Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Husn Aur Mazdoori
Old
  (#1)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
Husn Aur Mazdoori - 14th June 2009, 10:31 PM

EK DOSHEEZA SADAK PAR DHOOP ME HAI BE-QARAAR,
CHOODIYA BAJTI HAIN KANKAR KOOTNE MEIN BAR-BAR

CHOODIYON KE SAAZ ME YEH SHOR HAI KAISA BHARA,
AANKH ME AANSU BANI JATI HAI JIS KI HAR SADA.

GARD HAI RUKHSAR PAR, ZULFE ATI HAIN KHAAK ME,
NAZUKI BAL KHA RAHI HAI DEEDA-E-GHAMNAK ME.

HO RAHA HAI JAZB MOHAR-E-KHOONCHKAN KE ROO-BA-RU,
KANKARO KI NABZ ME UTHTI JAWANI KA LAHU.

DHOOP ME LEHRA RAHI HAI KAKUL-E-ABZ SARSASHT,
HO RAHA HAI KAMSINI KA NOCH, JAZ O SANG O KHASHT.

PI RAHI HAIN SURKH KIRNE MOHR-E-ATISH-E-BAR KI,
NARGISI AANKHON KA RAS, MAI CHAMPAI-E-RUKHSAR KI.

GHAM KE BADAL KHATIR-E-NAZUK PE HAIN CHAYE HUE,
AARIZ-E-RANGEEN HAIN YA DO PHOOL MURJHAYE HUE.

CHEETHADO ME DEEDNI HAI ROO-E-RANGEEN-E-SHABAB,
ABRA KE AWARA TUKDO ME HO JAISE MAHTAB.

UF YE NADARI, MERE SEENE SE UTHTA HAI DHUVAN,
AAH ! AE IFLAS KE MAARE HUE HINDOSTAN.

HUSN HAI MAJBOOR KANKAR TODNE KE WASTE,
DAST-E-NAZUK AUR PATTHAR TODNE KE WASTE.

FIKR SE JHUK JAYE WO GARDAN TUF AE LEEL-O-NIHAR,
JIS ME HONA CHAHIYE PHOOLO KA EK HALKA SA HAAR.


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com