi soch kab aayegi humaare paas..

Ye sab aasaan nahi.. koun kehta hai khayaal mar jaate hai ye aur wo.. aapki ghazal sabak hai ek har talib-e-sukhan ke liye..

Meri dheroN mubarakbaad aapko..

Kunaal


baaqi dostoN se ba-sad-mazrat Kunaal bhai ke khat ka jawaab pehle de raha hooN


Kunaal bhai, aadaab-o-namaste

facebook par aapke bayaan paDhe, unka jawaab to maiN haazir na kar saka lekin ba-das-tuur aapki be-panaah muhabbat ka shukriya adaa karne ki ek adna si kohshish maine zaroor ki thi, ab yeh pataa nahiiN ke meri voh kohshish aap taq pahuNchii ya nahiiN kyoNke do din pehle maine facebook ka account delete kar diya tha


jaise ke aapne bhi tasleem kiya, sach baat hai ke khat-o-khitabat ke hawaale se aap se koi musalsal raabta nahiiN raha lekin aap hi ki tarah maine bhi apne aap ko aapke bohat qareeb paaya hai, dil se dil ko raah hoti hai mere bhai baaqi duniyadaari apni jagah

aapse guzaarish hai ke apne phone number pm meiN bhej dijiye, gaahe-ba-gaahe aapse baat hoti rahegi to mujhe badi khushi hogi


rahi is Ghazal par aapki faraaKh'dilee ki baat to bhai Ghazal itni achchi nahiiN thi jitni ta'reef, mohabbat aur ehteraam se aapne ise nawaaza hai, maiN zer-e-baar hooN aapka, iNtehaayi shukurguzaar bhi


raabta banaaye rakhiye, mere liye bade hauNsley ki baat hogi


bhagwaan aapko khush rakkhe


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Phoenix
Registered User
Phoenix is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 144
Join Date: Nov 2015
Location: Odisha
Rep Power: 9
26th January 2016, 09:41 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
kaNdhey pe zaraa haaTh dharo maiN nashe meiN hooN
maikash do kadam saath chalo maiN nashe meiN hooN


phir aaiinoN se "maikash" nazreN churaa ke roye
tujhe aazmaane waale tujhe aazmaa ke roye

muqeem ik chiraaGh e hasrat do diloN ke darmiyaaN tha
maiN jalaa jalaa ke roya voh bhujhaa bhujhaa ke roye

meri aah ko ataa kar voh balaa ka dard ya rab
mere Gham pe haNsne waala mere paas aa ke roye

aashnaayi apni Gham se is darjaa ba-wafaa thi
kabhi mil gayi khushi to bahaana banaa ke roye

phir saath aa gaya hai yeh zehan ka khalall saaqi
kuch de’r is ko keh de kahiiN aur jaa ke roye

maqta maiN paDh ke thehruuN, kuch aisa mojezaa* ho
hoNThoN meiN voh sitamgar dupatta dabaa ke roye

mojezaa* = karishma

is haal meiN haiN lauTe kuu-e-yaar* se ai “maikash”
jo liye KhaDe the paTThar voh galey lagaa ke roye

kuu-e-yaar* = yaar ki gali
Laajawab peshkash maikash ji....

Kya baat hai

Kabhi mil gayi khushi to bahana bana ke roye


उन बीते लम्हों के याद ना दिलाया करो
दिल में सुलग रही आग को ना हवा दिया करो

   
Reply With Quote
Old
  (#12)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
1st February 2016, 02:11 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
waah !!kya ghazal pesh ki hai..
tamaam ashaar dil par chot karte huye..

daad qubool kijiyega...

rab raakha..
Ghazal ki paziraai ke aapka behadd mashkoor hooN madhu jee, sad shukran


rab rakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com