Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
*Thaanii Thi Dil~Momin Khan Momin Jee**
Old
  (#1)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Post *Thaanii Thi Dil~Momin Khan Momin Jee** - 11th January 2006, 08:02 PM

Thaanii Thii Dil Mein Ab Na Milenge Kisii Se Ham,
Par Keyaa Karein Ke Ho Gaye *Naachaar Jii Se Ham

*Helpless**

Ham Se Na Bolo Tum Isse Keyaa Kehte Hain Bhalaa,
Insaaf Kiije Pouchhte Hain Aap Hii Se Ham

Keyaa Gul Khilegaa Dekhiye Hai *Fasl-e-Gul* To Dour,
Aur *Suu-e-Dasht* Bhaagte Hai Kuchh Abhii Se Ham

*Spring**
*In The Direction Of Desert**

Keyaa Dil Ko Le Gayaa Koyii Begaanaa Aashnaa,
KyouN Aapne Jii Ko Lagte Hain Kuchh Ajnabii Se Ham


*Writer: Momin Khan Momin Jee**


*Keep Smilling.......**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
momin ki ghazal
Old
  (#2)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
momin ki ghazal - 11th January 2006, 09:16 PM

bahut achhi ghazal ki yaad taaza kar di aap ne . usi ghazal ke yeh do ash'ar bhi pesh haiN:
be roye misl-e-abr na nikla ghubaar-e-dil
kahte thhe un ko barqtabassum haNsi se hum
(yani jab tak hum abr ki tarah roye nahiN unke dil se ghubaar nahiN gaya,kyoN ke unki haNsi ko hum barqtabassum kahte thhe aur woh bura maan gaye...kis khoobsarti se is baat ko nibhaye haiN dekhiye)
in naatawaaniyoN pe bhi thhe khaar-e-raah-e-ghair
kyoN kar nikale jaate na us ki gali se hum
(naatawaaN=kamzor, khaar=kaanta, yani hum to ishq ki bimari se kamzor ho kar kaanta ho gaye, lekin unko yeh bhi manzoor nahiN thha kyoN ke ghair ka un ki gali meiN aamad-o-raft thha, aur raaste ka kaanta hata diya jaata hai)

khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Aadab :)
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Aadab :) - 19th January 2006, 03:42 AM

Quote:
Originally posted by Daanish_ Hyd
bahut achhi ghazal ki yaad taaza kar di aap ne . usi ghazal ke yeh do ash'ar bhi pesh haiN:
be roye misl-e-abr na nikla ghubaar-e-dil
kahte thhe un ko barqtabassum haNsi se hum
(yani jab tak hum abr ki tarah roye nahiN unke dil se ghubaar nahiN gaya,kyoN ke unki haNsi ko hum barqtabassum kahte thhe aur woh bura maan gaye...kis khoobsarti se is baat ko nibhaye haiN dekhiye)
in naatawaaniyoN pe bhi thhe khaar-e-raah-e-ghair
kyoN kar nikale jaate na us ki gali se hum
(naatawaaN=kamzor, khaar=kaanta, yani hum to ishq ki bimari se kamzor ho kar kaanta ho gaye, lekin unko yeh bhi manzoor nahiN thha kyoN ke ghair ka un ki gali meiN aamad-o-raft thha, aur raaste ka kaanta hata diya jaata hai)

khair andesh
Dear Daanish Jee, Pehle To Main Mafhi Chahoungi Aapse~Der Se Aayi Houn...Ummeed Hain Aap Samajhenge...Ab Main Pehle Ki Tarah Reply Nahin Kar Sakti...! Jaun Eliya Jee Ki Likhhi Houi Ek Do Sher...: Ab Hamare Makaan Kis Ka Hai_Ham To Aapne Makaan Ke Thhe Hi Nahiin, Inko Andhii Mein Hii Bikharnaa Thaa.......**Aur Ab Dusri Sher Ka 2nd Misra Yaad Nahin Aa Rahi Hain...**Aap Jiss Ghazal Ki Ashar Likhhe Hain Woh Dil Ko Behadd Achchha Laga...Ummeed Karoungi Ki Aap Puri Ghazal Kisi Din Hum Sabhi Se Share Karenge~*~Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher-o-Dher Saare Phoul_Shukriya **Aapko Parhkar Dil Ko Bohot Achchha Lagta Hain...Younhi Likhte Aur Samjhate Rahiyega...Dil Ko Khushi Hogi **Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**God bless You.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Momin khan momin AHMAD SHAKIL Shayri-e-Mashahoor Shayar 5 19th March 2011 05:26 PM
Khan Sahab... AsadAbbas Mazaakiya SMS Shayri 1 15th June 2010 03:21 PM
Asar uS Ko Zara Nahi Hota (MOMIN) DreamHealer Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 26th January 2007 09:37 PM
*Chashme-Ada~Momin Khan Momin Jee** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 4 26th January 2006 03:56 PM
royaa kare.nge aap bhii paharo.n isii tarah (MOMIN KHAN MOMIN) anish_ekshayar Shayri-e-Dard 4 3rd December 2005 08:14 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com